Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9089
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aghar ap ko koi nanga dakh ly to kia gusal toot ta hy

Answer: Nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #379 ) . Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9119
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it right to eat after ahtlam without taking bath

Answer: It is lawfull but makrooh . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #355). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9125
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o alaikum mera sawal yeh hy k napaki yani agr gusal farz ho to kya roza rkhna jaiz hy

Answer: Azan e Subh tak halat e janabat per baqi rehne se roza batil hojata he, Agr azan subah tk ghusl na kiya jye to Us ke liye zarori hai ke is din mafi u zimmah ki niyat se roza rakhe (yani jo bhi Allah Taala ke nazdeek mere liye zimmedari hai us ko Allah Taala ke liye anjaam de raha hon), or phir ramzaan ke baad isi roze ki qaza kare lekin is main qaza ki niyat na kare balke mafi u zimmah hi ki niyat kare, or Azaan e Subha se pehle gusal e janabat na karne ki waja se kuffara bhi ada kare. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1591 , 1630 , [Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 9209
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kisi na mhram lrki sy bato sy sex krna sy gusal tot jta h kia???thora explain be kr dain???

Answer: Do cheezo say insaan (napak) junub hojata hay. i) jima (intercourse) or ii) mani(semen) k nikalnay se,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he.Lakin namaz e miyat, sijda e sahv, sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k liye ghusl e janabat zurari nahi he.(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) . Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9220
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: peshab ke waqt dhat hone we gusul farz hai

Answer: Ghusl wajib nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 344) Update on dated 25-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9254
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ehtalam hua ho hor Ghusal kie bagair Masjid ki safaii kar sakty hain ya nai

Answer: Ehtilaam k baad Ghuls kiay baghair masjid main rookna haram hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456). Up to date: 11-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9271
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. Agr aurat khuwab ma apnay sohar k sath jimah kary lekin mani ya koi pani na niklay to gusal faraz hoga ?

Answer: Is tarah ghusl wajib nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 10-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9273
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.a mera swallow ye h ki mujhe leucorrhoea ki problem h or mera treatment jar I h but mujhe hard tho di der mAi halka discharge hota h jisse mujhe namaz m dikkat a rhi h..kya mujh pr hr bar gusal wajib hoga

Answer: Leukorrhoea { سیلان الرحم } is pure(paak). Ceremonial bath (Ghusl) and ablution are not on you after discharging of this white water.(i.e Leukorrhoea).(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Tue, Feb 14). Update on dated 13-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9274
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir kya ghusal k bad wazu ki zarort rehti hai.....? aur suna hai k agr ghusal k bad kaprey pehney se phly sharmgha ko hath lag jaye to wazu dubara krna prey ga..

Answer: Jis shaks ne ghusl e janabat kia ho zaroori hay k namaz k liay wuzu nah kare, balkeh ghusl e istehaza e mutawassita k siwa tamaam wajib ghuslo or mustahab ghuslo k baad bhi namaz perh sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 389). Update on dated 13-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9292
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: halat e jnabt mein gher zroori ball saf krna jaiz hy k ni in urdu

Answer: Jaiz hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354).Update on dated 29-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!