Question: Aslam o Alaikum sir mujy jab bra pishab qawaz k Sath aata ha tu Sath white qatry aaty han kia es sorat me ghusal wajib hu jata ha nemaz nhi parh sakta please help Kar dain
Answer: Agar aap ko kisi tarah bhi yeh yaqeen ho jaey keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hi samjhi jaeye gi. Aur agar maloom nah ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhi jayen geen. 1) Shewat k saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney k baad badan sust ho jaey. Laikin beemar honey ki sorat mein pehli aur dosri alaamat zaroori nahi hay. (Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani, Maslah# 351 & 352). [Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya janabat ki halat me imambargah me jaa skte hai
Answer: janabat ki halat me imambargah me, Jaa sakte hain. laikin . Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana, ya . Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa men theherna,. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona haraam hay or ehteyaate wajib ki bina per imaam masoom ke asal haram me dakhil na hoa jaaye.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355). [Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: subh Uthata he agr shak ho k Ikhtilam hua ha par na hua hoo to Kia krain? Gusal krain ya Nahi? Banda Pak ha Kiya ya Nahi? aor wahem ko kisa khtam krain?
Answer: 1: Agar insan ko shak ho k mani kharij hoei hay ya nahin to us par ghusl wajib nahin hai. 2: Jo shakhs buhat ziyada shak karta ho aur waswasay ki beemari main mubtala ho us ko chahiay keh wo apne shak aur waswase ki parwah nah kare aur apnay aamaal ko durust samjhay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #351. + https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4222/) [Updated on 27-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: During washroom i have to put in finger due to issue in my back is gusl is compulsory for me i am boy
Answer: Jo cheez ghusl le janabat ka sabab banti hai wo aik Jima (intercourse) karna hai or dorsri Mani(semen) ka nikalna hai ab chahay wo mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho, lekin jo condition aap ne bataei hai wo ghul ka sabab nahin banti. lihaaza is ke wajah se aap par ghusl wajib nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #344). [Updated on 20-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ek bar Jima krne ke baad kapre vagaira se saf karke bagair gusl aur vazu ke dobara Jima Kiya jasakta hai
Answer: Jee han, jaiz hai. (Ref: Minhaj ul Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #5). [Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam O Alaikum .. Sir Mera Sawal Ye Hai K Agr Mainy 4,5 Dafa Masturbation Ki Ho To Kiya Mery Uper 1 Dafa Ghusl e Janabat Krna Wajib Hoga Ya 4,5 Dafa Ghusl E Janabat Krna Hoga? Kindly Pls Ans My Question Jazak Allah
Answer: aise surat me Aik dafa gusal janabat karlena kar lena kafi hay . Aur aap ko aik, do or masle ki taraf mutawajjuh karate hain keh jis ki aap ko zaroorat hai. aur wo ye hain ke 1: Istimna or khud lazzati(hand practice/masturbation) haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. 2: Jo koi bhi shadi na karne ki wajah sai haram fel e haram(masturbation) mai mubtila hota ho tu us par wajib hai k shaadi kar lay. 3: Is gunah ke liye tauba karna lazim hai. aur zaroori hai ke apne aap ko is gunah se bachaen. sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gi, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahi hain or Allah ki na-fermani ker rahi hain. Aap koshish karain ke khud ko khuch mufeed kamon main masroof ker lain jaisay sport, parhai ghar ke kaam kaj waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar kare. Agar aap khud par qabo nah paa sakti hon to roza rakhain Q ke roza ghunahon k muqabilay main dhaal ka kaam karta hai. (Ref: Tauzeeh ul masael jaame, Edition #1435, Mafhoom e Maslah #2296)+Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344,2407)+(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 08-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum I wanna ask please can you clarify with the authentic hadith that if a mother can give milk to her baby after having sex without bath or not and what is the impact on baby if mother give milk to her baby while having sex . فی امان اللہ
Answer: Jee haan, Halat e janabat men maan apne bache ko doodh pila sakhti hay Q keh Halat e janabat main mujnib par 5 cheezain haram or 9 cheezain makrooh hain. in main doodh pilana shamil nahin hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355). [Updated on 21-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can we perform ghusal e janbat agar nail paint lagi hui ho tw ? kia yeh gusal durust hoga ?
Answer: 1: Jee nahin, balke pehle use hatana hoga, Q ke jo cheez badan tak pani puhunchne me rokawat ho zaroori hai ke insan use hata day aur agar is ke hat janay ka yaqeen karnay sai pehlay ghusl karay to is ka ghusl batil hai. 2: Agar ghusl k waqt kisi shakhs ko aqlan ehtimal ghuzray k koi aisi cheez is k badan par hai ya nahi jo badan tak pani puhunchne mai rohuwat ho to zaroori hai k chhaan been karay yahan tak k itminan ho jaye k koi aisi rokuwat nahi hai. 3: Ghusl me baal barabar badan bhi agar dholne se reh jaaye to ghusl batil (yani galat) hay. laikin agar ghusl ke baad shak kare ke ghusl sahi kiya hay ya nahi to dobara ghusal karna zarori nahi. or agar ghusl ke baad maloom ho ke badan ka khuch hissa nahi dhoya to ghusl ke baad sirf usi miqdaar ka dho lena kafi hay is tarah ghusl sahi ho jaaye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #376,377,364,356,373,383). [Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar ek bar humbistri kr len to dosri bar bina ghusal k aur bina istsnjs k Karen ye koi gunnha hai ya nahi
Answer: jima (intercourse/hambistri) k baad dobara jama kerna jaiz hay balkeh pehlay jima k baad baghair ghusl e janabat k dosra jima kerna makroh bhi nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 , masla # 5) [Updated on 06-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr aurat sir main pani dalna bool jaye to kiya nimaz ho gi
Answer: Agar aap ka sawal ghusl ke hawale se hai aur ghusl me aap ne sar ko nahin dhoya to ghusl sahi nahin hoga aur jab ghusl sahi na ho to namaz bhi sahi nahin hogi. Ghusl ka tariqa: Ghusl ki niyat ke sath pehle pura sar or garden dhona hai aur bad men badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen taraf aur baad men baaen taraf se dhoya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42 , maslah #356,360). [Updated on 06-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]