Question: Kya zinnah dekhna sa ghusul wajib hota ha
Answer: srif zina ko dekhne se ghusal wajib nahe hota albatta baliq musalmaan ki sharamgha ko dekhna haram hai . Mard kay liye na-mehram aurat ka jism dekhna aur isi tarah is kay baloon ko dekhna khwah lazzat kay iraday say ho ya is kay baghair,Haram main mubtala honay ka khouf ho ya na ho Haram hay....2:Wo be-parda aurtain jinhain agar koi parda karnay kay liye kahay to wo isko aihmiyat na deti ho,un kay badan ko dekhnay main agar lazzat ka qasd ya haram main mubtala honay ka khouf na ho to koi ishkaal nahi,is hukum main kafir aur ghair-kafir aurtoo main koi farq nahi.isi tarah un kay haath,chehray aur jism kay deegar hissay jihain chupanay ki wo aadi nahi,koi farq nahi hay( laikin jisam ke wo hisse jinhe wo aadatan chupati hay un ko dekhna jaiz nahe hoga) ek mard ko dusre ka badan lazzat ki niyyat se nahi dekhna chahiye . isi tarah agar haram kam me mubtela hone ka khof ho tab bhi haram he. jo shakhas shadi na karne ki wajah se haram feal me mubtela hota ho us par wajib he ke shadi kare. do chezo se insane per ghusl e janabat wajib hota hay 1. mani k kharij honay se 2. jima kerne se (yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main). 2) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota hai. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156,2392,2393,2397 & 2402,2400,356) [Updated on 19-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shower istamal kr k gusal ho jata? Agr hota ha tou uska tareeqa kya hoga? Mani or mazi main kya farq ha? Kya mazi nikalny sy b gusal frz hota ha?
Answer: 1) ghusl shower k nichay kia ja sakta hai aur is ka tareeqa ye hai k ghusl ki niyat k sath pehlay sar aur garden ko dohay phir ehtiyaat e wahib ki bina per shower ko band karay ya sar ko kuch lamhe ke lie pani se nikala jaay or os k bad shower ko kholay aur badan ko dain(right side) taraf sai dohae phir shower ko ehtiyaat e wahib ki bina per band keay ya badan ko pani se bahar nikale aur badan ko bayen(left side) taraf sai dohae. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,part#1 maslah #185) Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Mazkoora soorat kay ilawa agar wo ratoobat Mazi ho to paak hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.62,Masala No.345,Pg.25,Masala No.70) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,part#1 maslah #185)1) do chezo se insane per ghusl e janabat wajib hota hay 1. mani k kharij honay se 2. jima kerne se (yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main). 2) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota hai. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356) Baaz auqaat shewat key doraan aisee ratoobat kharij hoti jo mani nahi hoti balkeh mani sey pehlay kee ratoobat hoti hay jisay mazi kehtay hein, yeh ratobat paak hay. Laikin agar shewat key doraan khaarij honay wali ratobat mani ho to phir wo najis hogi aur us key baad gusul bhi wajib hoga. Ehtelaam mein jo ratobat kharij hoti hay wo najis hay aur us key baad gusul wajib hota hay. Ref: Tazeeh ul Masail Aqai Sistani (Probe No. 74) jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156) [Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum mra sawal yeah tah kia na paki ki halat me sehri kr ke roza rkh skte hen
Answer: Urdu: roze se pehle sehri karna wajib nahi he. laikin agar ramzaan ki raat me gusal janabat wajib ho tu namaz fajar time se phele ghusal karna wajib hai take fajar se paaki halat me roza shuru kia jaseke. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1531,1591). [Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ji mera sawal ye hai ke Ghusul e wajib ho or culli or nak me pani dal na bhol jae or wasu kar ke namaz padle to kya namaz ho jae ge
Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. tartibi ghusal ka tareqa ye hai : Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai.( ghusal me kulli karna or naak ke andar pani daalna zarori nahe hai ) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rdEdition,maslah # 360) [Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam.. Agha jaan.. Sex ke bad agar femail apni sharam gha ko kapre se na saaf kare balke pani se dho kar ajaye.. Ye sahi hy ?? Iska Kia hukm hy?
Answer: Jee han, ye sahi hai. Q najis jagh ko pani se hi pak kiya jaye ga, agar kapre se use saaf kiya jaye to wo pak nahin hogi. Aur us maqam ko pak karne ke bad namaz aur is jesi ibadton ke liye ghusl karna zaroori hai. Q ke Jima(intercourse) karne ke baad namaaz aur is jesi ibadton ke liye ghusl e janabat wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #156,344,356). [Updated on 30-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اگر روزہ کی حالت میں احتلام ہو جائے سوتے ہوئے دن کے وقت تو کیا غسل جنابت واجب ہو گا اسی وقت یا افطار کے بعد کرنا ہوگا اور اگر واجب ہے اسی وقت تو روزہ کے حالت میں غسل کا طریقہ کیا ہے
Answer: 1: Agar rozedaar roza rakh kar so jaey or din main ehtilam ho jaey tu os ka roza batil nahin hota. lekin is par gusl e janabat (namaz aur is jesi ibadaton ke liye) wajib ho jata hai albatta is per fouran ghusal karna wajib nahin. (yani din me kisi bhi waqt kar sakta hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1571,1605). 2: Ghusl e Janabat ka tariqa:- Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad pehle pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. gusal main baal baraabar badan bhi ager na dhoya jaae ye dholne se reh jaae to gusal batil hai lekin kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hoti ho wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360,373). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haiz ki halat me Agar koi aurat mushy zani Karle to uspe ghusal laazim hoga ya haiz or janabat ka ghusal sath hosakta hai
Answer: 1: Musht zani (Istimna) or khud lazzati, haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. or baaz riwayaat mai isay zina ki manzil par qaraar dia gaya hay. Istimnaa k baad insaan jub tak ghusl e janabat anjaam nahin daita paak nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masael jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #1435, Mafhoom e Maslah #2296). 2: Halat e haiz main ghusl e janabat karna sahi hay, isi terah haiz k khatam hone k baad ghusl e haiz or janabat dono ki niyat ker k aik ghusl kia jasakta hay or isi tarah In dono ghusl main se kisi aik ki bhi niyat ki ja sakti hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, Mafhoom e Maslah #233). [Updated on 10-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr eik insan sperm mouth ma Daly r pee Jaye tu konsa ghusal karna chahye
Answer: Insan ki mani najis hay. aur is ko halaq say nigalna jaiz nahin. aur is se koi ghusl karne ki zaroorat nahin hai or paani se paak kerne ki bhi zarorat nahin hoti. Agar monh ka androni hissa najis ho jaey tu nijasat k door ho janay se monh paak ho jaata hay. aur Do cheezon say insaan mujnib ho jata hay. 1. Jima(intercourse) say or 2. Mani(semen) k nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. aur namaz aur is jesi dosri ibadat ke liye gusl karna wajib ho jata hai. (Ref: Istiftaat I-2).+ Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), jaame, Edition #1435h, maslah #95,99,233).+ Tauzeeh ul masael, Edition #42, maslah #344). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya halate haiz me farshe aza pr baith sakte h taboot ki ziyart kr sakte h
Answer: Haiz ki halat men chand chizen haram hain jaise 1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise namaz e mayyit ada karna, 2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho, 3. Wajib sajde wali aayat parhna, 4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana, 5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa men theherna, 6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona, 7. Jima(Intercourse) karna shohar or biwi dono k liye. Albatta Aurat haiz ki halat Farshe aza par ja sakti hai or isi tarah taboot ki ziyarat kar sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Janabat ke bad haiz aa jaye to bina gusal ke khana bna kar khila sakte hai ya nhi
Answer: Jee han, Ye Jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]