Question: asalam.o.alaikum main pouchna chahta hoon ky jism par accident Ki waja Sy injury ho to is halat main us jaga ko chor kar gusal Kia ja sakta ha
Answer: Aap ko ikhtiyaar hay k ya ghusl k tayyamum karain ya ghusl e jabira karain,agar aap ghusl ko ikhtiyaar kerte hain tu tarteeb se ghusl karain or jab zakham k maqam tak pohnchain tu agar rakham per patti nah ho tu ehtiyaat e mustahab ye hay k zakham per paak kaprha rakhe or os kaprhe k oper masah karain.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #338).Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam ma ya pouchna chata hu ky penis sy pani any ki halat ma kapra pak hota ha ya na pak our namz parh skta ha plz help me
Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. Or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #322). Update on dated 14-10-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: I wanted to know when a person masturbates intentionly is it wahib for him to do ghusl with cold water or can he do it with hot water.plz guide me
Answer: Ghusl from cold or hot water is valid. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #114,379). Update on dated 22-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agr ghusal krte hue koi jaga dhone se reh jaye or bad me wo dho li jaye tu kya ghusal hoga
Answer: Agar kisi ko ghusl k baad pta chalay k is ne badan ka khuch hissa nahI dhoya to agar wo left ya right taraf ho to sIrif ise miqdaar ka dho lena kafi hai aur agar sar aur garden dhonay sai reh gae ho to ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai k itni miqdar dhonay k baad dubara badan ko dhoay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #364). Update on dated 12-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslamalikum, I am reverted and Mea sawal he ki, Agar haiz ke dino me hambistari husband aur wife ke bich ho jaye to pehele zanabat ka ghusul kare ya haiz ka? Ya kis tarah guusul karna chahiye?
Answer: Halat e haiz main ghusl e janabat kerna sahi hay, isi terah haiz k khatam hone k baad ghusl e haiz or nifaas dono ki niyat ker k aik ghusl kia jasakta hay or isi terah In dono ghusl main se kisi aik ki bhi niyat ki jasakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen,part#1,Mafhoom e Maslah #233). Update on dated 05-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: janab: asslamulakim: mray sahdi ka 2 mahenay ho chuki hay. ab jab ma bewi say mubashirat karta ho to mera inzal hota hay. is par gusal karna hoga ya nahi. jawab day. Thank you
Answer: Is sorat main ghusl wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 12-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asslamulikum: may jab bewi say mubashrat karta ho. to farj sa bahir inzal hota hay. is par ghusal karna hay ya nahi.
Answer: Is sorat main bhi ghusl wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #344).Update on dated 12-03-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sprem zabrdasti nikalne ke baad pani se dholiya gaya uske baath bi gusal farz
Answer: Mani k nikalay k baad,ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota(ghusal k baighair srif wazu kar k namaz nahe perh sakte he. Lakin namaz e mayyot , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). Update on dated 11-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Question: sprem zabrdasti nikalne ke baad pani se taharat leliya gaya uske baath fajar, zohar, asar, magrib, esha. ki namaz pad sakte hai ya fir gusal kar ke padna chayiye?
Answer: Is sorat main namaz se pehle ghusl kerna wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 15-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: hath main plaster chadne ki surat m gusal ka tarika batayen
Answer: Agar haddi toti ho zakham nah ho tu ghusl kia jaey or jabira k oper masah(geela hath phiara jaey) kia jaey. Jabira per plastic bhi bandhi ja sakti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame, Mafhoom e Maslah #391). Update on dated 18-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).