Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7538
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Jin kapron par peeshab k katray lag Gaye Hon on ko agar pehan lay tu badan napak Ho

Answer: Peshaab najis hai aur jis cheez per pheshaab lage ga wo najis ho jaay gi . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 80) Nijasat sai faqat wo cheez najis ho gi jis par nijasat ki is qadar tari lagi ho k aik ki tari dosere me muntaqil ho jaay to doseri cheez najis ho gi. Is k alawa koi aur cheez najis nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8087
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam, 1 hindo agar bartan dhoay tu kiya us bartan main khaya peya ja sakta hai?

Answer: Hindu kafir hay or kafir najis hay. kafir agar kisi cheez ko hath lagae tu wo cheez najis ho jati hay.(Ref: Tauzee,A.sistani,maslah#119 )

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8238
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mara sawal ya ha ka agar kisi ka ghar ma cookroge bohat hon aur wo kahna oina ki ashia ma chala jain maslan duddh,salan chawal tall, wagara to kia wo kaha najis ho jaya ga ?

Answer: Laal-baig (cockroach)paak hai, lehaza ager khano k najis hone ka yaqeen o itminaan na ho to un ke khane main koi harj nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 80 , 115 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8325
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ehtlam k baad sb kupray napak ho jatay hain jaisay shirt, jacket, bunyan or socks etc ?

Answer: Libaas ya badan k jis hisse ko nijasat lage gi sirf wo he hissa najis hoga baqi paak rahe ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 122) Agar kisi pak cheez k baare me shak ho k najis hoi hai k nahi to wo pak hogi . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 117) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8508
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Humbistari k baad agar ns nahaya ho.. aur dusre saaf kapde pehne gye to kya ye saaf kapde b napak ho jaengey?

Answer: Agar badan per mani waghaira ki nijasat nah lagi ho tu baghair ghusl e janabat k paak kaprhe pehen sakte hain.kapreh paak hi raheen gay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #119 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8571
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alikum..Mera apsey sawala hey k jin kapron per likoria laga ho kya WO kaprey pehn k namaz parh sktey hn ?

Answer: Likoria ka pani paak hay, is main namaz perhi jasakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9106
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir me peeshab karne k bad penis ko dhota hun or washroom se bahar ane k bad mujhy esa lagta hai k mere peshab k katry nikal rahy han kapro me.kiya wo peshab hi hota hai kiya us se napak ho jate han?

Answer: Wo ratoobat jo baaz awqaat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain jab kise shaks ne pheshaab k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #345,70,1553). Update on dated 13-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9264
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Kuttay ko hath laganay say wuzu toot jata hai. Agar Kauttay ki DUm kaproon par lag jaye to kia kapray kharab ho jatey hain?

Answer: 1)Kutte ko hath lagane se wuzu nahi tootta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #322). 2) Agar kutta ya aap ka badan geela ho or phir kuttay k badan ka koe hissa aap k badan se lag jaey tu aap ka badan najis ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 09-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9298
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr napak jism par pak kapry phen leaye jaye tu kya kaory b napak ho jaye ge

Answer: Agar badan najis ho or os per paak keprha pehna jaey tu wo kaprha jaey tu wo kaprha is sorat main najis hoga jab najis badan ki nijasat gilahat(wetness) k sath kaprhay ko lagay.wazeeh rahay k wo shaks jo janabat ki halat main ho ya wo aurat jo haiz ki halat main ho, on ka pasina paak hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #114,119). Update on dated 18-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9328
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ehtelaam honay k baad agar kapray ki use jaga ko dhoo k pehn lay to yeh theek hai kia?

Answer: Jee haan, jis jagah nijasat lagi ho faqat osi jagha ko dhoona zarori hota hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 22-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!