Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5356
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. ye kasy pta chlay ga ky kharig mani hy ya ratubat ya kuch or plz in ma difference bta dn. 2. agar 3 ya 4 drop nikly ho or mahsoos na ho or ye sookh jay tab en ma farq kesy pta cahly ga.

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Agr ksi shaks k maqam-e-peshab sy koi liquid niklay aur wo ye na janta ho k wo mani hai,peshab hai ya koi aur cheez tou agar wo liquid sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust hogaya ho tou wo mani hai lihaza wuzu toot jaega aur gusal-e-janabat bhi krna hoga,lakin agar sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai,lihaza agar wo peshab hai tou wuzu toot jaega magar gusal nahi krna parega.is k ilawa agr wo liquid jo kbhi kbhi sehwat(sex intentions) ubharnay par merd k penis sy nikalta,nikla hai tou usay mazee kehtay hain aur wo paak hoti hai aur us sy wuzu bhi nahi tootta aur gusal bhi nahi krna hota. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5374
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamo allaikum molana sahab mera question ye hai napakiyat ki halat me banda tasbiyat kar sakta hai matlab ...Allah o akber ..subhan Allah..Ahumdulillah... ki tasbee perh sakta hai ...quran or namaz to perhna mana hai kia tasbee perhna b mana hai ???

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Halat e janabat main baghair quran k alfaaz ko hath lagay Quran ki on ayaat ko perhna jaiz hay jin main wajib sajdah nah hota.Laikin Quran majeed ki 7 se ziyada aisi ayaat perhna jin main sajdah wajib nah ho makhrooh hay.Halat janabat main on 4 ayaat ko perhna jin k perhnay se sajdah wajib ho jata hay,haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354-5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5389
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aorten apne najis deeno me duaen ya munajat parh sakti hain . aisi halat me shbe juma ko bahut dil bechain hota hai ibadat karne ko tab kya karen

Answer: duaain o munajaat ke alfaaz ko hath lagaae bageer pharna jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 354 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 5399
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a a mre sohar bahar hi ma jab un se bat karti ho muje white mani aati hi ju k muje ni pata k mani hi ka ni kiya muj par gusal wajab ho gya

Answer: Wssalam o alykum, ager ap us waqt shewat ki intihai halat main hon or shehwat ke sath nikli ho or is miqdaar main nikli ho ke ap ke libaas ko aloda kar de or is ko inzaal kaha ja sake (yani is ke nikalne ke baad ap ki shewat kam ho jaae) to ye ratobat mani hai or is ki waja se namaaz or is jesi ibaadaat ke liye gusal e janabat wajib hai or gusal e janabat ke baad zarori hai ke namaaz wageera ke liye wazo na kare. or ager ye condition na hon to gusal e janabat wajib nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 345 , 389 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 5402
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Halet E janabat main koi aitulkursi ki tilawat kar sakta haiAgar kar sakta hai to kitnay bar

Answer: jee, mager 7 se ziyada ayaat ki tilawat karna makroo hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 355 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 5437
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: gusal krne k bad saaf kapre pehinne k bad aik tk wohi kapre pehine ho phr wo napak kapre sirf 2,3 ghanto k liye pehine to kia gusal wajab jo jaye ga>?

Answer: Jee nahi is sai ghusal wajib nahi hota hai, Ghusal e janabat 2 cheezo sai wajib hota hai 1:Jima sai 2: Mani k kharij honay sai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5481
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualikum , Mera sawl hai ki kya koi handpractice kar nai sai gushul wajib hoti hai kya? Agar wajib hoti hai to isse kaisa paak karna chayee ? kaprai ko kaisai paak karna chayee................plz answer my mail id

Answer: 1)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) 2)Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) 4)Agar mani badan par lag gae ho to pehlay ya ghusl k doran osay pak krna paray ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 371) 5)Kapray ko pak krnay k lie pehlay mani ko hatana ho ga phir aik dafa qaleel pani is par dala jae aur phir os ko nichora bhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 156)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5486
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar peshab karne ke baad badan me kamzori ka ehsas ho to kya ghusl janabat karna padega...kya peshab ke saath mani bhi kharij ho sakti hai...

Answer: Baaz awqat jo ratubat peshab k bad kharij hoti hai osay wida kehtay hain aur wo pak hai aur os sai ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5522
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera sawal yeh hy ke agr insan khd ko apni mar. zi sy junub karey to kitni days mein wo namaz nahi pert skti?

Answer: 1)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) 2)Jo shakhs jan boojh kar mani nikalay os ko namaz parhnay k lie ghusal e janabat karna paray ga phir namaz parhni ho gi namaz ki choot nahi milay gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5538
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar sharamgah se shahwat se kch pani jaisa nikle kya usse gusl farz hota hai???

Answer: Jo ratubat insan shehwat angaiz tasawarat k waqt insan apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo pak hai aur is sai ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!