Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 45
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1. Ghusl-e-juma karnay ke baad wajib ya sunat namaazon kay liye wuzu karna zaroori hai ? 2. Washing powder me inaami scheme main gold tha aur ye sunke mein ne washing powder kharida aur inaam me gold nikla hai is ke baare me kya hukam hai ?

Answer: Gusl-e-Jumma key baad wajib ya sunnat namazoon key liye wuzoo zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi (Topic of Mustahib Gusl) Aap us gold ko use kar saktey hein.

Id: 46
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujhay ghusl-e-janabat ka tarteebi ghusl ka asaan tareeqa tafseel say bayan darma dijiye.

Answer: Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 77
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: what is the method of taking bath of the day JUMMA(FRIDAY)?

Answer: Salam un alaikum, A person should first make a niyyat for Ghusl. Thereafter one should first wash ones head and neck, and thereafter the remaining parts of ones body. It is better that one washes the right part of the body first and then the left part. And if a person, while standing under the water, jerks each of these parts on ones body with an intention of performing Tartibi Ghusl, it will not be sufficient and the precaution is that one should not content oneself with it. And if a person washes the body before washing the head, either intentionally, or on account of forgetfulness or because of not knowing the rule, Ghusl is void. Ref: Tawzeeh ul Masail (English) Aqai Sistani Probe No. 367

Id: 88
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam walekum, please tell me the niyat to recite before gusl(after sexual intercourse)

Answer: A.Sistani kay nazdeek Niyyat is tarah ki jati hay (main ghusl karta/karti hoo QURBATAN ILALLAH).It is sufficient to intend getting nearness to Allah by getting Taharah (means it is not necessary to mention verbally)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.357 & Istiftaas I-51.

Id: 97
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jis per koi ghusl wajib ho ,us ka paseena paak hay ya najis? ager kisi ko bay hosh kiya jay aur wo is baat per razi na ho to kiya hukum hay ,chahay us kay zariey say kisi ko ghusl e mayyet sikhaya jaey to kiya ye sahi amal hai.

Answer: Salam un alaikum, Jis shaks par gusal wajib ho us ka paseena paak hai. Mazkorah sorat e haal mein beshosh karna jayez nahi hai. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Prob No. 114

Id: 119
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can we reciet prayers with a mustahab ghusal.

Answer: Namaz kay liye ghusl-e-janabat kay ilawa dosray ghusl aihtiyat-e-wajib ki bina par kafi nahi hain yani in kay baad wuzu bhi karna hoga.Ref:Istiftaat A.Khaminae Pg.No.71,Q.No.202

Id: 154
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can you please explan in detail how to preform gusal after discharge of semen(mani)..thank you!

Answer: Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367

Id: 208
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri mani kharij hoi aur is kay baad main nay ghusl e janabat ghalat anjaam diya ,ab meri pichli namazon aur roozoon kay baray main kiya hukum hay ?

Answer: Agar aapnay ghusl waqian ghalat anjaam diya hay tab bhi aapkay Rozay sahih hain.Laikin aapko Namaz ki Qaza karni paray gee,laikin aap apnay ghusl ka tareeqa batain takay ham aapko bata sakain kay aapka ghusl waqian ghalat hay ya nahi takay ye bataya ja sakay kay aapko Namaz ki karni hay ya nahi.Ref:Istiftaat A.Sistani (S-21)

Id: 209
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kur pani ki miqdar aaj kal kahisab sa kitni ha or ager wajib ghusal karte waqt pani ke chinten kaproon per lag jayen to kapre pak hon ga?

Answer: KUR,Pani ki wo miqdaar hay jo aisay bartan main aasakay jis ki gunjaish 36 Cubic Balisht ho (1 Balisht ki lambai taqreeban 22cm hoti hay) aur ye taqreeban 384 litres hota hay....Ghusl kay doraan jo pani zameen par girta hay wo pani paak hota hay is liye kapray par agar wo cheentain lag jain to kapra najis nahi hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.14..Mujtahid say poochay gaey sawalaat book-4 Q.No.15.

Id: 237
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is hair dandruff is count as a barrier in ghusl?

Answer: Agar ye Badan ka hissa nahi hay aur pani pohunchnay main Maanae (Rukaawat) ho to us ko Hataana Zaroori hay.Ref: Tauzeeh ul Masail A.Sistani Masala No.367.

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!