Question: Agha sahab sheesha naapak ho jay to kaisay paak kia ja ta hay
Answer: Agar bartan k alawa koe cheez ho tu Aik dafa yun paani baha dia jaey k tamam najis maqamaat tak pohanch jaey tou sheesha paak hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 156). [Updated on 11-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya gobar sukhne ke baad paak hai?
Answer: Halal janowaroon ga ka gubar paak hay.(Ref: Urwatul wusqa, part#1, pg#48). [Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar khargosh ko hath lgay to hath napak hon gay k nae?
Answer: Jee nahi, Najis nahi honge q k khargosh najis jaanwaro main sai nahi us ka ghosht khana faqat haram hai.(Ref:Tauzeeh ul masial ayatullah seestani edition#41, maslah#80). [Updated on 24-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya jism par chipkali gir jane se napka ho jate hai
Answer: Jee nahi chipkali najis nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 80) [Updated on 22-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr sookhi hui mani ko hath lag jae ya us jagah to kia hath napak hogya
Answer: Agar aap ka haath geela ho or tari muntaqil hojaey tu najis hai warna najis nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#19) [Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kutta agr kaprey choley toh kya najis hojaonga?Kaprey bhi khushk aur kuta bhi khushk
Answer: Agar dono khushk hoon tou phir kaprhay najis nahi honge Q keh nijasat tari se muntaqil hoti hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 119). [Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alaikum sir agr kapra dhoona ka bad nijasat ka neshan baki rh jain tu kapra napak hta hai ya pak?
Answer: jab tak ain-nijasat kisi najis cheez se alag na ho wo pak nahin hogi lekin agar nijasat ki boo (Smell) ya rang (Colour) us me baqi reh jai to koi haraj nahin. lihaza agar khoon libas par hata diya jaye aur libas dho liya jaye aur khoon ka rang (Colour) reh jaye to libas pak hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 39 maslah # 164) [Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr urine sofa pr dry ho jaye to kya jb koi kpra sofa pr rkhyn gye to kya wo kpra napak ho jaye GA?
Answer: Agar dosra kapra is qadar tar ho ke is ki tari us sofa par puhanch jai to dosra kapra najis ho jai ga lekin agar is qadar tar na ho ke is ki tari us sofa par na punhache to najis nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 2019 Mafhoom e Maslah #119) [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam. pani ki tanki may agr najasat gir jaye to is ka kia hukam hy? for example mani k qatry gir jaye to pak ksy kiya jata hy
Answer: wsalam. Agar tanki mai kur paani moujood hai (384 ltr) or us mai nijaasat gir jaaye or paani ka rang boo ya zaaiqa badal jaaye tou wo paani najis hojaaye ga warna najis nahi. or agar paani qaleel hai yaaney ( 384 ltr sai kum) tou nijaasat ka aik qatra bhi gir jaaney sai poora paani najis hojaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 15 and 24). [Updated on 23-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASsalam O Alikum sir main jab beee peesab karny jata hu mujy lagta meray pay cheetay parti hai or main paleeet ho gaya main bohaaat preshan hooon kya hal hai es ka
Answer: Kise paak cheez ke bare me shak ho ke najis hoe hay ya nahe tu wo paak hai.(yani jis paak cheez ke najis hojane ke bare me shak ho use paak samjhe ) w/salam Jo shakhs shaki mizaj aur waswason ka shikar ho usay istiaaza(اعوذبالله من الشيطان الرجيم) parhna chahiye. (Ref: Barakat e ism e aazam by doctor sakhawat hussain sandralvi [Updated on 24-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]