Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6665
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye hai ke agr gusal keen bina namaz pad li to kya insan gunahgar hoga

Answer: Namaz bhi un kamon men se hai jin k liye ghusl e jinabat kerna wajib hai Q k ghusl k bagher namaz sahi hi nhi hai or parhna jaiz bhi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaj-ul-saliheen,maslah #bab-e-ghusl-e-jinabat). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6666
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KYA GUSAL KI NIYYAT KAR KE BADAN PE PAANI DAAL DIYA HO AUR PURA BADAN DO LIYA AUR GALE ME PAANI NAHI UTAARA KULLI NAHI KI KYA GUSAL HOJAYEGA RAMZAAN ME GUSAL KESE UTAARE BATAAO PLEASSSS........<REHNOOMAI KARO>

Answer: Agar koi shakhs badan ko sar or garden se pehle dhole to uska ghusl ko dubara kerna zaruri nahi hai balkeh agr badan ko dubara dhole to uska ghusl hojayega. Lekin kulli nah kerne men koi harj nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #361). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6668
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALAM O ALAIKUM mera sawal ye hai k ghusal kartay waqt kan main pani dalna chahiye ya nahi

Answer: Ghusl men baal baraber badan bhi ager nah dhulne paay to ghusl batil hojata hai , lekin kaan or naak k andori hisson ka or her us cheez ka dhona jo batin(androoni) shumar hoti ho wajib nahi hia. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #373). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6682
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kaisay pta chalay g k ehtilam hua ya nai agr kpron pr dagh na laga ho ? ya phr kpron ka material esa ho js pr mani k nishanat na lga hon ? agr ek ya do qtrey b kpron ko lg jaen tb bhe ghusl or kpray paak krna zaruri ha?

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par gusal krna wajib hai laikin agr sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai.mani chahay neend ki halat mai niklay chahy jagtay hue,chahay kam ho ya ziada ho,wo najis bhi hai aur gusal bhi wajib hoga. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,80,343,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Ehtilaam k honay ka yaqeen ho tu ghusl wajib hay.

Id: 6693
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera sawal hai ki, jab gasool karte hai kya badan par kapada(cloths) hone ki jaroori hai?

Answer: Ghusal karte waqt badan per kapre hona zarori nahe hai.balke agar kapare pani k pouchne me rukawat ho to us ko door karna zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #379, 376 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6737
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA Mera sawal yeh hai k agar 1 aurat menses se free hoti hai aur use hair remove b karne hain to kya 1 he ghusal mein pak ho jaye gi ya hair remove k lye alehda ghusal karna ho ga aur kya hair removal k lye ghusal zaroori hai?

Answer: Hair remove ka koi ghusl nahi hota faqat ghusl e haiz kerna hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33th edition,maslah #after 343,Pg#62).Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye)

Id: 6774
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir sawal ya ha k.. Sakht sard aor dhund ma(Pani thanda) agr ahtalaam ho jaye.. Aor sbho namaz b parhni ho to gussal kis trhan kia jaye...plzz ans

Answer: Agar pani ko garam ker k ghusl kerna mumkin ho tu pani garam ker k ghusl karay. Laikin agar ye mumkin nah ho or pani istemaal karna aisay harj-o-mushakkat ka baa`is ho jisay aam tor par bardasht nahi kiya jata to wo tayammum kar sakta hay laikin agar wo mushaqqat bardasht kertay hoay ghusl karlay to is ka ghusl sahi ho ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #+659+663). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6826
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA Sir meira sawal ye hai ke agr ihtalam ho jaye aor nahae na to is sy kya koi aor tareeqa hai jis sy pak huwa ja sake

Answer: Jima(mubasharat) karnay k baad ya mani nikalne k baad mard aur aurat donoo par namaz aur is jaisi doosri ibadat k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. Ghusl e Janabat 2 tareeqon sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phelay pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. aur behtr ye hai k badn ko pehlay right side sai dhoae aur baad mai left side ko dhoya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6886
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mera sawal ye a k janabath k gushl kese karte .please anwser me

Answer: Tarteebi ghusl men ehtiyate lazim ki bina pr ghusl ki niyat k sath pehla pura sar or garden or bad men badan dhona zaruri hia, or behtar ye hai k badan ko pehle daaen (right-side) taraf se or bad baaen (left-side) tarf se dhoye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah # 360) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6959
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum Sir mjhy ghusal karny ka sahi or asan tarika btadn or sath ye bhi k agr ghusal k bad bhi hairs rah jae choty choty to ghusal nhi hota?

Answer: Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1) Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. gusal main baal baraabar badan bhi ager na dhoya jaae ye dholne se reh jaae to gusal batil hai lekin kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 ) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. Note gusal main un chote chote baaloo ka dhona wajib hai jo badan ka juz shumaar hote hain, lekin lambe baaloo ka dhona wajib nahi hai, ager badan ko is terhan dhoya jaae ke jild tak pani poch jaae or baal tar na ho to gusal sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-378 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!