Question: assalam o alikum. Mera sawal yeh hai kay kiya ghusul e janabat me hathon se badan aur sir ko ragar sakte hain ??
Answer: Ghusl karte waqt insaan k lie apne haath ko tamaam aaza per pehrne ko mustahaab shumaar kiya gaya hay. (Ref: Urwatulwusqa, Ayatullah sistani d.b, part#1, Mafhoom e Pg#228). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam,, mai ghusal e janabat shower se karta hun,tw niyat ke baad sar aur gardan dhone ke baad shower se nikal kar apna pura badan aik sath dho leta hun right left ka khayal nahi karta tw kia mera ghusal sahi hai??
Answer: Jee haan, is terah ghusl kerna sahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya agr kisi lrki sy normal bat krty huy mgr akely me koi pass na ho..thori ik do qatry mani nikly to roza toot jata k nhen or kpry pak hain ya napak?
Answer: Wo pani jo kabhi kabhi aurat se cherh charh ya hansi mazaq kerne k baad insan k badan se kharij hota hay osay mazi kehte hain. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #74). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Likoria jo yellow hota hy. But aik likoria type brown color main hota hy jo aksar menses ki dates sy pehly nikalna shoro hora hy sometime 1 week before. Sawal yeh hy k jab yeh brown color main ratubat nikly tu kia namaz parhi ja sakti hy ya nahi?
Answer: Likoria mani ya haiz nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hain.(Ref: Mafhoom e email rcvd from A.sistani d.b) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam O Allaikum agar left hand finger se apne pakhana saaf karte hai to kya gusul tuta hai ya fir pakhan nikalne me taklif hote ho aur hum fingre ke madad se nikale kya ise fir gusul karana wajeb hai plz answer
Answer: Is se ghusl nahi tut,ta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 1. Sawal ye hai ke Kya Bus pe Ya Train pe Ladki ke saath baitnese (Sitting) Mazi ya wadi nikal gayito gusul wajib hai? 2. Us halath pe hum namaz pad sakte hai? 3. kya Us se roza (fast) toot jata hai? Plz answer
Answer: 1)Mazi ya wadi se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi nahi tut,ta. 2) Jee haan badan ya libas ko paak kiay baghair namaz perh sakte hain. 3) is se roza nahi tut,ta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,71+1553). Update on dated 30-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar ham pak h is dauran hamne blue film dekh li to ham p gusal wajib h ya nhi
Answer: Agar mani kharij nah ho tu ghusl e janabt wajib nahi hoga. Aisi film or tasaweer daikhni jaiz nahi hay (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #351,2442). Update on dated 02-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A..O.A mai bht pareshan hon k jab orat ko manses ho jab last day wo ghusal ly or sath hi underarms oe sharmgah sy hair remove kar skti hy aisy wo pak ho jati hy ya nai ya hair remove karny k leye dobra ghusal lana parta hy
Answer: Haiz khatam hone k baad sirif ghuls e haiz kerne se aurat paak ho jati hay. Paak hone ka sharamgaah k baal kaatne koe ta,alluq nahi. or baal kaatne k baad bhi ghuls kerna zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456). Update on dated 12-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mjy ye pouchna ay k mazi aur mani ka kaise pta lgy k k kn se ay aur in ma farq kya hta ay
Answer: 1)wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai,wo najis bhi hai aur us k nikalnay par ghusl kerna wajib hai laikin agar sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,80,343,345). 2) Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #322). Update on dated 08-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera Paon(foot) choot lagnay sa zakmi ho gaya hajis par choot lagnay ki waja sa tankay aye hai or ab muj par ghusal farz ho gaya hai mujhay is ka koi hal batien.
Answer: Aap ko ikhtiyaar hay k ya ghusl k tayyamum karain ya ghusl e jabira karain,agar aap ghusl ko ikhtiyaar kerte hain tu tarteeb se ghusl karain or jab zakham k maqam tak pohnchain tu agar rakham per patti nah ho tu ehtiyaat e mustahab ye hay k zakham per paak kaprha rakhe or os kaprhe k oper masah karain.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #338).Update on dated 20-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).