Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4497
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can muslium lady feed her baby without taking bath after sex

Answer: Yes, It is lawful. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354,355). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4550
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mard kis chz se napak hota or aurt kis chz se napak hoti h jispe ghusl frz hota h

Answer: 1)Do cheezo say insan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 2)Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344, 345) 3)Aurat ko jab haiz ata hai to wo najis ho jati hai phir jab haiz sai paak ho jae to to os par namaz aur doosri ibadatoo k lie ghusl wajib ho jata hai. 4) Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifaas kehtay hain. Nifas sai paak honay k baad ghusl e nifas wajib ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 504)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4603
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mein koi bhi porn video ya tasveer dekhta hn money kapre ghelay kar deti hy toh kya gusal tot jata hy?

Answer: 1)Ethiat e wajib k toor per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) 2)Do cheezoo sai insan mujnib ho jata hai jis mai sai aik jima (intercourse) aur dosera mani ka kharij hona hai chahae neend ki halat mai hi niklay aur ghusal e janabat wajib namaz prhnay k lie aur aisi hi doosri ebddat k lie wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344,356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4621
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaama alikum! mera masla yeh ha ka mere abe shadi hoe ha mje gusal e janabat ka tariqa or is ki niat bta dain kese krtay ha, or simple gusal kese krty hai Shukria

Answer: Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Ghusl ki niyat : ye zaroori nahi hai k ghusl k waqt niyat karay k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat qarbatan illaha yani bargah ilahi mai faotni k iraday sai ghusl karay to kafi hai. Note : In donoo tareeqo mai sai kisi aik tareeqay k mutabiq aap apna ghusl anjam day saktay hain.

Id: 4678
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar orat jism k gair zarori baal otary jbk hais or napaki na ai ho to kia gusal lazim ho ga?

Answer: Riwayat k mutabiq puray badan per noora(Badan k baal katna) lagana mustahabb hai. magar is sai ghusl wajib nahi hota hai (Ref : web site ayat ullah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 62) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4685
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri shadi ho gei hei or me school bi ja rhi hoin .kya humsha hambistri ke bad nahana chihye? jahan me rehti hoin wah boht sardi hei or subha muje school bi jana hota he

Answer: Jee haan, hambistari k baad namaz or is jaisi ibadaat k liay ghusl e janabat kerna wajib hay. Or agar sardi k wajah se agar ghusl kerna mushkil ho tu paani ko garam ker k ghusl kerlain. Or garam paani ker k ghusl kerna bhi na-mumkin ho tu phir ghusl e janabat k badlay tayammum kia jay . or jab aap ki majbori khatam ho jay gi tu tayammum bhi batil ho jay ga, Or phir aap ghusl e janabat anjaam dain zarori hoga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #356,659,709) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4738
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: imam khumaini ki kitni betion thi or un ki shadi sadat main hue ya gair sadat main? or is k ilawa quran or 12 imamon ki roshni main btaye k syed larki ki gair syed larke se nikah jaiz hai?

Answer: syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4875
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mitti sai kis tarah gusal kiya jasakta hai

Answer: Ghusal srif aise pani se kiya jata hai k jo khalis ho aur muzaf na ho yani is qadar mitti wala na ho k phir ise pani na kaha jaye. laikin tayamum pak aur mubah mitti per hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 371-9, 674) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4979
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera question ye hai k aurat par gusal kab waajib hota he?zara detail me jawab de.

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)Aurat k sath jo makhsoos ghusl hain wo 3 hain, in mai sai 1: ghusl e haiz 2:ghusl e istehaza aur 3: ghusl e nifas hai. is k alawa jo ghusl mard aur aurat donoo mai common hai wo 4 ghusl hain, jin mai sai 1:ghusl e janabat 2: ghusl e mas e miyyat 3:ghusl e miyyat 4:wo ghusl jo nazr ya qasam wagira ki wajah sai wajib ho jae. Ghusl e Haiz : Aurat k wo har mahinay khoon ata hai jab wo band ho jae to aurat par wajib hai k namaz aur doosri abadat k lie ghusl krna wajib hai. Ghusl e Istehaza : is mai bhi aurat par ghusl krna wajib hai. Ghusl e nifas : Nifas yani bachay ka pehla juz maa k pait sai bahir aanay k waqt sai 10 din tk jo khoon aye wo khoon nifas hai. is k bad ghusl wajib hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-510)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5006
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam u Alaikum! Sir mujhe yeh puchna hy k PLz Manni k niklne k baad Gussal ka pura tareeqa bata dijiye,,,, PLZ

Answer: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay: sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik sath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka right hissa or baad main left hissa. ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay. (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehi ke gusl k waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar rhi hon bal k faqat qurbatan illaha (ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ)yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (Ref : Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 456 , 360-365)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!