Question: mahbistri ky bad kuch kha sakty hai
Answer: Jee han, Halat e janabat main khana pina jaiz hai, agarche makrooh hai, han ager mujnib shaks hath monh dhooh le or kulli karle to makrooh nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #355). [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mani kahin aur lag jaye aur wo sirf mani touch karne se ghusal farz hoga?
Answer: 1) do chezo se insane per ghusl e janabat wajib hota hay 1. mani k kharij honay se 2. jima kerne se (yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main). 2) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota hai. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356) 3) Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1. Uchal kar niklay. 2. shehwat k saath niklay 3. badan sust hojaye. jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156) [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam alikum sir mera sawal ye he k agar gande khayalo sy insan napak hojai orr wo adha jism dholy jo jaga napak ho to usk bad banda pak hojata hei? Nimaz wagera parh skta he usk bad ya lazm he pura nahana??
Answer: Wo ratoobat jo shehwat angez khayalat k wqt insan apni sharmgah men mehsoos karta hai wo pak hai, us se ghusl bhi wajib nahi hota or na hi ye wazu ko batil kari hai. lehaza bager us maqam ko dhoye namaz parhi ja sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #344,345). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir plz plz tell kya ehtilam ka hona gunnah hy? Or isky kya nuksan hein? Kya islam me isy gunah kaha gya hy agar khud ba khud hojai yah. Or kya ya sehat k liya nuksan da hy??
Answer: Jee nahin, Ehtilam ke honay koi Gunah nahin hota. Albatta is k baad ghusl e janabat karna wajib hai us k baad hi namaz ada kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344). (Note: ehtilaam se nuqsan hota hai ke nahin is ke liye doctor se mashora karain). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA My question is that when ever my husband play with me means without intercourse kiss me and touch me i became wet is that wetness is mani if not then my wazu is valid can i perform namaz in that wet dress without doing wadu again.
Answer: Wo rutobat jo aurat shahwat k saath khaarij hoti hai agar is had tak ho keh ose inzaal kaha jaa sake aur libaas ko aloodah kar de, jo aam taur par os waqt nikalte hai jab aurat jinse shahwat tak pohanch jaey, to yeh najis bhi hai aur aurat majnoob bhi ho jaati hai. (wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwuraat k waqat apni sharam ghah men mehsoos karti hen or wo ratoobat itni meqdar men nah ho k doosri jaghah ko aalooda karay paak hay or us kay liay ghusl nahi hay or wuzu ko bhi batil nahi karti hay, haan agar rutobat is qadar ziyada ho k inzal kehlaey or libbas ko aalooda kary jabke sath sath aurat hijan e shehwat ki intiha ko puhanch jaey or mukammal razamandi(orgasm) ho to najis or janabat ka moojib hay balky agar hijan e shahawat sath nah bhi ho to bhi ihtiyat e lazim ki bina pr najis or janabat ka moujib hy or in maqamat pr jahan aurat shak kary ke rutoobat is had sy ziyada puhanchi ya nahi or ya khud rutoobat ky kharij hony men shak kary to ghusul wajib nahi hy or wuzu or ghusul batil nahin hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #345). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamunalaikum junub ke mani kya hai shariat ke mutabik
Answer: Do cheezon say insaan mujnib hojata hay. 1) Jima(Intercourse) say or 2) Mani(Semen) ke nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) ke saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) ke or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahin. aur namaz aur is jesi dosri ibadat ke liye gusl karna wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir jab me Raat ko so Kar uthta ho to aksar mere kapre per 1 ya 2 katre lage hote he ab mujhe samjh Nahi ATi ke wo Mani he ya mazi
Answer: Agar insan ko shak ho ke mani kharij hoe hay ya nahin tu os per ghusl wajib nahin hay. (yani jab tak kisi ko mani ke kharij hone ka yaqeen na ho tab tak us par gusl wajib nahin hota ). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #351). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia halat e janabat me sir me tel lagaskte hai? yaa pahle gusl krna hoga
Answer: Jee han, Ghusl karne se pehle laga sakte hai lekin agar ghusl men pani ke badan tak punhchne men rukawat ho to ghusl se pehle use hatana zaroori hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,376). [Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar soty hoye ahtilam hojaye to pata na chaly to kia uski qaza karna hogi Matlab kaffi bar ahtilam ka pata nHi Chalta us surat main kya hukom hai kya shak ki bina py gussal e janabat kar sakty hain
Answer: Agar kisi shakhs ko shak ho k mani kharij hoe hay ya nahin tu is par ghusl wajib nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #383).roze ki halat me Din k waqt mai ehtilam hone sai roza batil nahi hota hai aur jab ehtilam hojaae tu wo namaz perhne k lie ghusl karay or qozay( ke batil hone se ) sai is ka koi taluq nahi hai. (Ref : Aqa sistani d.b. jaded fiqhi masail masla # 100, pg # 88) [Updated on 15-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya biwi mani pine se biwi pe gusal wajib ho jata hai?
Answer: 1: Insaan ki Mani najis hai aur is ka pina haram aur gunah hai. lekin is ke pine se ghusl wajib nahin hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15),(Ref: Nigah aur libas, sawal #106, pg #69). 2: Agar koe shakhs aurat se jimma(intercourse) karay aur uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dakhil ho jay to chahae ye dukhool farj(agli sharamgah) me ho ya dubur(pichle sharamgah) me aur chahe mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein. (aur dono per ghusl e janabat wajib ho hata hai ). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #348). [Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]