Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16993
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. Kia ladki ka nikkah masjid mai ho sakta hai. Yaani ladki nikkah k ly masjid ja skti hai aur agr ja skti hai to kia sharait hain lazmi btaye. Mai chahti hu mra nikkah masjid mai ho kia aisa ho skta hai jaiz hai Islam mai.

Answer: Is website per fiqhe jaferia ke mutabiq jawabaat die jate hain , aytullah sistani sahab ke mutabiq Masjid me nikah ho sakta hai, albatta taharat aur nijasat ka khayal rakhna zaroori hoga, isi tarah masjid ki intezamiya se bhi baat ki jaye.(or ladies masjid agar chaae tu un ka haiz se paak hona zarori hay kyu ke halat haiz me aurat ka masjid me baithna haram ) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448,901). [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16995
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya haiz ki halat mein balun mein tail lagana sahi hai?

Answer: Jee han, haiz ki halat me balon men laga sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448,467). [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17063
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, Mera masla ye ha ke Mujay ek mahiney se Jabh se mere periods khatam hoye hain brown discharge horaha ha. Is surat ma mere liye namaz or roza my ka kiya hukum ha

Answer: 1: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 10 din ke andar andar khoon aaye to ye sahi hai aur 10 tak aa sakta hai aur is surat me namaz aur rozay anjam nahin dene, lekin 10 din ke baad jo aaye ga wo haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga aur is surat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain. 2: Agar koi aurat jaanti ho ke jo khoon use aa raha hai wo zakham ka khoun nahin hai, lekin us khoon ke istehaza, haiz ya nifaas hone ke bare mein shak kare agar sharan wo khoon haiz o nifaas ka hukum nah rakhta ho to zaroori hai k istehaza waale ahkaam ke mutabiq amal kare balke agar use shak ho ke ye khoon istehaza hai ya koi dosra aur wo dosre khoon ki alaamaat bhi nah rakhta ho to ehtiayat-e-wajib ki bina par istehaza ke afaal anjam daina zaroori hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #431،438,439). [Updated on 05-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17076
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Fibroids ki waja se me 11 din pe ghusl kar pati hon agar uske baad bi light pink ya yellow discharge ho to namaz roze aur ghusl ke liye kya hukm hai?

Answer: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 10 din ke andar andar khoon aaye to ye sahi hai aur 10 tak aa sakta hai aur is surat me namaz aur rozay anjam nahin dene, lekin 10 din ke baad jo aaye ga wo haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga aur is surat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #438,439). [Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17084
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr delivery k bad bleeding ki jagah lochia (white yellowish discharge)ho Jo 40 din k bad b a Raha ho to kia namaz parh skty hain ??? Is halat main aurat Pak hogi ya napak

Answer: Leukorrhea (white, yellow color ki ratubat) mani ya haiz nahin hai. Ye paak hai or is ke aanay se ghusl bhi wajib nahin hota. Aur is halat men aurat pak hogi, isi tarah namaz aur doosri ibadaat bhi anjam deni hongi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), email rcvd). + link; sistani.org/urdu/qa/01791/#17660 ). [Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17213
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr rat humbistri ki ho or roza rkh lya ho or pani 1 bjy tk b na a rha ho tu kyaa gunnah ho ga

Answer: 1: Maah e ramazan main azaan subah se pehle ghusl e janabat karna zaroori hai ya agar ghusl karna mumkin nah ho to phir tayammum kar ke roza rakhna zaroori hai isi tarah tayammum kar ke namaz parhna bhi zaroori hai warna dono soorton main insaan ghuhagar hoga. 2: Maah e ramazan main azaan subah tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subah se pehlay ghusl kiya jaye ya agar ghusl karna mumkin nah ho to phir tayammum kar ke roza rakha jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1591,1625,1630). [Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17225
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mera sawal ye hy k mere haiz ki muddat 8/9 din ki hy lekn is beech 5/6 day ko khoon ana ruk jata hy or phr jab gusul leti hun to dubara ajata hy to kya mera is trha beech me gusul krna sahi hy?

Answer: 1: Agar maslan teen din mutawatir khoon aata rahe phir aurat paak ho jaye. Chunacheh agar wo dobara khoon dekhe to jin dino main wo khoon dekhe aur jin dino me wo paak ho in tamaam dino ko mila kar agar das(10) din se ziyada nah hon to jin dino main wo khoon dekhe wo haiz ke din hain lekin ehtiyaat e lazim ki bina par paaki ke dino main wo un tamaam umoor ko jo paak aurat par wajib hain anjam day aur jo haaiz par Haram hain, unhain tark kar day. 2: Jab tak haiz ka khoon mukammal khatam nahin ho jaata tab tak ghusl nahin kiya jaa sakta, Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us ke baatin mein khoon-e-haiz hai to zaroori hai ke ya ehtiyat karte hue ibadaaton ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bagher ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai. Istibra ye hai ke apni sharamgah mein kuch dair royi(cotton) rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa k baaz aurton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikaal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah howa ho ya thaurha sa zard pani laga ho. Ps agar wo Heyz ki mo’eyin ‘adat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi uski aadat ke din tamam nah houe hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar 10 din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen(10) din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya 10 din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #442,496). [Updated on 19-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17377
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa janab merry periods irregular Hain age 46 Hy Dr krhty Hain 50 tak khatam hon gy masla yeh Hy k namaz bhi irregular ho Jate Hy Kia her dafa ghussa kerns lame ho jata Hy ya sirf wazoo KR Lia kron aur shuhar k Pas jany ki ky masial pr roshne dalen

Answer: 1: Haiz wali aurat ki 6 qismien hain aur konsi qisim kese maloom ho sakti hai, is ke liye aap ne do mahino me se har mahine check karte rehna hai ke kis tareekh ko aur kis waqt haiz ka khoon aa raha hai. Jab aap do mahine check karti rahen gi to aap ko maloom ho jaye ga ke un 6 aqsaam me se aap ki konsi qisim banti hai aur phir usi hisaab se aap ne ghusl, ibadat anjam dene hain aur isi tarah shohar ke pass jaane ka maslah bhi waazeh ho jaye ga. Note: in 6 aqsaam ki tafseelaat janne ke liye Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), ka maslah #468 aur is ke baad ke masaail mulahiza farmayen, zail me aap ko Tauzeeh ul Masail ka link provide kiya jaa raha hai. Mukhtasaran ye ke Haiz wali aurat ki 6 qismien hain: (1) Waqt aur adad ki aadat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakay baad deegray 2 mahino mein aik muayin waqt par haiz aaye aur us ke haiz ke dino ki taadad bhi 2 mahino mein aik jaisi ho. maslan use yakay baad deegray 2 mahino mein mahine ki pehli tareekhh se saatween tareekh tak khoon aaye. (2) Waqt ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakay baad deegray 2 mahino mein muayin waqt par haiz aaye lekin us ke haiz ke dino ki taadad dono mahino mein aik jaisi nah ho. maslan yakay baad deegray 2 mahino mein use mahine ki pehli tareekh se khoon aana shuru ho lekin wo pehle mahine mein saatwen din aur doosre mahine mein aathwen din khoon se paak ho. (3) Adad ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jis ke haiz ke dino ki taadad yakay baad deegray 2 mahino mein aik jaisi ho lekin har mahine khoon aane ka waqt yaksaan nah ho. maslan pehle mahine mein use paanchween se dasween tareekh tak aur dosre mahine mein barween se satrween tareekh tak khoon aaye. (4) Muztaribah: Ye wo aurat hai jise chand mahine khoon aaya ho lekin us ki aadat muayin nah huei ho ya us ki sabiqa adat bighar gayei ho aur nayei aadat nah bani ho. (5) Mubtadeah: Ye wo aurat hai jise pehli dafa khoon aaya ho. (6) Naasiyah: Ye wo aurat hai jo apni aadat bhool chuki ho. In mein se har qism ki aurat ke liye alaihada alaihada Ahkam bayan kiye gaye hain jo diye gaye link mein maujood hain. 2: Haiz ki halat main Jima(Intercourse) karna shohar aur biwi dono ke liye haram hai aur dono ghunahgar hon gay. aur un dino men bhi jima karna haram hai jin men aurat ka haiz yaqeeni na ho lekin sharan is ke liye zaroori hai ke apne aap ko haaiz qarar day. lekin Haiz ki halat men Jima(Intercourse) ke alawa baqi tamam lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,449,451,468. + (Link: https://www.sistani.org/urdu/book/61/3632/ ). [Updated on 23-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17378
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa janab merry periods irregular Hain age 46 Hy Dr krhty Hain 50 tak khatam hon gy masla yeh Hy k namaz bhi irregular ho Jate Hy Kia her dafa ghussa kerns lame ho jata Hy ya sirf wazoo KR Lia kron aur shuhar k Pas jany ki ky masial pr roshne dalen

Answer: 1: Haiz wali aurat ki 6 qismien hain aur konsi qisim kese maloom ho sakti hai, is ke liye aap ne do mahino me se har mahine check karte rehna hai ke kis tareekh ko aur kis waqt haiz ka khoon aa raha hai. Jab aap do mahine check karti rahen gi to aap ko maloom ho jaye ga ke un 6 aqsaam me se aap ki konsi qisim banti hai aur phir usi hisaab se aap ne ghusl, ibadat anjam dene hain aur isi tarah shohar ke pass jaane ka maslah bhi waazeh ho jaye ga. Note: in 6 aqsaam ki tafseelaat janne ke liye Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), ka maslah #468 aur is ke baad ke masaail mulahiza farmayen, zail me aap ko Tauzeeh ul Masail ka link provide kiya jaa raha hai. Mukhtasaran ye ke Haiz wali aurat ki 6 qismien hain: (1) Waqt aur adad ki aadat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakay baad deegray 2 mahino mein aik muayin waqt par haiz aaye aur us ke haiz ke dino ki taadad bhi 2 mahino mein aik jaisi ho. maslan use yakay baad deegray 2 mahino mein mahine ki pehli tareekhh se saatween tareekh tak khoon aaye. (2) Waqt ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakay baad deegray 2 mahino mein muayin waqt par haiz aaye lekin us ke haiz ke dino ki taadad dono mahino mein aik jaisi nah ho. maslan yakay baad deegray 2 mahino mein use mahine ki pehli tareekh se khoon aana shuru ho lekin wo pehle mahine mein saatwen din aur doosre mahine mein aathwen din khoon se paak ho. (3) Adad ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jis ke haiz ke dino ki taadad yakay baad deegray 2 mahino mein aik jaisi ho lekin har mahine khoon aane ka waqt yaksaan nah ho. maslan pehle mahine mein use paanchween se dasween tareekh tak aur dosre mahine mein barween se satrween tareekh tak khoon aaye. (4) Muztaribah: Ye wo aurat hai jise chand mahine khoon aaya ho lekin us ki aadat muayin nah huei ho ya us ki sabiqa adat bighar gayei ho aur nayei aadat nah bani ho. (5) Mubtadeah: Ye wo aurat hai jise pehli dafa khoon aaya ho. (6) Naasiyah: Ye wo aurat hai jo apni aadat bhool chuki ho. In mein se har qism ki aurat ke liye alaihada alaihada Ahkam bayan kiye gaye hain jo diye gaye link mein maujood hain. 2: Haiz ki halat main Jima(Intercourse) karna shohar aur biwi dono ke liye haram hai aur dono ghunahgar hon gay. aur un dino men bhi jima karna haram hai jin men aurat ka haiz yaqeeni na ho lekin sharan is ke liye zaroori hai ke apne aap ko haaiz qarar day. lekin Haiz ki halat men Jima(Intercourse) ke alawa baqi tamam lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,449,451,468. + (Link: https://www.sistani.org/urdu/book/61/3632/ ). [Updated on 21-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17396
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA Mere 1 roza pichle Saal ka reh gaya hai jise me ne periods ki waja se khaya tha magar ab dusra roza a gaya hai or wo pichlay Wala Abi tak nahi rakha to ab Khali wo roza rakhna Kafi hoga ya phir kafara hoga

Answer: Haiz (periods) ki halat me rozay nahin rakhne hote lekin ramzan ke baad aur agle ramzan se pehlay ehtiyat-e-mustahab (yani behtar) hai ke us ki qaza ki jaye warna fidiya-e-takheer zimme aa jata hai. Ab us rozay ki qaza bhi karn zarori hai aur fidiya-e-takheer bhi dena zaroori hai. Fidiya-e-takheer yani har din ke liye aik mud (yani 750 giram) taam faqeer ko day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1612,1676,1677). [Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!