Question: mubasrat kay baad bina ghousal kya khan peena jaize hae ya na jaize
Answer: Mujnib k lie ghusl karnay se pehlay khana aur pina makrooh he lakin agar hath moo dho le aur kulli kar le to makrooh nahi he aur agar sirf hath dho le to bhi karahat kam ho jati he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sar raat ko bivi se humbisteri karne ke baad ghusal kiye baghair so sakte haen kiun ke subha uthhne se phele phir humbisteri karni ho,our kya bivi uzoo ko chat sakti hai
Answer: Jima k baad baghair ghusl k sona makhroh hay.albattah agar wuzu ker lain ya pani nah honay ki wajah se ghusl k badlay tayammum kerlain tu phir sona makhroh nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 355) 1) Aik dafa jima karnay k bad dubara jima karnay k lie ghusl k bagair jima karna makrooh nahi he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) 2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) 3) Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Warna wajib nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: If wife sucks dick of her husband or her husband lick her vegina only no intercourse do gusul e janabat wajib by doing that act only
Answer: A person enters the state of Janabat in two ways: 1. Sexual intercourse 2. Discharge of semen, while sleeping or when awake, little or more, with lust or otherwise, voluntarily or involuntarily. Result: So if you did not do intercourse or semen is not discharge from your penis and your wife vegina by suking and liking, then no ghusl e janabat will be obligatory on both of you. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: 1.shewat se ratobat nikle to ghusal janabat wajib he yeh sehwat se ratobat nikal ne ka kia matlab he? 2.shewat se ratobat nikle to kia ghusal janabat wajib he ur agar roza raka hoo tho to bee ghusal janabat wajib he?
Answer: 1)shehwat se ratobat nikalnay ka matlab lazzat or khahish k saath ratobat ka jism se kharij hona hay.(Ref: fairozul lughaat pg#852 ). 2)Agar rozay ki halat me bay-ikhtiyaari ki halat main kisi ki mani kharij ho jay to to is se roza batil nahi hota he.Laikin os per ghusl wajib ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam O Alekum,,, Mera. Sawaal Yeh Hai Ki Mere Koa Baar Baar Aithlam (Money) Nikal jaati Hai . Toa Ab Isse Mai Namaz Pard Sakta Hoa Ki Nahi.Ab Baar Baar Ghusul Kaise Karo Mai. Din Bhar MAi Office MAi Rehta Hoa
Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67) 2)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: is guslejanabat wajib even if we dont have intercourse and only have foreplay?
Answer: Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. Aur ghusl e janabat wajib hota he. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Is k alawa insan mujnib nahi hota he(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail maslah # 344).
Question: aoa mera swal ye h k aik urat ki sharam gah se sufid rang ka mada nklta h kia ye napak hota h.kia urat namaz prh sakti h agr namaz kdoran bi a jay
Answer: Wo ratobat jo aurat se shewat k saath kharij hoti he agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aaloda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mujhey ghusl ki dua english me aur urdu chaiyea aur dua e janabat ki dua b english me aur urdu me chaiyea
Answer: Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÊÞÈá ÓÚíí æÇÌÚá ãÇ ÚäÏß ÎíÑÇð áí ¡ Çááåã ÇÌÚáäí ãä ÇáÊæÇÈíä æÇÌÚáäí ãä ÇáãÊØåÑíä ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).
Question: Ladki ke paas kuch de bait ne se mani nikalti hai to kya mujhe gusl kar ke namaz pad na hoga ya aise hi bina nahaye namaz pad sakta hu
Answer: 1)Agar mani niklnay ka yaqeen he to Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Warna wajib nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) 2)wo ratoobat jo khabi khabi shawat ubharnay per mard k ala e tanasul se kharij ho ose mazi kehtay hein. (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356,70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam. kapdo k sath hambistari ki or mard ko mani nikal gaya to kya mard or orat dono per gusl ferz ho gaya??
Answer: Note : is web site me fiqah e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Agar koe shakhs aurat se jima karay aur uzo e tanasul supari ki miqdaar tak ya is se ziyada dakhil ho jay, chahay ye dkhool farj me ho ya pichlay maqam me aur chahay wo baligh ho ya na-balig aur chahay mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein.aur ghusul e janabat wajib ho jata he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)