Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6552
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam sir jab mara khara ho jatha hai to halka pani (wani) nilktha hai is wqt muja par gosul wajib hotha hai ya nhi or mari pant napak hoti hai ya nhi.

Answer: Wo liquid k qatray jo kbhi kbhi shehwat (sex intentions) ubharnay par merd k peshaab k maqam sy nikaltay hai usay mazee kehtay hain aur wo paak hain,aur us par ghusl bhi krna wajib nahi. Aur wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6566
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar subah banda paleed ho to sehri paleedgi mein kr sakta hai

Answer: jis shaks per ghusl e janabat wajib ho us ko namaz fajar se phele ghusal janabat karna wajib hai aur agar wo jan booj kar fajar se pehle ghusal janabat na kare to us ka roza batil ho jaay gha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1591 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera yeh sawal hai kay ihtelaam se kisi bhy qism kay maday ya kisi bhy cheez ka koi nuqsaan hota hai ya nai???? aur ghusul kis tarah kia jaiga??

Answer: Agar ehtilam ho jae to namaz aur is jaisi doosri ibadatoo k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1) Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 ) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70). Note ehtilaam se nuqsaan hota hai ke nahi is ke liye doctor se mashora karian.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6643
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar me shahwat angaiz tasurat k waqt mani ka nikalna mehsos karo to ghusal wajib h???????

Answer: Gee bilkul ghusl wajib hota hai. 2 chizon se insan mujnib hojata hai aik jimaa or dusra mani nikalne se , chahay wo neend ki halt men nikle ya jaagte men, kam ho ziyada, shehwat k sath nikle ya bagher shehwat k or uska nikalna ikhtiyaar men ho ya nah ho har soorat men ghusl wajib hojata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msla#344). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6644
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shehwat se kya murad h?????????

Answer: Shehwat se murad jinsi lazzat,khwahish-e-jimaa,jinsi khwahishat. (Ref: Feroz-ul-lughat urdu , page#852). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6670
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamualaikim mera sawaal yeh hai ke kya apni sharamja se urine ke alawa jo cheez ati hai agar wo jism pe lag gaye or usse dho dia gaye to kya usske baad insaan napaak hota hai ya usse gusl karne ki zarorat hai wo namaz or quran padsakta ha

Answer: Wo ratoobat(liquid qatre) jo khabi kabar shehwat ubhrnay par mard ki sharamgah se kharij hoti hai use Mazi kehtay hain aur wo paak hai(matlb ap namaz parh sakte hen). Aur wazoo ko bhi batil nahi karti. aur wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise Wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay Wadi kehtay hain agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is se ghusl wajib nahi hota hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 31th, Maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6692
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main jab laterine karne jata hoon to mera dhaat nikal jata hai to kya mujhe gusl karna padega. Kya isse main naapak ho jata hoon aur main iske baad bina gusl ke namaaz padh sakta hoon. Pls tell me.

Answer: Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe. Aur ghusal bhi wajib nahe hogha aur wazu bhi batil nahe hogha (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #345 )

Id: 6787
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: janabat k baad wajibai k ghusal kr k e ap kitchen ka kaam kr skty ho....agr jldi ho to kitchen ka kaam kia ja skta hai k nhi...

Answer: G han karsakte hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 354 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 6796
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia janoob kay liye khanaa khaana ya paani peena jaiz hai?

Answer: G han jaiz hai, lekin hath moon dhoye to karahat khatam hojati hai or agr sirf hath dhole to bhi karahat kam hojati hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 355 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6839
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir g, swal hai ka, jb koe film dakh rha hota ur romentic seen jb ata hai usa mahsos hota hai nafus sa kuch discharge ho rha hai.tu usa ghusal karna pra ga.ur is duran kuch khana haram hai. Plz sir give answer with detail.

Answer: Wo liquid k qatray jo kbhi kbhi shehwat(sex intentions) ubharnay par merd k peshaab k maqam sy nikaltay hai usay mazee kehtay hain aur wo paak hain,aur us par gusal bhi krna wajib nahi. Aur wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!