Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6263
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal hai ke jab ham ghusl e janabat karte hai to head aur neck ko kitne bar dhoye 1 baar ya 3 baar aur body ko 1 baar ya 3 baar plz

Answer: Ghusl e janabat mai teeno azah ko 3 bar dhona mustahab hai. jab k 1 bar dhona wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Urwatul wusqa, pg # 228)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6264
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozy k doran ghusul ka tarika?

Answer: Ghusl ka aik tareeqa hai hai chchay rozay ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 360-65)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6317
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalaamualikum ji mera sawal ye hai ke roze me ghusal ka tareeqa kia hoga jese aam dino me gale me pani utarna hota hai to pani pait me bhi ja sakta hai is ke bare me kuch btae

Answer: 1)Tertibi ghusal ka tareeqa aik hi hai chahay rozay ki halat mai kia jae ya aam dino mai kia jae aur tareeqa ye hai k ehtiyat-e-lazim ki bi per gusal ki niyat k bad phele pura sar o gardan aur bad me badan dhona zarori hai. Aur behtr ye hai k badn ko dhotay waqt badn k do hissay kiay jain pehlay right side sai dhoya jae phir left side sai. 2)Ghusl ka aik aur tareeqa hai jisay irtemasi ghusl kehtay hain is mai zaroori hai k oura badn sar k sath aik lehmay k lie pani mai dala jae ye tareeqa bhi rozay ki halat mai sahi hai q k pore Sar ko pani me dbone se roza batil nahe hota hai. Albetta shaded makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 360-70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6319
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalaamualikum sir mera question ye hai ke roze me ghusal ka kia tareeqa hoga jese aam dino me to seedha hum gale me ni dalkar garare karte hai roze me kia surat e hal hogi

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Ghusl ka tareeq aik hi hai chahay wo haiz ka ho ya janabat ka ho ya jummay ko ho ya koi bhi ho. Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6422
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As saalam wale kum janab kaya raat ko biwi ke sath humbister honey key baad bina nahaey sahari karkey roja rakh saktey hai or sahari key kuch waqt baad paak saaf naha saktey hai plz reply soon as posible?

Answer: Waqt fajar se phele ghusl janabat karna zarori hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1591 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6549
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaam.. muja GHUsal ka sahi tareeqa pataee plz tafseel sa asaan alfaaz ma SHukriya

Answer: Ghusl ka tareqa ye hai k ehtiyat e lazim ki bina par niyat k sath pehle pura sir o garden aur baad mai badan dhona zarori hai.Is baat ka yaqeen hasil kernay k leye k donu hissay (sir o garde) aur (badan) ko mukammal tour par dho liya hai,jis hissay ko doein us k sath dusray hissay ki kuch miqdaar dhona zarori hai yani sir aur garden ko dhotay waqt kuch hissa ziada dhoya jaey baqi badan ko bhi shamil krtay hue ta k yaqeen ajaey k pura sir aur garden dhoya hai.is trha badn dhotay waqt thora upper garden ki janib sy shuru kia jae. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #360,362). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6582
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager foot pay bangage ho to or wo na utari ja skay to ghusal kaysay ho ga

Answer: Ghusal miyat k ilawa tamaam kisam k ghusalo me jabira (wo chease jis se zakam ya toti hohi haddi bandi jati hai aur wo dawa jo zakam ya aise hi kise cheese per lagaai jati hai jabira khelati hai.) wazu ki tara hai laikin ehteyate lazim ki bina per zarori hai k ghusal ko tertibi tariqe se anjaam diya jaay (yani phele sar o qardan dhoi jaay per baqi jasam dhoya jaay) aur agar badan per zakam ya phora ho to insaan ko ghusal ya tayamum ka ikhteyaar hai . agar wo ghusal ko ikhteyaar karta hai aur zakham ya phore per jabira na ho to ehteyat mustahab ye hai k zakam ya phore per pak kapra rakhe aur is kapre k upper masa kare .agar badan ka koi hissa tota hua ho to zarori hai k ghusal kare or ehtiyatan jabira k uper bhi masa kare aur agar jabira per masa mumkin na ho ya jo jagha toti hoi ho wo khole ho to tayamum karna zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 338) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6605
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar ksi person ka roza hai,aur neendh me roze ke waqt uski mani nikal jaaye,to per gusal ka tareeqa kese hoga?

Answer: Ghusl krne ka ek hi tarika hai or wo ye h k ghusl ki niyat k sath pehle pura sar or garden or bad men badan dhona zaruri hai or behtar ye hai k badan ko pehle daaen taraf or bad men baen taraf se dhoye ab chahe ye ghusl jinabat ho(ehtalaam , istimna ya biwi k sath muqarbat krne ki wja se) ya koi or ghusl ho.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 360 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6612
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar ghusal e haiz sai se anjam na diya ho to namaz aur rozay k baray me kia hukam h?

Answer: Namaaz o Roze ke liye ghusl haiz karna wajib hai or is ke baad namaaz ke liye wazoo ki zarorat nahi hai, garche ke behtar hai ke gusal se pehle wazoo kare. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 456 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6656
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A-O-A , sir mai ye janna chahta hun ki bathroom ke andar bina kapde ka gusul kar sakte hain ki nahi ?

Answer: Gee han kar sakte hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 360 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!