Question: Agar periods ka blood ana band hoaje to kya hum jnabat kar sakte he os se koi gunnah to ni or bad main jnabat or heiz ka ghusal ik sath karle
Answer: 1: Haiz se paak hone ke baad aur ghusl karne se pehle hambistari karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke sharamgah dhone ke baad, hambistari ki jaye, aur ehtiyaat e mustahab (behtar) ye hay ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare. 2: Jis kisi par chand ghusl wajib hon wo in sab ki niyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zaahir ye hai ke agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay to wo baaqi ghuslon ke liye kaafi hai. (Note: is fatwe se 2 baatain waazeh ho rahi hain: 1. Aurat haiz se pak hone ke baad ghusl e haiz aur ghusl e janabat dono ki niyat kar ke aik hi ghusl kar sakti hai. 2. Aurat ki marzi hai ke ghusl e haiz ki niyat kar ke ghusl e haiz anjam day aur phir ghusl janabat ki niyat kar ke ghusl e janabat anjam day). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387,457). [Updated on 17-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia spoting se namaz hti h?mje periods se 2.3 din pahle aik bar halka se blood ata h phr 2 .3 din kuch ni hta bad me periods shuru hte hen aksar esa hta h.kia namaz hti h pahle 2 din me?
Answer: 1: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. Lihaza agar aurat Periods (haiz) ki muddat se pehle khoon dekhe to us ke liye zaroori hai ke istihaza wali aurat ke ahkaam par amal kare, Q ke Periods (haiz) ki muddat se pehle wala khoon, khoon e haiz(periods) nahin hai balke koon e istihaza hai. - aur kitab wasail u shia main hai, jis ka mafhoom ye hai ke agar aurat khoon e istihaza se nijaat chahti hai to us ko istihaza ke ahkaam par amal karna chahiye - 2: Khoon e istihaza ke ehkaam: Sab se pehle aurat tehqeeq kare ke wo qaleelah hai ya mutawassitah ya kaseerah hai. Pas agar khoon sirf roi (cotton ke jis ko aurat apni sharamghah par rakhti hai) ke uper wale hisse ko aaloda kare aur andar saraiyat na kare to ye khoon istihaaza e qalela hai or aurat ke liye wajib hai ke har namaaz ke liye alehda wuzu kare, aur namaaz se pehle sharamghah ke zahiri hisse par khoon laga ho to us ko paak karna wajib hai. Aur agar roi ke andar tak saraiyat kar jaye lekin us kapre (jo aurat khoon ko rokne ke liye roi ke upar rakhti hai) tak na ponhche to ye khoon e istihaza e mutawassita hai, aur ehtiyaat e lazim ki bin par zaroori hai ke har din namazon ke liye 1 ghusl kare aur har namaaz ke liye wuzu bhi kare aur namaaz se pehle jism par khoon lage hone ki surat main us ko paak bhi kare. Aur agar khoon roi se tajawuz kar ke us kapre tak ponhach jaye to ye koon istihazaa e kaseera kehlata hai, aur ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke har namaaz ke liye roi aur kapra dhoye ya tabdeel kare aur agar zuhar o asar, aur magrib o isha ko aik sath parh rahi ho to fajar ke liye aik ghusl, aur zuhar o asar ke liye aik gusal, aur magrib o isha ke liye aik ghusl kare, aur agar alag alag namaz parh rahi ho to paanchhon (5) namazon me se har aik ke liye alag alag ghusl kare, aur ghusl ke baad namaaz ke liye wuzu ki zaroorat nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #390 to 394,438). [Updated on 19-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia orat periods k dino Mai qabtistan jaker Fateha parh sakty hyn? Reply by Agha Khamnai plz
Answer: (Note: agar aap ko apne mujtahid ke mutabiq is masale ka hukum maloom karna hai to un ki website per visit karen. Albatta is website par Ayatullah Sistani(d.b), ke fatawa ke mutabiq jawab diye jatay hain). Is silsile me Ayatullah Sistani(d.b), ke mutabiq sharaei hukum ye hai ke Aurat ka haiz ki halat men qabristan jana jaiz hai, lekin 12 Imamon(a.s) ke Haram main thehrna - ehtiyaat e wajib ki bina par - jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448). [Updated on 31-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia haalat e haiz me larki ka nikkah hoskta hai ?
Answer: Haalat e haiz (periods) me nikah ho sakta hai lekin nikah ho jane ke bad Haalat e haiz me hambistri (intercourse) nahin kar sakte Q ke Haalat e haiz me hambistri karna larka aur larki dono ke liye Haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,2335). [Updated on 09-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main wazifa parh rhi thi ek wo 11 din ka hai aj 8 din poore hogaye hain ab mjhe haiz agaya tw ab main bad main shuru se ( pehle din se ) continue krun ya 9way din se shuru krun haiz k bad
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Haiz ki halat men chand cheezien Haram hain: 1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai (Jese roza) lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise ke namaz e mayyit ada karna, ya koi dua ya wazifa parhna jis me wajib sajde wali aayat maujood na hon. 2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho. 3. Wajib sajde wali aayat parhna. 4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana. 5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa dosere kise masjid men theherna or ehteyaat wajib ki Bina per imamo ke (asli) Haram me theherna. 6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona. 7. Jima(Intercourse) karna jo ke shohar or biwi dono k liye Haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448,467). [Updated on 13-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haiz or Nifaas k dino m jo kpry aurat pehnti hai unko kapro ko pak kr k un m namaz parhna jaiz h
Answer: Jee han, pak kar ke unheen kapron me namaz parh sakte hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #156,787). [Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA. Mri bewi ko 12 din upar ho gy h lekin test negative aya h es halat ma bewi sa mil skty h ya ni
Answer: Agar aap ka sawal periods (haiz) ke hawale se hai to is ke liye sharaei maslah ye hai ke Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. lehaza agar aurat ko 10 din baad khoon aaye to wo periods (haiz) ka khoon nahin hoga aur is surat me miyan, biwi mil sakte hain. Aur 10 din baad aurat haiz se paak hoti hai aur paak hone ke baad aur ghusl karne se pehle jima karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke sharamghah dhone ke baad jima kiya jaye, aur ehtiyaat e mustahab (behtar) ye hai ke ghusl karne se pehle mard is se jima nah karay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #438,457). [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum mujhe ye puchna ha k agr 3 month tak hamein periods na hoon or phir 3 month bad hon or wo bhi 1 din ho phir na ho phir sy ho asy ruk ruk kr hon or ziada na ho to is that normal or 7 days sy upr hon
Answer: 1: Aam taur par khawateen aisi hoti hain ke jin ko har mahine me aik dafa periods aa jate hain lekin kuch khawateen aisi hoti hain ke jin ko do, do teen, teen mahine ke baad periods aate hain. 2: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 10 din ke andar andar khoon aaye to ye sahi hai aur 10 tak aa sakta hai lekin 10 din ke baad haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #438,439). [Updated on 17-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Har teen din me hambistari krke mini biwi ke andar chhorh dena jaiz h?
Answer: Jin halaton me biwi se hambistari (intercourse) karna Haram hai jaise ke Haiz, Nifaas, Ehraam ya Rozay wagera.... ki halat me biwi se jima karna Haram hai lekin in halaton ke awala shohar aur biwi ki marzi hai ke jab chahen hambistari kar sakte hain aur mani bhi biwi ki sharamghah me chhorh sakten ya maslan biwi agar hamila ho jaye to doctor ki hidayat ke mutabiq hambistari kar sakte hain. Han jin surton me doctor mana kare to wahan ehtiyat karni chahiye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,504,2376). [Updated on 17-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Halat e haiz mn agar mian bivi ny akhri din jab nahana tha jama kr lia tou kia wo gunnah k zumry mn aye ga.... Aur agr aye ga tou uska kafara kia aur ktna hoga.... Lazmi btaiye ga
Answer: Agar aurat haiz se paak ho jaye to paak hone ke baad aur ghusl karne se pehle jima karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke sharamghah dhone ke baad jima kiya jaye. lihaza agar haiz se paak ho jane ke bad aur ghusl karne se pehle, sharamghah ko dho kar jima kiya tha to ghunahgar nahin hon gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #457). [Updated on 08-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]