Question: kia bevi ham besteri k baad bachy ko doud pila sakti he ya nahe
Answer: Halat e janabat main aurat k liay apny bachay ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat krnay k baad ya wuzu ker k bachay ko doodh pilay(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354,355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ghusl-e-janabat kab wajib hota hai
Answer: 1)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. 2)ye zaroori nhi k insan ghusl k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻗﺮﺑﺔﺍﻠﻰﺍﷲ ” yani khuda ki bargah mai aajazi k iraday sai ghusl kray to kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A.O.A mera sawal ye ha k agar koi shaks in boray kamo say rukna chaehy or sotay wakht koi aisa khawab daikh liya jis say mani kharij ho gai to kia kerna chaeay or gusal janabat ki neat kaisi ki jai
Answer: Agar rat ko sotay huay mani kharij ho jae to os ko ehtilam kehtay hain aur is sai ghusl wajib ho jata hai. aur ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-57)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam sir meri umer 21 saal hai or meri shadi bhi nahi hui or meri mani ka masla hai sir plz is ka koi ilaj bataye mai bohat pareshan hoti hun meri namaz nahi hoti mujhy koi hal bataiye k ye khatam hi ho jay thank u
Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hain.
Question: AOA sir mera ye Q hy k kya janabat k baad gusal karne se pehle bache ko doodh diya ja sakta hy?
Answer: Halat e janabat main aurat k liay apny bachay ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat krnay k baad ya wuzu ker k bachay ko doodh pilay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354,355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salamunaleykum janab agar mani niaklney key bad peshab karey or istabra karey or uskey bad koi ratwobat nikley ya na maloom ho ki kiya hai to kiya insaan pak hoga ya najis
Answer: Mani kharij honay k baad insan k lie peshab krna mustahabb hai aur agar peshab krnay k baad istebra kray aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai shak ho k peshab hai ya mani to wo pak hai. aur agar yaqeen ho k peshab hai ya mani to to wajib hai k ehtiyatan ghusl kray aur wazoo bhi karay(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 347)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agr her roz soty waqt moni k qatry nikal jain ar pta na chaly to kia insan pak ha k napak?
Answer: 1)Do cheezo say insan junub(halat e janabat) ho jata hay. i)mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say, chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k sath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyar main ho ya nahi. Mani k niklnay sai insan mujnib ho jata hai. 2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia larki husband say intercourse karnay k baad , bagair ghussal kiye namaz parh saqti hay?
Answer: Jima karnay sai sohar aur biwi donoo mujnib ho jatay hain aur ghusl janabat namaz parhnay k lie wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya ham sex k bad khana kha skty hain bina nhaye?sehri ki bat ni wesy normal khana,,,sex ya mani niklny k bad kha skty han bina nhaye?ya yh bi ibadat men ata hai.plz guide me
Answer: Mujnib (jis shakhs par ghusl e janabat wajib ho gya ho) k lie khana aur pina makrooh hai laikin agar hath moo dho lai aur kulli kar lai to makrooh nahi hai aur agar sirf hath bhi dho lai to karahat kam ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agr ehtlam ho jae to kya us k liye ghusal lazmi hai ya bnda kuch aor b kr skta hai?
Answer: Agar rat ko sotay huay mani kharij ho jae to os ko ehtilam kehtay hain aur namaz ya is jaisi doosri ibadat k lie ghusl wajib ho jata hai. aur ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 356, 357)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).