Question: mara sawal ye hai k.hy jima ky bad agar aurat jaldi gusul na kar saky to kia islam main ous ky leye koi reyait hai. kia vho ghar ky kamun sy farig ho ky gusul kar sakti hai???
Answer: Jee haan aurat apne gahr k kaamo se farigh ho ker ghusl e janabat ker sakti hay Q k ghusl-e-Janabat fauran kerna wajib nahi hay ghusl e janabat tu sirif namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat k liay wajib hota hay..(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal yeh hai ki hu kin kin chizon se naapak ho jate hai,agar oral sex kiya to kya hum namaz nahi padh skte? shaadi k baad gusal ka kya hukam hai ?
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Do cheezo say insan mujnib(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Note : agar oral sex sai mani kharij ho jae to insane mujnib ho jata hai. 3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)
Question: If husband/wife sleeping together and husband discharge semen in dream and semen touch the wife body.Is ghusul farz on wife although it will be farz on husband.
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Ceremonial bath (ghusl) is obligatory only for husband not for wife. And wife must wash only her body and where semen has been touched with wetness.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 119,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya sex karne k bad zaruri hai gusal karna baghair gusal kie kuch kaya jae toh wo haram nai ogah
Answer: Jee haan gahr k kaamo se farigh ho ker ghusl e janabat ker saktay hain Q k ghusl-e-Janabat fauran kerna wajib nahi hay ghusl e janabat tu sirif namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat k liay wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal ye hai ki mere sharamgaah se kabhi kabhi mani nikal jata hai .iski wajah se gusul kana jaruri hai
Answer: 1-Agar aap ko kisi tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per{maslan kisi aurat se baat kertay hoay ya lazzat ka khiyaal sochtay hoay} merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67). 2-Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 3-Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: me eighteen saal ki hun n jb me ap k question parhti hun na jis me sex ka zkr ya phr suckin waghera ka zikr ata he tu mra aik liquid ata he kia wo najis he n kia uska ghusl he
Answer: wo rutubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Had tak ho keh usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.or isi terah bina ber ehtiyaat e wajib agar hejaan e shewat ki intayha tak bhi nah pohanchay magar paani inta ziyada ho kitna poori rizamandi k mauqay per kharij hota hay.(yani aisi sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per ghusl wajib hoga). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ager janabat mai mard ny condom use kia ho or aurat k ander sy b kch na nikly to kya aurat wazo kr k namaz parh skti hai ya nhe?
Answer: Note : is web site me fiqah e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Agar koe shakhs aurat se jima karay aur uzo e tanasul(penis) supari( point of circumcision) ki miqdaar tak ya is se ziyada dakhil ho jay, chahay ye dkhool farj me ho ya pichlay maqam me aur chahay wo baligh ho ya na-balig aur chahay mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein,aur ghusul e janabat wajib ho jata he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: minni ks color ki hoti hai?kia safed pani k anay say gusal wajib hota hai?
Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Nahana kb faraz hota hy jb mnie kharaj ho
Answer: Do cheezo say insan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera qtn hai ki nind ki halt m agr mani nikal jaye to gussal krna zaruri hota hai?
Answer: Do cheezoo sai insan mujnib ho jata hai jis mai sai aik mani ka kharij hona hai chahae neend ki halat mai hi niklay aur ghusal e janabat wajib namaz prhnay k lie aur aisi hi doosri ebddat k lie wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344,356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).