Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 18143
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar biwi haiz ki halat me ho aur uska istemal kiya hua pad shohor ke fekna pade ek plastic cover ke under rak kar tho kya shohor ko gusul karna wajib hojatha hai kya?

Answer: NULL

Id: 19133
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya gair mehran ko choone se gusl toot jata hai

Answer: ( jab tak mani kharij na ho ya humbistri na ki jaay us waqt tak srif choone se ) ghusl baatil nahin hota. Albatta na-mehram mard or aurat ka aik dusre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya us ka bosa(kiss) laina ya gale lagana ye tamam kaam bhi Haram aur ghunah e kabira me se hain, chahe lazzat ke iraday ke sath hon ya is ke baghair. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322,2397). [Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 19174
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: How many Ghusl are required for a woman in Shia?

Answer: Wajib ghusl aath hain: (1) Ghusl e Janaabat. (2) Ghusl e Haiz. (3) Ghusl e Nifaas. (4) Ghusl e Istehaaza. (5) Ghusl e masse mayyet. (6) Ghusl e mayyet. (7) Woh Ghusl jo nazar ya qasam waghaira ki wajah se waajib ho jaaye. (8) Agar chand ya soraj ko mukummal girahan laga ho aur mukallaf jan bhooj kar namaz e aayaat na parhay yahan tak ke namaz qaza ho jaye to ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke us ki qaza ke liye ghusl kare. (Note: ye sare ke sare ghusl aurat pe wajib hote hain lekin In me se 3 ghusl (haiz, nifaas, istehaza) aurat ke sath makhsoos hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before maslah #344, page #62). [Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19185
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ubly huy Pani Sy ghusal hojata hai?

Answer: Jee han, uble hue paani se ghusl kar sakte hai aur ghusl ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #372). [Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19243
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mushzani ka gusal ka tariqa

Answer: 1: Istimna (masturbation, mushtzani) or khud lazzati karna Haram or Gunah e kabira hai. 2: Tarteebi Ghusl ka tareeqa: Ehtiyaat e laazim ki bina par Ghusl ki niyat ke sath pehle poora sar aur gardan dhona zaroori hai aur baad men badan dhona zaroori hai aur badan dhote waqt behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye. Note: Inasan chahe haram (mushtzani) ke zariye junub hua ho ya halal (nikah) ke zariye, Ghusl ka tareeqa aik hi hai jo ke bayan kiya gaya hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360). [Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19249
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi shakhs 3 din me 3 bar jima kar le or pani ka intazam na honay ki vajah se gusal na kar pay ab 3rd time jima k bad usay kitni dafa gusal karna ho ga? Aik he gusal 3 din ki junbiat k lia kafi ho ga ya alag alag 3 bar karna lazim ho ga

Answer: Aik hi ghusl kaafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #356,387). [Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19354
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Pishab krte we agr lase nkl gae to napak ho jate hain kia?

Answer: Mard ki sharamghah se mani ke alawa mazeed teen tarah ki rutubatain bhi kharij hoti hain: 1. Wo rutoobat jo khabi kabhar shewat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti. 2. Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3. Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai. mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345). [Updated on 06-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19356
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr biwi ki sharm gaa mei husband ki Sharm gaa Chali jay lykin biwi ka na to Pani nikly or na he Mani to kaua biwi pr phir b gusal wajib hota h

Answer: Jee han, phir bhi biwi pe ghusl wajib ho jaye ga. Q ke agar koi shakhs aurat se jima (intercourse) karay aur azu e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil ho jaye to ye dukhool faraj (agli sharmghah) me ho ya dubr (back side) aur chahe balig ho ya na balig aur chahe mani kharij ho ya na ho dono mujnib ho jatay hain. Aur namaz ya is jaisi doosri ibadaton ke liye ghusl e janabat karna wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #348,356). [Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19394
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr rozey ki halat m gusal lazim ho jaye or hum gusal kr len to kia iftari k baad dubara sahi tareekey se gusal krna parega?

Answer: Tarteebi Ghusl ka tareeqa: Ehtiyaat e laazim ki bina par Ghusl ki niyat ke sath pehle poora sar aur gardan dhona zaroori hai aur baad men badan dhona zaroori hai aur badan dhote waqt behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye. (Note: Upar bayan gaye tareeqay ke mutabiq agar pehli martaba hi sahi tareeqay se ghusl kar liya tha to iftaari ke baad ghusl karne ki zaroorat nahin hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360). [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19405
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koye aftare ki bad musht zani karai our ghosal na karai our Kal ka Roza rakkai to Kiya us ka Roza Tek hain or Kal ghosal kaise karai

Answer: 1: Istimna (masturbation, mushtzani) or khud lazzati karna Haram or Gunah e kabira hai. 2: Azan e Subh tak halat e janabat par baaqi rehne se roza batil ho jata hai, Agar azan subah tak ghusl na kiya jaye to zaroori hai ke is din mafi u zimmah ki niyat se roza rakhe (yani jo bhi Allah Taala ke nazdeek mere liye zimmedari hai us ko Allah Taala ke liye anjaam de raha hon), or phir ramzaan ke baad isi roze ki qaza kare lekin is main qaza ki niyat na kare balke mafi u zimmah hi ki niyat kare, or Azaan e Subha se pehle ) (ajan bouge kar )gusal e janabat na karne ki waja se kaffara bhi wajib ho jaye ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544. + Tauzeehul masail, edition #42, maslah #1591,1630). [Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!