Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12588
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah k lia wozu ka kana zarori ha k nai?

Answer: zaroori nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 24-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12769
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As salaam waliakum Maine Apne hath pe beta ka Ma'am we tattoo banaya hai. Wo MERI nadani thi ab mai kya Karu.

Answer: 1)Tattoo banana jaiz hai magar: 1)wuzu ya ghusl k liye pani pouchnay mai rokuwat na ho. 2)gunah mai parhnay ka khof na ho. 3)tattoo sai galat aqaid ki tarweej na ho. 4)Allah ka nam ya quran ki koi ayat na ho. 5)aurat k lie agar zeenat shumar ho to na mehram sai chupana wajib hai.(Ref : email rec from ayatollah sistani d.b.) 2)Agar (wuzu ya ghusl me) pani phochne me rukawat ho to use hatana zaroori he. (ref: mujthid se puchhe gaye sawala part 2 page no 27 Aytullah Seestani (d.b.) [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12867
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum . Janaab mjhe bar bar peshab k katre aanay ka waswasa hota hai aur katre aate bhi hain aur kapdon per katre dirham se kam miqdar main lagte hain to isko dhonay ka kya hukum hai ya srf paani ki cheeton se paak kren . ?

Answer: Agar koi aise marz me mubtela ho k ise peshaab k qatre ghirte rehte hon to Agar use ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak us ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar us ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. Agar us ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) . [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13102
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar sohar apni biwi ko balo me high light karvana kahe to kya biwi karva sakti h. Usse namaz hoti h

Answer: Balo ko high light karwane se balo main koe rukawat nahi hoti is liay wuzu or ghusl main koe maslah paish nahi aata, is liay namaz ho jaati hat. (Ref; tauzihul masael, maslah#289, 379) [Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13160
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia bina wazoo k numaz ho jati hai? Agr jism pak ho koi galazat na ho aur wazo bhi na ho? Maine aek molvie se suna to unhon ne kah wazo k bina bhi nimaz ho jati hai per sawab kam milta hai isi trhan kia nimaz e jinaza aur quran parhna bhi ho jata hai?

Answer: 1)Baghair wuzu k namaz nahi perhi jaa sakti, Albatta namaz e janaza Baghair wuzu aur gusl ke parhi ja sakti hai lekin namaz e janaza ke liye bhi wuzu aur gusl karn amusthab hai. 2)wuzu ke beghair Quraan ki tilawat kar saktay hai lekin baghair wuzu k quran ke alfaaz ko mass nahi kar skatay, Jo shakhs ba-wazoo na ho Us k lie Quran majeed k alfaz ko mas karna haram hai. laikin agar Quarn majeed ka farsi zaban ya kisi aur zaban me tarjuma kiya gaya ho us ko mas kar sakte hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslah#315,601,316) [Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13316
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum ... Kya hum bina wazu ke Noorani Qaida yaa Deeniyaat ki kitabe padh sakte hai chahe ho Arabic yaa English language mein .. aur kya yahi chizze ladkiya periods ke dauran padh sakti hai

Answer: 1: Jee parh saktay hai lekin wuzu k baghair us Qaiday me mojud Suron ke alfaz ko mass (yani chhoo) nahi saktay.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani (d.b), edition 41st, maslah#316). 2: Periods ki halat main quran ki wo ayaat perhna jis me sajda wajib ho haram hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fusselat (ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najm surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah alaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat). In ke elawa baqi quran ki ayaat ka perhna jaiz hay. Laikin quran ke alfaaz ko chona jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition 39th, maslah #354,448) (Note: Khawateen Periods ke dauran quran ki in 4 ayaat ke elawa poora quran parh sakti hain. Lekin Qaiday me mojud Suron ke alfaz ko mass (yani chhoo) nahi sakti hain) [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13421
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum! Mje yeh janana ha k during pregnancy r sardi ki waja sy bhi bar bar choty peshab k liye jany ki hajat hoti h zada dair wazu qaim nhi rehta to is surat ma aurat bina wazu k Quran Pak parh skti ha?

Answer: wsalam. Baghair wuzu k quraan parhaa jaasakta hai lekin us k huroof ko haath lagaan jaaiz nahi hai.((Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 316). [Updated on 10-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13437
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya tail lagy balon ka masah Kiya ja sakty hai ya pehly bal dhona zarori hen??? Tail pory balon Mai laga ho tu ? Jazak Allah

Answer: Sirf chiknahat say koe faraq nahi parhay ga lekin baqaeda tour par itna oil laga huwa hay kay paani k puhanchnay men rukawat hai to usay hatana parhay ga. (Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat, part # 04, pg # 26) [Updated on 16-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13449
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia pair ko chair p rkh kr pair ka masah kar sakte hain?? Is trhan masah hojaega?

Answer: Jee han, kar saktay hain lekin is tarah masah kiya jaye ke paon hil na rahe hon. balke paon aik jagh sakin hon.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #254). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13482
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر ہاتھوں پہ سیاہی لگ جائے تو وضو صحیح ہوگا یا نہیں؟

Answer: agar paani k pohanchne mai rukaawat hai tou usay pehle hatana zaroori hai or agar paani k pohanchne ka yaqeen hai tou phr wuzu sahi hojaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 289). [Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!