Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4646
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamalequm Sir kya agar hamare thoda pani sa nikala hai to kya hum majlis mai beth sakte hai jabki hume pata hai ki ye mani nahi h jiski wajha se gusl wajib h

Answer: Jo ratubat shahwat anghez tasawarat k waqt insan apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo pak hai aur is sai ghusl bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. aur majlis mai bhi ja saktay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4662
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a o a. kya gusal farzhonay par humm qurann pakk ke talawat krr saktahnn binna hath lagayaquran pakk ko numbar 2 kya gusal farz hona parr zubann na pakk hote hy ya pakk plzzz tell me aoa

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. 1-Halat e janabat main baghair quran k alfaaz ko hath lagay Quran ki on ayaat ko perhna jaiz hay jin main wajib sajdah nah hota.Laikin Quran majeed ki 7 se ziyada aisi ayaat perhna jin main sajdah wajib nah ho makhrooh hay.Halat janabat main on 4 ayaat ko perhna jin k perhnay se sajdah wajib ho jata hay,haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354-5) 2- Halat e janabat main zaban najis nahi hoti,laikin is halat main khana or peena makhrooh hay, agar hath or monh dhoo lay or kulli kerlay tu makhrooh nahi hay or agar sirif hath dhoolay tub hi karahiyat kam ho jay gi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4706
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum Sir mera ap se ye sawal hai ke mera azu tanasul jab khara hota hai aur phr jab normal ho jata hai to aus me se drops atay hai to ye mujhe koi bemari hai ya kia hai plzzzz sir mujhe ais ka hal batay.

Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shewat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4743
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera swal ye ha k agr lrki ki sex wali jaga sy bgair sex kiye white rang k paani ki trha ki koi cheez nikly nafsani khuwahish ki waja sy to kia us ki waja sy lrki per nahana wajib ha ya nai

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k sath Kharij hoti hay agar is hadd tak ho kay usay Inzal Kaha ja sakay aur libas ko aaloda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4774
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ihtalam ki bimari me ghusal ka kia hukam he.

Answer: 1)Agar rat ko sotay huay mani kharij ho jae to os ko ehtilam kehtay hain aur is sai ghusl wajib ho jata hai. aur ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-57)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 2)Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370) Ehtilam sai bachnay k lie : Sonay say pehlay ba-wazoo halat mai surah e mea’rij(surah no. 70) ko aik martaba parhay aur surah e noor likh kar takiay(pillow)k nichay rakhay to ehtilam sai mehfooz rehay ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4840
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.a Kya gusul napaki ho jane k bad roti ya koe bhe chiz nahi khai ja sakti jab tak k gusul na krle.

Answer: Mujnib (jis shakhs par ghusl e janabat wajib ho gya ho) k lie khana aur pina makrooh hai laikin agar hath moo dho lai aur kulli kar lai to makrooh nahi hai aur agar sirf hath bhi dho lai to karahat kam ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4845
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam....janab kuch majburi ki wajah se zyada der tak janabat ki halat me reh sakte hai ya nai....?

Answer: Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he, is sai pehlay wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4914
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As salam wale kum jab mere shohar mujhe kiss karte hai ho me napaak mani jaugi or iske liye gusal wajhib hai kya?

Answer: Jee nahi kiss krnay sai sohar aur biwi donoo par gusal wajib nahi hota hai. (Ref : Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 344)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4974
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamalaikum...mera sawal ye hai ke agar badan pe najasat(mani) lag jaaye...aur use paani se saaf karne ke baad wuzu karenge to namaz ada hojayegi ya ghusl karna zaroori hai.

Answer: Mani niklnay k bad namaz aur is jaisi doosri ibadatoo ko anjam denay k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. lehaza agar mujnib(mani niklna) honay k bad koi bhi wajib ibadat ka waqt phonch jae to ghusl krna wajib ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4975
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir g muje bht ziyda jarjahan hota hai har waqt mani k katary atey hain mein bht kamzor b ho kia karo

Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!