Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9450
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: میرا سوال یہ ہے کہ اگر رات میی سوتے وقت منی نکل جاے تو کیا اندر والا ہی کپڈا دونا ہے کہ سارے کپڈے دونے ہے کہ نیہیں مگر یہ بی پتا نہیں کس کس کپڈے پر لگیبیے

Answer: Sirif wo kaprha dhoona zarori hay jis k baar e main yaqeen ho k wo najis hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 20-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9462
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u alaikum janab..mujhy ye bata den masht zani karny k bad jo kapry pehny huay hen kia wo b napak ho jaen gy..

Answer: Agar kaprho per mani lagi ho tu najis hay warna nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #119). Update on dated 28-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9639
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASalam o alhekum .. agr mani nikle or wo kapre or jism me na lge to wo jism or kapre pak hain ?? peshab k sth ya nahte wqt ??

Answer: Wa alaikum salam. Agar mani jism k kisi hissay or libas main sai kisi jagah par nah lagey to jism or libaas dono paak rehte hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 119). Update on dated 04-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9732
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kaleel pani say kisi cheez ko paak kiya jai tu jo pani neechay girta hai woh paak hota hai ya najis ? Agr bathroom ki zameen ko kaleel pani say paak kar rahay hou tu jo pani jism say lagta hai woh paak hota hai ya najis ?

Answer: 1)wo najis ashya jo qaleel paani sai aik baar dhonay par paak nahi hoti(bartan or libaas) agar us par pani nijasat ko hatanay k liye daala jaye to wo paani najis hojata hai.or nijaasat door honey k baad najis cheez ko paak karne k liye qaleel paani daala jaye tu ehtiyaat e laazim ki bina par najis hai. 2) Bathroom main wo jagah jis k baarey mai aap ko yaqeen hai k wo jagah najis hai or jo qaleel pani us par daala jaye ga wo najis hoga or libas ya jism par lag jaye to usey bhi najis kar day ga lekin agar yaqeen na ho jagah k baarey mai k wo najis hai ya nahi to phir badan najis nahi hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestan edition 39 maslah no 24, 25) Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9744
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ky peshaab ke katra achanak se nikal jaaye to ky gusal wajib hota hai ya wahin hissa dhona kaafi hai?

Answer: Peshaab k katre nikalne par ghusal wajib nahi hota balke usi hissay ko paak karna kaafi hai, jis jagah peshab laga ho. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#154 and 344). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9751
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaikum sir...mera sawal h ke agar so kr uthne pr agar kapde pr bishaab ki ek bund rhe to kya aap naapaak ho jaate aur kya phir se gusal krna hoga?

Answer: Was salaam. Mani k kharij honey ya jima say insaan par ghusal wajib hota hai lekin peshaab sai insaan par ghusal wajib nahi hota balkey peshaab ki wo boond jism or libaas k jis hissay par lagi hogi faqat wo hissa najis hoga. Or osi maqam ko dhona wajib hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#119,344). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9794
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar peeshab kaproon pa lg jae aor sahi tarah confirm na ho ka peeshab kproon pa laga ha ya nae to kia kre

Answer: Agar kaprhon pai peshaab k lagnay ka yaqeen ho tu phir sharae tareekay sai us ko paak karna zaroori hai. Lekin jab tak itmenaan nah ho k libaas najis hoa hai ya nahi tu phir us ko paak hi shumaar kia jaey ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#115 point 1). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10064
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: BustaR agar naPak ho aur hum us me so jaye to kya shar se nahana jaruri hai

Answer: Nahi, Nahana zarori nahi hay bus wo jagah agar ghili ho to aap ka libas najis ho jaey ga lehaza os ka dho kar paak karna kaafi hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 119 ) [Updated on 09-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10087
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam kya sukha Kutta Paak hai ya najis hai.. or kisi jagah sukha kutta bait jaye to kya wo jagah bhi najis ho jaigi.. plz jawab zaroor de

Answer: Kuta najis hai chahay wo sookha ho ya gheela lekin ye kutta agar kisi paak cheez sai lag jaey tu wo cheez osi soorat mai najis hogi jab kuttay ya us cheez main sai koi aik is qadar tar (geeli) ho k wo tari doosre tak pohanch jaey tu wo cheez najis ho jaey gi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 119). [Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10094
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar bed pe mini nikalay discharge kartay wa or tisu use karay to Kay bed Ki chadar or urnay wali sarf Hai Yah woh b change ho gi

Answer: Mani najis hai jahan jahan mani lagi hai wo wo jagah najis hai or us ko paak karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 84,119). [Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!