Question: salam. kya miya biwi hambistari karte ho lekin mard ki sharmgah biwi ki sharmgah k ander enter nahi hoti to kya miya biwi dono per gusl farz ho jata he?? pls detail me samjaiye...
Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Agar koe shakhs aurat se jimma karay aur azo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jay to chahae ye dkhool fraj me ho ya pichlay maqam me aur chahae wo balig ho ya na balig aur chahae mani kharij ho ya na ho donoo junub ho jatay hein.aur ghusl e janabat wajib ho hata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam. miya biwi sohbat karne k bad agar so jana chahte he to kya gusl kiye bagair so sakte he????
Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Jima k baad baghair ghusl k sona makhroh hay.albattah agar wuzu ker lain ya pani nah honay ki wajah se ghusl k badlay tayammum kerlain tu phir sona makhroh nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam,sir kiya ghusl e janabat se pehlay peshab karna zarori hota hai? logo ka yeah kehna hai k ghusl se pehle peshab karna chahe or nahi?
Answer: Mani kharij honay k baad insan k lie peshab karna mustahab he. Aur agar peshab na karay aur ghusl k baad is k peshab ki nail se ratobat kharij ho jis k baray me wo na jaanta ho k mani he ya koe aur ratoobat to wo ratoobat mni ka hokum rakhti he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 347) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asllam-o-alikum janab mera sawal ha k ager hasband apni wife k sath mushabat karta ha tu ager dono discharge nhi hotey tu kia suba uth kar nahna partha ha namaz or quran parhney k liyey kia ap muj ko is ki tafseel bata saktey ha
Answer: Agar koi shakhs aurat se jima karay aur ezu e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dakhil ho hay to chahae mani kharij ho ya na ho donoo mujnib ho jatay he aur namaz parhnay k lie aur aisi hi doosri abadatoon k lie ghusl e janabat wajib ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348, 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: regarding gusal e janabat after humbisteri when we can take a gusal e janabat is it possible we will take when we get getup after sleep or immegiatly we have to take. please tell me
Answer: Ghusl-e-janabat wajib namaz parhne k liye or aysi dusri ibadat k liye wajib hai. lehaza jab ap aysi ibadat anjam den jis kl liye wazu krna wajib hota to us k ghule-e-jinabat wajib hojata hai ab apko ikhtiyar hai k sone k bad anjam den ya jald anjam den. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354)
Question: sir muje mazzi k full ahkam malum krne hain? agr ksi ratubat k bary ma shak ho to wo kya samji jaye mazi ya mani? and kya mazi mardana kamzori ka bais banti hy????
Answer: Wo ratobat jo kabhi kabhar shehwat ubhrne par mard ki sharamgah se kharij hoti h ose Mazi kehte hen or wo pak h. Or wazu ko bhi batil nahi karti(Namaz parh sakte hen.) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70).Wo ratoobat jo baaz oqat peshab k baad niklti hai agar peshab os se mila hua na hua to wo pak hai aur os ko Wadi kaha jata hai.wo mani nhi hai aur ghusl bhi wajib nhi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aslamu aleikum mera sawal ye hai kai jab me kisi larki ko dekhta hu to koi katre nikal ay wo katre pani ka tara hotai hai kia ia par gusal lazam hai
Answer: Wo ratoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne pr mard k aalay-e-tanasul se kharij hoti hai use Mazi kehten hai wo pak hai, is se ghusal bhi wajib nahi hota hai or na wazu batil hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #345-70).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: please tell me dua for Ghusl e Janabat in Arabic and in Urdu.
Answer: Ghusl e janabat ki dua mustahab he or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) ﺍﮮ اﷲ ﻤﻴﺮﮮ ﺪﻞ ﻜﻮ ﭙﺎﮎ ﻜﺮ ﺪﮮ ﺍﻮﺮ ﻤﻴﺮﻯ ﻜﻮﺸﺸﻮﮟ ﻜﻮ ﻘﺒﻮﻞ ﻜﺮ ﺍﻮﺮ ﻤﻴﺮﮮ ﻠﻴﮯ ﺠﻮ ﺘﻴﺮﮮ ﻨﺰﺪﻴﮎ ﺨﻴﺮ ﮨﮯ ﻮﮦ ﻘﺮﺍﺮ ﺪﮮ ۔ ﺍﮮ ﷲ ﻣﺠﻬﮯ ﺘﻮﺒﮧ ﻜﺮﻨﮯ ﻮﺍﻠﻮﮟ ﺍﻮﺮ ﭙﺎﮎ ﻠﻮﮔﻮﮟ ﻤﻴﮟ ﺴﮯ ﻘﺮﺍﺮ ﺪﮮ (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mara sawal ya han k mojh ko bewi ko fon karty waqit chand katry aty han kaya alaj han
Answer: Wo ratubat jo kabhi kabhi shehwat ubhrney per mard ki peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masail Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam O Alaikum Mufti Sab agar fahash Film ya koi kam dekh lia jay to ghusal farz hojata hay kia kia wazo kar kay namaz parh saktay hain
Answer: Wssalam o alykum, Ager mani kharij nahi hoi to wazo kar ke nanamz phar sakte hain, garche aysi chizen dekhna bhi haraam hen. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 344) , (Ref : nigaah o lebaas , baab # 2 , sawaal no # 56 , pg # 47 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).