Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9297
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam Wa Lakum... Agr koi insan rat ko khwab dakay aur us halat mai mazi harj ho toh gushal faraz hojata hai ???

Answer: Do cheezo say i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say). insaan (per namaaz perhne k lie ghusal janabat wajib ) hojata hay. Mazi se ghusl wajib nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,344,356). Update on dated 18-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9304
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Tell me about girls problem a white fluid comes..my question is during namaz if this happen thenwhat should we do?

Answer: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl , ya wuzu bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain or doraan e namaz aay tu namaz batil nahi hogi. (Ref:email rcvd). Update on dated 30-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9305
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: napki ki problem ho to namaz padi ja sakti hai kya

Answer: Napaki k halat main namaz nahi perhi jasakti, Napaki ko door ker k namaz ko perha jaey. Agar napaki janabat ho tu ghusl e janabat ko anjaam day ker namaz ko perha jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #787) Update on dated 03-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9307
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamualeykum.....me apni honwale biwi se phone pe baat karta hu to uske doran khuch gila gila hojat he to kya me napak hogaya or jo kapda mene pehna he wo bhi napak hogaya mujhe gusal karna padega?

Answer: Wo ratoobat(liquid qatre) jo khabi kabar shehwat ubhrnay par mard ki sharamgah se kharij hoti hai use Mazi kehtay hain aur wo paak hai(matlb ap namaz parh sakte hen). Aur wazoo ko bhi batil nahi karti. aur wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise Wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay Wadi kehtay hain agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is se ghusl wajib nahi hota hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 36th, Maslah # 70) . Update on dated 04-28-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9312
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: me jab meri hone wali wife se baat karta hu to meri sharamgah se pani niklta he jo sticky hota he. kya me uspe namaz pad sakta hu use tissue se sag karke

Answer: 1-Wo ratoobat(liquid qatre) jo khabi kabar shehwat ubhrnay par mard ki sharamgah se kharij hoti hai use Mazi kehtay hain aur wo paak hai(matlb ap namaz parh sakte hen). Aur wazoo ko bhi batil nahi karti. aur wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise Wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay Wadi kehtay hain agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is se ghusl wajib nahi hota hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 36th, Maslah # 70) . 2-Ghusl e janbat jima or mani k Kharij hone se wajib hota hay. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 36th, Maslah # 344). Update on dated 13-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9341
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi shahs shaded zahmi ho our zaham ki jaga per pani mana ho to usko kaise ghusal Karna chahie

Answer: Ghusl-e-mayyit k ‘ilawa tamam qisim k ghuslo mein jabira ghusl, jabira wuzu ki tarah hai. Lekin ehtiyat-e-lazim ki bina par ye zarori hai keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaay aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyam,mum ka ikhtiyar hai. Agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat-e-mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare. Agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur Ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyam,mum karna zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #338) Update on dated 11-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9342
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi shahs shadeed zahmi ho our zaham wali jaga per pani mana ho to wo ghusal kase karega qoirat

Answer: Ghusl-e-mayyit k ‘ilawa tamam qisim k ghuslo mein jabira ghusl, jabira wuzu ki tarah hai. Lekin ehtiyat-e-lazim ki bina par ye zarori hai keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaay aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyam,mum ka ikhtiyar hai. Agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat-e-mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare. Agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur Ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyam,mum karna zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #338) Update on dated 11-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9355
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا جماع کے بعد عورت بچے کو اپنا دودھ پلا سکتی ہے

Answer: Jima k baad aurat baghair ghusl k bachay ko apna dhoodh pila sakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354-355). Update on dated 17-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9360
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: koa fingering kerne se insan napak ho jata he or fir gusal kerna hota he or ye bhi bataein k shadi raat sex k baad nahana zaroori q he

Answer: Do cheezo i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) say insaan (per namaaz perhne k lie ghusal janabat wajib ) hojata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 18-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9370
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa Ghusal e janabat ka kia teriqa hai?

Answer: Ghusl ka tareqa ye hai k ehtiyat e lazim ki bina par niyat k sath pehle pura sir o garden aur baad mai badan dhona zarori hai.Is baat ka yaqeen hasil kernay k leye k donu hissay (sir o garde) aur (badan) ko mukammal tour par dho liya hai,jis hissay ko doein us k sath dusray hissay ki kuch miqdaar dhona zarori hai yani sir aur garden ko dhotay waqt kuch hissa ziada dhoya jaey baqi badan ko bhi shamil krtay hue ta k yaqeen ajaey k pura sir aur garden dhoya hai.is trha badn dhotay waqt thora upper garden ki janib sy shuru kia jae. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #360,362) Update on dated 23-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!