Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16874
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya haiz ka khoon bad hone k bad aurat sharamgah k bal saaf kar k phir ghusul haiz kar le to iska ghusul hoga ?

Answer: Aurat jab bhi ghusl kare gi us ka ghusl sahi shumar hoga chahe sharamghah ke baal saaf karne se pehlay ghusl kare ya baad main. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,356,360,448). [Updated on 11-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16896
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jab Ghusal Wajib ho or Bina ghusal k Namaz Parhne se Gunah Milta hai..

Answer: Is se ghunah to nahin hoga, albatta janabat ki halat me (yani bina ghusal ke) namaz parhna sahi nahin hai (yani jo namaz ada karna wajib thi wo ada nahin hogi aur apni wajib zimme daari ada karne ke liye ghusl karna wajib hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #354,356). [Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16923
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nak ma chot lage ho to gusal kase kran

Answer: 1: Agar kisi ke badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai. Ab agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab (behter) ye hai ke zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe ke upar masah kare agar badan ka koi hissa toota hua ho to zaroori hai ke ghusl kare aur ehtiyatan jabira ke upar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga tooti hui hai wo khuli ho to tayyammum karna zaroori hai. 2: Agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #338,356,659,709). [Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16932
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum mein ye kehna chahti hon Kisi chez ko mtlb drama mein ya video dekh leny sy agar leucorrhea Nikal jaye to nahana wajib hai ya ni

Answer: 1: Leukorrhea (safeed, yellow color ki ratubat) mani ya haiz nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahin hota. aur is se koi cheez touch ho jaye to najis nahin hoti. Aur is halat men namaz aur doosri ibadaat bhi anjam deni hongi. 2: Wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwurat ke waqt apni sharamghah men mehsoos karti hain aur wo ratoobat itni miqdar men nah ho ke dusri jaghah ko aalooda karay, to wo paak hai aur is ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko bhi baatil nahin karti, Haan agr rutoobat is qadar ziyada ho ke inzaal kaha jaye aurr libas ko aalooda karay jabke sath sath aurat heejan e shehwat ki intiha ko puhanch jaye aur mukammal razamandi (orgasm) ho to najis or janabat ka mujib hai balkeh agar heejan e shehawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyaat e lazim ki bina par najis aur janabat ka mujib hai aur in maqamaat par jahan aurat shak kary ke rutoobat is had se ziyada puhanchi ya nahin aur ya khud rutoobat ke kharij hone men shak karay to ghusl wajib nahin hai aur wuzu or ghusl bhi baatil nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #345. + link; sistani.org/urdu/qa/01791/#17660 ). [Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16948
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can take ghusl on the second day after having sex

Answer: Humbistari(sex) ke baad, namaz aur is jaisi dusri ibdaaton ke liye ghusl e janabat karna wajib hai. Yani waise to Humbistari ke baad agle din ghusl kar sakti hain lekin maslah namaz ke waqt aaye ga ke namaz ke liye ghusl karna wajib hai aur bager ghusl ke namaz nahin parh saktein. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356). [Updated on 25-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16982
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia germuslim larki se zina karny k bad gusal nh hota? Mainy ye suna hy k agr nonmuslim larki se sex kia teo jab tak kachi miti wali silh gusal k pani se pighal nh jati tab tk pakae nh hoti kia ye bat sahi hh??

Answer: 1: Na-mehram (chahe muslim ho ya non-muslim) us se zina karna Haram aur ghunah e kabira hai. aur ghusl bhi karna hota hai. aur ghusl ke bager apni ibaadat anjaam nahin day sakte, is ke alawa bhi kuch cheezen janabat halat me haram hoti hain wo anjaam nahin day sakte. 2: Jee nahin, aisa kuch nahin. balke ghusl karne se jo pakaei haasli honi chahiye wo pakaei haasil ho jati hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #344,348,356). [Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16985
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi insan ke upar ghusl wanib ho jaaye aur wo namaz padhe toh kya wo namaz qubool hogi? Aur uss haalat mein namaz padhna kaisa hai?

Answer: Agar ghusl wajib ho jaye to is halat me (yani ghusl kiye bager) namaz sahi nahin hai. (yani jo namaz ada karna wajib thi wo ada nahin hogi aur apni wajib zimme daari ada karne ke liye ghusl karna wajib hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #354,356). [Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17019
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia anal sex sy ourat pr b ghusal wajib hojati h?

Answer: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada miqdar me dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me, mard aur auart dono junub ho jate hain. {yani mard aur aurat dono par ghusl e janabat wajib ho jata hai}. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #348). [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17039
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz k liye agr hmny kisi wajah se gusl kiya ho to phir wazu alag se krna zarori hai??

Answer: Ghusl e istihazah e mutwasitah ke bad wuzu bhi karna hota hai. aur ghusl e janabat ke baad namaz ke liye wuzu karna haram hai. in do ghuslon ke alawa Tamam wajib or mustahab ghuslon (jin ka mustahb hona sabit hai) ke baad, namaz aur dosri ibadaat ke liye wuzu karna zaroori nahin hai. Lehaza agar ghusl e istihazah e mutwasitah liya hai to is ke bad wuzu bhi karna hoga, aur agar ghusl e janabat ke kiya hai to is ke baad namaz ke liye wuzu nah kiya jaye. lekin agar in do ghuslon ke alawa koi wajib ya mustahab (jis ka mustahb hona sabit ho) ghusl kya hai to phir wuzu karna zaroori nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #389,392,393,634). [Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17078
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Kisi ko nazla ho or ghsul mein bhi naak mein Kuch na Kuch reh jaye ya ajayye TU aise mein kia krain or wehm ka bhi ziada masla hai mjhey aise baar baar naak mein Pani dalne SE pareshani hoti hai ab mein kia krun?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq, ghusl karte waqt naak me paani dalna zaroori nahin hai, lihaza naak me paani daale bager bhi ghusl kar sakti hain. 2: Tarteebi Ghusl ka tareeqa: Ghusl ki niyat ke sath pehle poora sar aur gardan dhona aur bad men badan dhona zaroori hai aur badan dhote waqt behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #360). [Updated on 11-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!