Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17160
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: orat Thursday ko pak ho sakti ha kya???

Answer: Agar is se aap ki muraad ghusl ke bager faqat nahana (shower lena) hai aur ghusl karna muraad nahin hai to is soorat me aurat khud mukhtaar hai ke chahe to nahaye ya chahe to nah nahaye. lekin agar is se aap ki muraad koi wajib ghusl (jese janabat, haiz aur nifaas ka ghusl) karna hai to phir to namaz aur is tarah ki ibadat baja laane ke liye ghusl karna wajib hoga is liye ke jab aurat ghusl nahin kare gi to namaz nahin parh sakti Q ke namaz aur is tarah ki ibadat ke baja laane ke liye ghusl karna wajib hai. Note :aurat ke haiz ya nifaas ke khoon ke rukjaane ke baad us ki lie namaz ,roza ke lie in ka ghusal wajib hay ,is ka hufte ke dino ( masalan Thursday ya Friday, Sunday)se koi taluq nahe hay (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356,456,507). [Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17205
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎* Mujh par Ghusal waja ho gia hai Light ni hai pani be kum hai Many Fajar ke namaz phrni hai main mamu k ghr par ho apny ghr par or bat hoti main kasi k ghr par ho

Answer: Jo shakhs Fajar se pehlay bedaar ho aur apne aap ko mujnib paaye lekin sharam waghera ki wajah se ghusl nah kare to is se ghusl saaqt(khatam ) nahin hoga. balke ghusl ka ihtemaam karna zaroori hai Q ke wajibaat ke ajnaam dene aur muharramat se bachne ke sisilay me sharm o haya karna ye koi uzr nahin hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01812/#26063 ). [Updated on 06-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17263
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mein ne ghusle janabat karliya uske thori der baad mein apne donon paon ki ungli par koi cheez lagi dekhi shayad mel tha or mein nahi jannta ke us pe se pani jild tk phncha hoga ya nhi to kya mera ghusl sahi hai

Answer: Agar us jagh se rukawat ko hata kar use ghusl ki niyat se dhoya jaye to kaafi hai, ghusl sahi ho jaye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #363,364,379). [Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17279
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun alaikum mera sawal ye he ki Agar hum ghusl e janabat karete hai To kya hame pehle pura body sabun se dhoo kar pak kar phir ghusl k liye body sukhani padti hai.?

Answer: Ghusl se pehlay jism ko sabun aur balon ko shampoo karna zaroori nahin hai balke sirf wo jagh jahan najasat lagi huei hai us jagh ko paak kiya jaye aur paak karne ke bad Ghusl kiya jaye to kaafi hai. Isi tarah sabun, shampoo istemaal karne baad jism ko khushk karna (body ko sukhana) bhi zaroori nahin hai balke usi waqt gheelay badan ke sath ghusl kar sakte hain. Han albatta is baat ka khayaal rakha jaaye ke sabun ya shampoo istemaal karte hue paani mazaaf na ho jaaye Q ke ghusl ya wuzu me paani muzaaaf hue bagher jism tak puhnchna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154,360,371). [Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17280
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghusal k doran hawa ko rok kar lena ar ghusal porna karna to kia ghusal ho jata hy k nhe

Answer: Jee ghusl sahi hai. Balke agar ghusl ke dauran hadas e asghar sarzat bhi ho jaye maslan reeh(gas) nikal bhi jaye tab bhi us ghusl ko tark kar ke shuru se ghusl karna zaroori nahin hai balke isi ghusl ko mukammal kar sakte hain. lekin is surat me ehtiyat e lazim ki bina par wuzu karna bhi zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #384,389). [Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17309
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya khuawab me apni hi husband k sath sex krte hue dekhna - jbke subha uthe kr koi ratobat bhi mehsoon na ho., tu kiya ghusal wajib hoga? Ayet Ullah Khaminae ki taqleed me hon.

Answer: Agar koi Khuwab me apne shohar ke sath sex karte hue dekhe to is wajah se ghusl wajib nahin hota, Isi tarah agar neend se bedaar ho aur dekhe ke mani kharij nahin huei (yani ihtelam nahin hua) tab bhi ghusl wajib nahin hota. Han! Agar neend se bedaar ho aur dekhe ke mani kharij huei (yani ihtelam hua) hai to phir ghusl karna hoga. Q ke Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me, kam ho ya ziyada, shehwat ke sath niklay ya bagher shehwat ke, aur uska nikalna ikhtiyar me ho ya na ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344). [Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17319
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o Alikum mera sawal ye ha pehly masla pata nh hony ki waja sy ma na gusal jinabat ma pehly pat sy nichy wala hissa dhoya phr sir gardan phr daya hissa phr baya hissa tou ye gusal galat hungy ya sahe

Answer: 1: Agar jaan bhooj kar aisa nahin kiya ya ghusl ke ahkam seekhne me kotahi nahin ki to ghusl sahi hai. Lekin agar jaan bhooj kar aisa kiya hai ya ghusl ke ahkam seekhne me kotahi ki hai to phir ehtiyaat e laazim ki bina par ghusl baatil hai. 2: Tarteebi Ghusl ka tareeqa: Ehtiyaat e laazim ki bina par Ghusl ki niyat ke sath pehle poora sar aur gardan dhona zaroori hai aur baad men badan dhona zaroori hai aur badan dhote waqt behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360). [Updated on 06-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17333
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam U AlaikUm..... AGr gusal Pura kr k shk ho k kxh Reh gaya 1 br Pani dalna tw Phr wuzu se Dubara gusal kia tw hamara gusal ho gaya naw?

Answer: Ghusl me baal barabar badan bhi agar dholne se reh jaaye to ghusl baatil hai. lekin agar ghusl ke baad shak ho ke ghusl sahi kiya hai ya nahin to dobara ghusal karna zaroori nahin. Aur agar ghusl ke baad maloom ho ke badan ka khuch hissa nahin dhoya to ghusl ke baad sirf usi miqdaar ka dho lena kaafi hai is tarah ghusl sahi ho jaaye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #364,373,383). [Updated on 09-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17339
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam O ALaikum. Mera sawal ye he kya kise larki se shehwat baten karty waqt khud e pani nikal k ajaye to kya usper gusul wajib hoga ya nahi wo roza rakh sakta he ya nai please guide

Answer: 1: Agar wo ruboobat zel me bayan ki gayei in 3 alaamaton ke sath niklay to ghusl karna hoga warna nahin. 1-Agar wo ruboobat shehwat ke saath niklay. 2-Uchal ka niklay. 3-Nikalne ke baad badan sust ho jaye to ghusl kar ke baad me roza rakh rakhna hoga. Lekin agar ruboobat me in 3 alaamaton me se saari ki saari ya kuch mojood nah hon to ghusl wajib nahin hoga aur roza rakh sakte hain. 2: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen (3) tarah ki mazeed rutoobatain kharij hoti hain: 1-Wo rutoobat jo khabi kabhar shehwat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti. 2-Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3-Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. Agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai. 3: Na-mehram se baat cheet ke hawale se aap ko aik sharaei masleh ki taraf mutawajeh kiya jata hai ke, Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koe aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho to baat karna jaiz nahin hai, isi tarah gair akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona (parna) jaiz nahin hai. 4: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho, isi tarah aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is soorat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubhaarne wali ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #124,125,127, pg #65,66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510). [Updated on 16-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17347
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sallam sain Jesa k mene prah he k bivi apne shohr ko muth mar sakti he, kia usk bad sirf husband p ghusal wajib hoga ya bivi p bhi wajib hoga

Answer: 1: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada miqdar aurat ki sharamghah me daakhil (enter) nahin huei aur biwi ne shohar ki mani apne haath se istimna (masturbation) kar ke khaarij ki hai to is soorat me sirf shohar pe ghusl ki zimme daari aaye gi lekin biwi par ghusl wajib nahin hoga. 2: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada miqdar me daakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me, mard aur aurat dono junub ho jate hain. {yani sirf uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada miqdar me dakhil ho jaye to mard aur aurat dono par ghusl e janabat aa jata hai}. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344,348). [Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!