Question: salam . ghusal k duran orat sar k bal kis had tak dhu skta hi.
Answer: Ghusl me un chotay chotay baalon ko jo badan ka juz(part) shumaar hotay hain dhona zurari hay aur lambay baalon ka dhona wajib nahi hay balkay agar pani ko jild tak is terha pochain kay lambay baal tar(geelay) na hoon to ghusl sahi hay lakin agar unhain dohaay bagair jild tak pani pochna mumkin na ho to unhain bhi dhona zurari hay ta’keh pani badan tak pohanch jaay. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 378) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asalam alaikum kiya gusul-e-janbat shower kai neeche kiya ja sakta hai?or agar ha to tareeqa zara explain main bata dai..shukria
Answer: Jee han ghusl e janabt shower k nichay kia ja sakta hai aur is ka tareeqa ye hai k ghusl ki niyat k sath pehlay sar aur garden ko dohay phir shower ko band karay os k bad shower ko kholay aur badan ko dain(right side) taraf sai dohae phir shower ko band kr k kholay aur badan ko bayen(left side) taraf sai dohae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 360)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera question hy k agr mani k qatray nikal aen or agr hum safar kr rehy hon or nmaz ka time ho kia hum nmaz par skty hain ya gusal krna paray ga or please thora tafseel se jawab de dain shukria
Answer: Agar namaz k waqt k andar andar ghusl ker k namaz perhna mumkin ho tu ghusl ker k namaz waqt k ander perhain or agar ghusl kerna mumkin nah ho tu ghusl e badlay tayam,mum ker k namaz perhi jaay. Or agar mumkin ho tu badan or libaas se mani ko bhi paak kerna zarori hoga. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah#668,835). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya ghusl krte waqt sharamgah ko hath lagane se ghusl toot jata hai
Answer: Ge nahi is say ghusl nahi toot,ta.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #384). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar hum gusal krta hain to hma kaisa pta chalage ka hamara gusal ho gya ha
Answer: Agar kisi shakhs ko is baat ka yaqeen na ho k is nai donoo hisoo (Sar aur garden aur badan) ko mukammal tor par dho lia hai to is bat ka yaqeen hasil krnay k lie jis hissay ko dhoey is hissay k sath doosray hissay ki kuch miqdar bhi dhona zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 362)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir kia ghusal e janabat shower ( soap or shampoo) jesee aam taur par ghusal karte hain us k baad wet (bheege hue) jism par hoojata hai?
Answer: Nahanay k baad badan ko towel sai pochay bagair ghusl krna sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 360-89)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ghusl on jumma is mustahab or masnoon
Answer: Islami shriat mai jumma k din gusal krna mustahab shumar kia gya hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 634)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar Insan per Ghusal e Janabat Wajib ho aur juma k din wo ghusal e Juma ki niyyat kr k ghusal kr le to kya wo ghusal e janabat se ghani ho jaey ga
Answer: Agar kisi shaks per wajib or mustahab ghusl jama ho jain tu wo tamaam aghsaal ki niyat ker k aik ghusl ker sakta hay. Isi terah agar kisi shaks per gusl e janabat ho, or wo kisi dosray ghusl maslan ghusl e juma ki niyat ker lay tu bhi ghusl e janabat ka ghusl ho jay ga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #210) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: does ghusl remains if one touches his/her sharamgah while performing it
Answer: your ghusl will not be void b y this act (Ref : Ayat ul Allah Sistani (db, Tozih ul Masaail 31 eddition, Masla 344))
Question: ghusul e janabat ka treeka btaden
Answer: Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2)Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).