Question: Wife k sath romance kissing krny k bd sperm ka thick qatra nikal ai tou Kya namaz parh sakty hai?
Answer: 1: Agar wo ruboobat zel me bayan ki gayei in 3 alaamaton ke sath niklay to ghusl karna hoga warna nahin. 1-Agar wo ruboobat shehwat ke saath niklay. 2-Uchal ka niklay. 3-Nikalne ke baad badan sust ho jaye to ghusl kar ke baad me namaz parhni hogi. Lekin agar ruboobat me in 3 alaamaton me se saari ki saari ya kuch mojood nah hon to ghusl wajib nahin hoga aur namaz parh sakte hain. 2: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen (3) tarah ki mazeed rutoobatain kharij hoti hain: 1-Wo rutoobat jo khabi kabhar shehwat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti. 2-Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3-Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. Agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345,356). [Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam Alaikum Mjhe ye pochna hai agar zeere naaf baal thory rehjaen tu ghusal hojata hai paki hojati h ya nahi?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, zeer-e-naaf baalon ke kaatne ya na kaatne ya thoray reh jaane ka ghusl se koi talluq nahin, ghusl is ke bager bhi ho jata hai. ( Ghusal me jisam ke har hisse tak pani pouchana zarori hay or un chote baalo ka dhona bhe zarori hay jo jisam ka jus shumaar hote hay) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #354,355,356,360). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wajib ghusl se pehle jism dgoya jae or Agar ghusul k doran koi cheez jism per lagi reh jae or bad me maloom chale k wo jagha pani nahi laga to kiya ghusl hojaega khuwaah wo jagha nakhun se b choti ho..?
Answer: Ghusl me baal barabar badan bhi agar dholne se reh jaaye to ghusl baatil hai Aur agar ghusl ke baad maloom ho ke badan ka khuch hissa nahin dhoya to ghusl ke baad sirf usi miqdaar ka dho lena kaafi hai is tarah ghusl sahi ho jaaye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #364,373). [Updated on 22-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum, Agar Farz Gussal karne ke bad gussa me shak(doubt) ya "yaad na ho" ke gussal ke sare faraiz kiye ya nahi , to kya gussa firse karna padega?
Answer: Ghusl me baal barabar badan bhi agar dholne se reh jaaye to ghusl baatil hai. lekin agar ghusl ke baad shak ho ke ghusl sahi kiya hai ya nahin to dobara ghusal karna zaroori nahin. Aur agar ghusl ke baad maloom ho ke badan ka khuch hissa nahin dhoya to ghusl ke baad sirf usi miqdaar ka dho lena kaafi hai is tarah ghusl sahi ho jaaye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #364,373,383). [Updated on 11-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir par agar koi zakhm hoto gusl kese kre
Answer: 1: Agar kisi ke badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai. Ab agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab (behter) ye hai ke zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe ke upar masah kare agar badan ka koi hissa toota hua ho to zaroori hai ke ghusl kare aur ehtiyatan jabira ke upar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga tooti hui hai wo khuli ho to tayyammum karna zaroori hai. 2: Agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #338,356,659,709). [Updated on 12-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alikum Sir shohar k hath lgany orat ki ijtama krny ki khwaish peda hoti h agr shohar n bv ko hath lagaya lakin ijtama ni kiya lakin orat release ni hoi is sorat m orat begr gusal kiye nmz par skti h??
Answer: Agr Inzaal nhi hua to iss sorat me gusal wajib nhi hota aur baghair gusl k namaz bhi jaiz hai or wadho bhi batil nhi hota.. (Ref : Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 345) [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Gushal ke dauran agr maazi nikal jai to kya kre?
Answer: Vo rutubat jo baz aukat mard k alae tansl se shehwat ubharne pe nklti hai use "Mazi" kaha jata hai aur yh pak hai Vo rutubat jo baz aukat mani k baad kharij hoti hai use "Wazi" kaha jata hai aur yh bhi pak hai V rutubat jo baz auqat peshab k bad kharij hoti hai use "Wadi" kaha jata hai agr us me peshab na mila ho to pak hai vrna najis hai. In tamam rutobaton se gusal wajib nhi hota naiz wadho/gusal bhi batil nhi hota (Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 70) [Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr urat or mard kapro main humbistari kre to gusal wajib hai kya
Answer: 2 Cheezo se insan mujnib hojata hai or uss pr gusal wajib hojata hai 1. Jima/Hambistari 2. Mani k kharij hojana (Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 344) [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya hum biwi k sath srf romance kr k naked sony k bad fajar k lye nimaz prhny k lye uth skty hy ya hamein shower lena pryga?
Answer: Agar jima nhi kia lkn mani kharij hui hai to bh insan mujnib hai aur zararori hai k insan namaz se pehle gusul e janabat anjam de. (Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 344) [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: gusal farz tha, pura badan pa pana baha liya gandagi door ho gayi, kapra pehan liya yad aya baki 2 farz ni pura howa ab woh 2 bhi kr liya 2 min ka waqfa sa gusal howa ka ni howa ?
Answer: NULL