Question: Haiz khe khalat main sex karna jaiz hain ager biwi razi hoo to jaize hain
Answer: Jee nahin, biwi raazi ho ya na ho haiz ki halat me jima karna Jaiz nahin hai. Q ke Haiz ki halat men chand chizien Haram ho jaati hain: in me se aik Jima(Intercourse) karna hai jo ke shohar or biwi dono ke liye Haram hai. Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima kare to is ke liye zaroori hai ke Istigfar kare, lekin kaffara dena wajib nahin hai. Albatta, Jima(Intercourse) ke alawa baqi lazzatien maslan lams (touching) or bos-o-kinar (kissing) wagera karna jaiz hai. Is men koi haraj nahin hai shohar aur biwi aisa kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,450,451). [Updated on 03-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalama Alikum kia haiz agr 6 din mein khtam ho jae 6 din ghusal le sakte hein ya taq dino mein he ghusal karna chiye
Answer: Jab bhi aurat haiz se pak ho jaaye to us waqt ghusl kar sakti hai, is me taaq dino ka koi farq nahin, balke baaz auqaat to ghusl karna wajib ho jata hai namaz ya is tarah ki deegar ibadaten anjam dene ke liye wajib hota hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #438,456,507). [Updated on 18-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia periods mein balun mein tail lagana thk hai?
Answer: Jee han, sahi hai balon men laga sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448,467). [Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine Allah se wada kiya ki meri mahwari aaye me unsay tb tk bat nahi karungi jb tk wo khud se na kare nge mujhse bat
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 25-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jab aurat ki meanses ruk Jai or ghusal na Kya ho tou Kya ye jaiz he...??
Answer: Jab bhi aurat haiz or nifaas se pak ho jaaye to us par direct ghusl karna wajib nahin hota balke us ke liye takheer (yani der se ghusl) karna jaiz hai, Albatta baaz auqaat ghusl karna wajib ho jata hai jaise ke namaz ya is tarah ki deegar ibadaten anjam deni hon to is surat me ghusl karna wajib hota hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #456,507). [Updated on 20-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meanses ruk Jai or ghusa?? l na Kya ho tou hambistri krna jaiz he ya nh
Answer: Haiz se pak hone ke baad aur ghusl karne se pehle hambistari karna jaiz hay, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke hambistari, sharamgah dhone ke baad ki jaye, aur ehtiyaat e mustahab ye hai ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #457). [Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can I have sex with my husband before taking gusal e haiz if bleeding stops after 5 days
Answer: Haiz se pak hone ke baad aur ghusl karne se pehle hambistari karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hay ke hambistari, sharamgah dhone ke baad ki jaye, aur ehtiyaat e mustahab (behtar) ye hay ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #457). [Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 6 weeks ki pregnancy me blood arha h spotting horhi h. Spotting b hr waqt ni hoti din me 4 5 dafa horhi h ab is silsalay me namaz ko kese ada krey?
Answer: Agar is khoon me haiz ki sharaait maujood hain to haiz ke ahkam par amal kiya jaye, Q keh hamila aurat ko bhi haiz aana mumkin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #435). [Updated on 25-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kiya aurat halatai haiz mai namazai shab perh sakti hai? agr nhi perh sakti tou agr wo 40 din wala namazai shab ka amal kri ho tou wo kesai continue hoga phr.
Answer: Halat e haiz me Namaz chahe wajib ho ya mustahab, parhna Haram hai lihaza agar amal se mutaalliq cheezain, haaiz auart par haraam cheezon main se na hon to 40 din wala amal kar sakti hai, lekin agar amal se mutaalliq cheezain, haaiz aurat par haraam cheezon main se hon to 40 din wala amal nahin kar sakti, matlab ke agar amal aisa hai jis men wo kaam anjam dene parte hain jo ke haiz ke dino men jaiz nahin hain to phir amal anjam nahin de sakti. jaise ke agar amal me namaz par mushtamil hai to chonke namaz haiz ke dino men jaiz nahin hai is liye amal bhi jaiz nahin haga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 11-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya periods ma surah inaam k aamal kar saktay ha??
Answer: Haiz ki halat men amal karna jaiz hai. aur agar amal quran ki ayaat ya kisi surah par mushtamil ho jaise ke surah anaam to quran ki ayaat ke alfaaz ko choowe bager haiz ki halat main pharna bhi jaiz hai, Albatta un aayat ka pharna jin me wajib sajda ho to un aayat ki tilaawat karna haraam hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448,467). [Updated on 11-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]