Question: Sir meri peshab ma mani ky qtry aaty hen
Answer: Wo ratubat jo baz awqat peshab k bad niklti hai agar peshab os sai mila hua na ho to pak hai aur ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar pakhana kartea waqat peashab kea rastea sea mani nikal jayea tu insan napak ho jata hai ya nahi
Answer: 1)Agar yaqeen ho k mani hai to ghusl e janabat namaz wagira k lie wajib ho jae ga. 2)Wo ratubat jo baz awqat peshab k bad niklti hai agar peshab os sai mila hua na ho to pak hai aur ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar kisi larki say bat karty huye semen nikal jaye to kia gusal zarori hua??or namaz k liye kia ahkamat hai?
Answer: 1)Do cheezo say insan mujnib(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Aur ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) 3)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A.A , begum sy malaap k kitne dair bad ghusal laina chahiye. agr hum 1 din bad ghusal laitay ha tu us ka ghuna tu nai ho ga ....????????
Answer: Ghusl e janabat namaz aur is jaisi doosri ibadaton k lie wajib ho jata hai warna wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356-8)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: meaning of mani insan bibi ke sath kab napak hota hai ya koi buri chiz ke bare me sochna ya galat chiz dekhne se insan kab tak napak nahi ho sakta hai
Answer: 1)Do cheezo say insan mujnib(halat e janabat) ho jata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Is k alawa ghusl wajib nhi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 344) 2)Haram k baray mai sochna agar inzal(mani kharij hona) ka sabab na banay to ehtiyat e mustahab hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82) 3)Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mard Hazrat pe kia ghusal ki halat men kuch khana peena islaam men kesa hai yani jb tak ghusul kar na len tb tak kuch kha pi nahen sakte? ap is sawal pe kuch roshni dalen. Shukria
Answer: Mujnib yani wo shakhs jis par ghusl e janabat wajib ho gya ho chahae mard ho ya aurat os k lie khana aur pina makrooh hai laikin agar hath moo dho lai aur kulli kar lai to makrooh nahi hai aur agar srif hath dho lai to bhi karahat khatam ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: bivi hambistri k wakat apny bach ko dodh pila skti hy?
Answer: Jima(intercourse )k douraan aurat apne bachay ko doodh pila sakte hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5,4th edition). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: bivi hambestri k wakat ya hambestri k bad kabl az ghusal apny bachy ko dodh pela sakti hy?
Answer: Aurat k liay halat janabat me apne bache ko doodh pilana jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ghusal e janabat ka tarika aur niyat tafseel se batayen
Answer: Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1:Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. 2:Ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: SLAM. mera question yeh ky kia ik najaas admi nohay aur zikar e ahal e bait(a.s) najas halat men sun sakta hy computer wagra pe?
Answer: Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354-55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).