Question: Sir agr duty py ihtlam ho jay or nahany ka koi chance na phr us k kia hukm hy wo kha pi skta ya baqi kaam kr skta hu
Answer: Halat e janabat main khana peena makhrooh hay, laikin agar hath monh dhoo lay or kulli kar lay tu makhrooh nahi hay or agar sirif hath dhoo lay tu bhi karahiyat kam ho jaey gi. (tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#3355) [Updated on 18-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar ahtlaam ho gaii aoar ghususl kye baghair khana kha sakte haii
Answer: Halat e janabat main khana, pina jaiz hai, garche makrooh hai, han ager mujnib shaks haath, moonh dholay or kulli karle to makrooh nahi hai. aur agar sirf haath dholay tab bhi karahiyat kam jati hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 355) [Updated on 10-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai jab peshab kr chuka hota hoon tou kvh white qatry nikalty hain Kya wo mani hain? Aur kya un k nikalny k baad ghusal krna hoga?
Answer: Mani ki alaamat ye hai k 1: uchal kar nikle, 2: shehwat k sath nikle, 3: mani ke nikalne k baad badan sust hojaaye siwaaye ye k beemar na ho, jis rutoobat mai in teen alaamaat mai sai koi aik alaamat bhi na ho tou wo mani nahi kehlaayegi. peshaab k baad jo rutoobat kharij hoti hai usay wadi kaha jaata hai agar is rutoobat k saath pishab mila hoa na ho tou ye paak hai or is rutoobat k khaarij hone sai ghusal wajib nahi hota. (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 70 and 345). [Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ehtlam hony ki surat may jisam ka utna hisa dhony lyny dy namaz ho skti
Answer: jee nahi itni taharat kaafi nahi hai ghusle janabat karna laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 16-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya eik Mujnib Shaka Wuzu kr k Namaz Ada kr sakta hai?
Answer: Mujnib k liye laazim hai k ghusl e janabat anjaam dein or phir namaz ada kare . (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344,345). [Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya gussal farz ho to khaana peena jaiz hai
Answer: Halat e janabat main khaana peena jaaiz hai lekin makrooh hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah saeestani edition 41 maslah no 355). [Updated on 11-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can we meet people in janabat. And can we kiss babies in janabat?
Answer: Yes, it is lawful. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 355). [Updated on 29-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya lip Kiss krne se ya seena chumne se shohar k napak hojate h or nmaz nhi pdh skte??
Answer: Jee nahin, Is tarah ghusl wajib nahi hota. balke Insaan do cheezon say junub (napak) hota hay. 1) jima(intercourse) say or 2) mani(semen) k nikalnay say, chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, maslah #344) [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mera question ye hai ki agr koi insaan musht jani kare or wo apne mani (sperm) ko na nikalne de to kya wo paak hai ya fir napaak ho jayega Sir please answer thoda detail k sath dijiyega please sir
Answer: 1: Khud lazzati(Hand Practice/Istemna) karna chahe kisi bhi zariye se ho haram aur gunahe kabeera men se hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Salaheen, Part #1, maslah #30) 2: Agar mani apni jagah se harkat karay laikin kharij nah ho ya insan ko shak ho k mani kharij hoe hay ya nahi tu os per ghusl wajib nahin hota. lakin agar bahar aajaey to gusl wajib ho jata hai. Aur Is gunah se bachne ka sharaei rasta ye hai ke shadi kar li jaye Q ke Jo shakhs shadi na karne ki waja se fail e haraam me mubtela hota ho (Jaise zina, istimna e.t.c........) to us per shadi karna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #351,344,2407). [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-o-Alaikum Sir agar rat ko mani nikal jai...to without ghusal, or wazu kr k kpry change kr k nimaz pr skhty hai...
Answer: wsalam. jee nahi is soorat mai wuzu kaafi nahi hoga balke zaroori hai k ghusl e janabat kar k namaaz ko adaa kia jaaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]