Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5439
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam, mera sawal ye hai ke kia hair colour lagane se hamara ghusal nahi hota? hum napaak rehte hian??

Answer: Hair color mai agar aisi ﺘﮩﮧ ka ehtimal ho jo ghusal pani pouchnay mai rokuwat ho to osay hatana zaroori hai laikin zahir ye hai k is mai koi aisi ﺘﮩﮧ nahi hoti. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 26,pg # 27)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5464
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ghusale junabat ka mukamal tareeka

Answer: 1)Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay: sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka right side (seedah hissa) or baad main left side (ulta hissa). ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay. 2) (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehi ke gusl k waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar rhi hon bal k faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (Ref : Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 456 , 360-365) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mera sawal yh k, ager koi banda Gusal krteay wakt, matlb, aik dafa apne uper pani bahiaya dusri dafa be bahaiya or peshab kr lia fir tesree dafa pani bahaiya or namaz par le to kia theek h....?

Answer: Agar ghusl k doran kisi shakhs se hadas e asghar sarzat ho jey maslan peshab nikl jay to us ko ghusl ko tark kar k shru se ghusl karna zarori nahi he balke wo apne is ghusl ko mukammal kar sakhta he is surat me ehtiyat lazim ki bina per wuzu karna bhi zurari he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 384,389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5599
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: koi aisi bat batain ka ham pure trha yaqeen ho jai ka hmara gusal ho gya ha koi aisi bat plz bataiya

Answer: Agar kisi shakhs ko is baat ka yaqeen na ho k ghusal mai is nai sar o garden aur badan ko mukammal tor par dho lia hai to is baat ka yaqeen hasil karnay k lie jis hissay ko dhoae to is k sath doosray ki kuch miqdar bhi dhona zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 362)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5716
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sex kay bad nahany ka tareka?

Answer: Jima karnay k baad mard aur aurat donoo par namaz aur is jaisi doosri ibadat k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. Ghusl e Janabat 2 tareeqon sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phelay pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. aur behtr ye hai k badn ko pehlay right side sai dhoae aur baad mai left side ko dhona chaheay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. 3)Ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5780
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar kisi ladki ko hug kar to ghusl farz ho ga

Answer: Glay laganay (hug) se ghusl wajib nahi hota. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #344). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5997
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meta sawal ya ha ka agar shohar apni wife ki sharam gah ko hath sa ragray or wahan sa pani bhi nikal aay to is sorat main orat per gusal farz hota ha ya nahin

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho k osay Inzaal Kaha ja yani is ke nikalne ke baad orat ki shewat kam hojana jese mard ke mani nikalne ke bad shewat kam ho jati hai) sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kia jae ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. Or ager ratobat ke ilawa masalan likoria ki ratobat to wo paak hai or is se gusal wajib nahi hota siwaae wo un koono main se ho jo orat ke sath kaas hain to in ke ehkaam alag hain. Or ager shak ho ke pehli ratobat hai ya dosri to is sorat main gusal wajib nahi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345 , 351 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6019
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya jumme ki namaz k liye gusl zaroori hai mera matlab hai k kya jumme hi ku karna zaroori hai.......

Answer: Ghusl e jumma mustahab hai aur is ko jummay k din anjam dia jata hai aur agar jummay k din ghusl na karay to mustahab hai k haftay k din subah sai guroob e aftaab tak is ki qaza baja lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 634)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6096
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya gusul k bad agar thoda unwanted hair rahyga kya nimaz aayae gi

Answer: Ghusl me un chotay chotay baalon ko jo badan ka juz(part) shumaar hotay hain dhona zaroori hay aur lambay baalon ka dhona wajib nahi hay balkay agar pani ko jild tak is terha pochain kay lambay baal tar(geelay) na hoon to ghusl sahi hay lakin agar unhain dohaay bagair jild tak pani pochna mumkin na ho to unhain bhi dhona zaroori hay ta keh pani badan tak pohanch jaay. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 378) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6130
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Slaam, sir sawal ye hai k ghusel janabat ka sai tareeka kya hai man and women k liye?

Answer: Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. aur behtr ye hai k badan ko pehlay right side sai aur baad mai left side sai dhoya jae. 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!