Question: Sir mera sawal ye hai ke agr koi shaks ghusal nai karta matlab 3 ya 4 din ke baad karta hai tou uska kitna ghuna hai? aur namaz duran agr peshaab ke qatry aa jaein tou namaz shor ke phr se wazu karna chaiye?
Answer: Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota(ghusal k baighair srif wazu kar k namaz nahe perh sakte he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) Pheshab najis hai aur agar aam insaan ( jise musalsal pheshaab aane ki beemari na ho) se namaz k doran pheshaab k qatre kharij ho jaay to us ki namaz batil ho jate hai aur libas tabdeel kar k ya use libaas ko pak kar k dobara se wazu kar namaz perhna zarori hai laikin ghusal karna wajib nahe hai,(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #81,1113 ,322) 1) agar koe shakhs ayse maraz me mubtala ho k ise pheshaab k qatre girte rehte ho to Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2) Agar apko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3) jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306,307-311) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sir assalam waliekum. Sir jab mein pisahaab karta ho . pishaab kein saath dhaat (protine) safaid sa jaata hai . kya mein napaak ho. Ya mujein gusul karna padega. Ya bina gusul kare mein namaaz pad sakta ho..........
Answer: Wssalam o alykum, ager ye on sifaat ke saath (shehwat, uchal ke nikalna, nikalne ke baad badan ka sust ho jana) nikal raha ho jin ke sath mani ehtilaam ki halat main nikalti hai to ye mani hai, or ager in sifaat ke sath nahi nikal raha to mani nahi hain or gusal wajib nahi hai or na hi wazo batil pas namaaz phar sakte hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 345 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: 1 aur hy my ladki sey pyar karta hu o ladki sey bth karte k baad kuch kharij hojata hy usey ghusl toot jata hy lekin o mere pishab saath aata hy kabi peshab k baad aata hy plz batana shukrika
Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur Wo ratoobat jo baz awqaat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga. jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)
Question: Assalamualaikum Agha mujey Ghusl e Janat ki Niyat or information bata sakte hain ab ki merbani hogi
Answer: Tertibi ghusal me ehtiyat e lazim ki bina per ghusl ki niyat( yaani ghusl janabat karta hoon qurbatan ilallaah ) k baad pehle pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360,357) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note: Niyat zaban se ya dil main kerna zarori nahi balkeh agar aik shaks tamaam afaal Allah taalah k hokum per amal kerne k liay baja lay tu kafi hay.
Question: If a man reproduced 3 times with history wife in a night how many time he will do gusul in morning
Answer: A person who has more than one Ghusl to do can do one Ghusl with the niyyat of the rest. In fact, one Ghusl with its niyyat is enough to represent all others.. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 387). (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Sir Mira sawal hai ka larkiun ko safad pani ata hai tu wazoo tot jata hai kiya
Answer: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl , ya wuzu bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aoa,mera sawal yeh hai k pregnanancy k Doran dr k pass Jana parta hai aur woo internal ultrasound krti hain Tu Kia iss k baad aurat ka gusal krna zaroori hai.
Answer: srif ultra sound karwane se ghusl waajib nahi hota . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul before masail 31st edition, maslah #344 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: larki ko kiss karnay se jo qatry nikalty ha kiya us per ghusal wajb hota ha
Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, wo pak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (aur mazi k kapre per lagne se kapra najis nahe hota aur namaz parh saktay hain.) Aur wo ratoobat jo baz awqaat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain jab kise shaks ne pheshaab k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: GUSAL E JANABAT KA TARIKA BATA DEY . MARDOOO KA .
Answer: Tertibi ghusl me ehtiyaat e lazim ki bina per ghusl ki niyat( yaani ghusl janabat karta hoon qurbatan ilallaah ) k baad pehle pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #360,357). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam. BV se phone pe fahsh baat krte waqt ya os k baare mai sochte waqt jo ratoobat nekaltee hai keya wo najis hai aur ghusal wajib hota hai ?
Answer: Wssalam o alykum, agar wo shehwat k sath o uchal kar nikli hai or nikalne k baad badan sust ho gaya hai to mani hai or ghusl wajib hai, or agar in teno main se 1 sifat bhi nah ho to mani nahi hai, or ghusl wajib nahi hai (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #345). Update on dated 05-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).