Question: A.s...haiz k doran aurat mimbar pe beth sakti hai zakiri k liye???
Answer: Haiz ki halat men chand chizen haram hain jaise 1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai ( Jise roza )lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise namaz e mayyit ada karna, 2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho, 3. Wajib sajde wali aayat parhna, 4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana, 5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa dosere kise masjid men theherna or ehteyaat wajib ki Bina per imamo ke (asli) Haram me theherna 6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona, 7. Jima(Intercourse) karna shohar or biwi dono k liye. Albatta haiz ki halat me Aurat mimbar par beth kar zakiri kar sakti hai, majlis ke farshe aza par ja sakti hai or isi tarah taboot ki ziyarat kar sakti hai.laikin agar ye cheeze kise masjid me ho ya imamo kise Haram me ho ya majlis masjid ya imamo ke kise Haram me horahe ho tu haiz wale Aurat Waha nahe thehre ghe . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya haiz ki halat mein balun mein tail lagana sahi hai?
Answer: Jee han, sahi hai balon men laga sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448,467). [Updated on 17-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jb period khtm ho gya ho or paak ho gye nmz or Qur'an pdh lete hy or baad me pata chal ta hy ap napak the tab kia kare
Answer: Periods ki halat me jaan bhooj kar namaz ka ada karna Haram hai, lekin jo surat aap ne bayan farmayei hai is surat men aap gunahgar nahin hongi, Q ke aap ne jaan bhooj aisa nahin kiya. Albatta wajib sajde wali aayat ke alawa baaqi quran Periods ki halat me bhi parha jaa sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448,467). [Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Periods k doran jism k baal saaf krny chaheye ya nhe?
Answer: Baal saaf karna ya na karna to aurat ki marzi pe mauqood hai, lekin sharaei maslah ye hai ke periods ki halat me baal saaf kiye jaa sakte hain. (Yani koi mana nahin). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haiz ke baad nakhun kaatna zaruri hai
Answer: Nakhun kaatna ya na kaatna, aurat ki marzi pe munhasir (dependent) hai, aur Haiz ke baad nakhun kaatna zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 12-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya haiz ki halat me dalail ul khairat sharif pdh skte h
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Haiz ki halat men chand cheezien Haram hain: 1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai (Jese roza) lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise ke namaz e mayyit ada karna, ya koi dua ya wazifa parhna jis me wajib sajde wali aayat maujood na hon. 2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho. 3. Wajib sajde wali aayat parhna. 4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana. 5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa dosere kise masjid men theherna or ehteyaat wajib ki Bina per imamo ke (asli) Haram me theherna. 6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona. 7. Jima(Intercourse) karna jo ke shohar or biwi dono k liye Haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 24-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya haiz ki halat me dalail ul khairat sharif pdh skte h
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 24-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia halat e haiz me majlis ja sakte? Kindly hawala bhi de diyega
Answer: Haiz ki halat men chand chizien Haram hain: 1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai (Jaise roza) lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise namaz e mayyit ada karna. 2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho. 3. Wajib sajde wali aayat parhna. 4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana. 5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa dosere kise masjid men theherna or ehteyaat wajib ki Bina per imamo ke (asli) Haram me theherna. 6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona. 7. Jima(Intercourse) karna jo ke shohar or biwi dono ke liye Haram hai. Albatta, Haiz ki halat me Aurat majlis ke farshe aza par ja sakti hai or isi tarah taboot ki ziyarat kar sakti hai. laikin agar yahi cheezien kisi masjid ya Imamon(a.s) me se kisi Imam(a.s) ke (asal) Haram me ho rahi hon to Haiz waali Aurat waha nahin theher sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 03-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haiz ke waqt thodasa bhi haiz na ho to kia gusul kar namaz padh sakte hai
Answer: 1: Agar kisi aurat ka khoon 10 din se pehle ruk jaye aur use yaqeen ho ke us ke baatin mein khoon-e-Haiz nahin hai to use chahiye ( zarori hay)ke apni ibadaat ke liye ghusl kare (aur ibadaat baja laye) agarcheh gumaan rakhti ho ke 10 din poore hone se pehle dobara khoon aa jaye ga. Laikin agar use yaqeen ho ke 10 din poore hone se pehle use dobara khoon aa jaye ga to jaise bayaan ho chuka hai use chahiye ke ahtiyaatan ghusl kare aur apni ibadaat baja laaye aur jo chezein haaiz par Haram hain unhein tark kare. 2: Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us k baatin mein khoon-e-Haiz hai to zaroori hai ke ya ahtiyaat karte houe ibadaatun ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bager ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai. Istibra ye hai ke apni sharamgah mein kuch dair royei rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa ke baaz auraton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah howa ho ya thaurha sa zard pani laga ho. Pas agar wo Haiz ki muayin aadat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi us ki aadat ke din tamam nah hue hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar daswen din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya daswen din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakhti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #495,496). [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haiz may adat ka kesay pta chalta hay?
Answer: Haaiz ki chhe 6 qismien hain aur haaiz ki konsi qism kese maloom ho sakti hai ye pata karne ke liye ke hai aap ko do mahino me se har mahine check karte rehna hai ke kis tareekh ko aur kis waqt haiz ka khoon aa raha hai. jab aap do mahine check karti rahengi to aap ko maloom ho jaye ga ke un chhe (6) aqsaam me se konsi qism banti hai. Mazeed tafseelaat ke liye Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), ka maslah #468 aur is ke baad ke masaail mulahiza farmayen, zail me aap ko Tauzeeh ul Masail ka link provide kiya jaa raha hai. Haaiz ki 6 qismien hain: (1) Waqt aur adad ki aadat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakey baad digarey 2 mahino mein aik muayin waqt par haiz aaye aur us ke haiz ke dino ki taadad bhi 2 mahino mein aik jaisi ho. maslan use yakey baad digarey 2 mahino mein mahine ki pehli tareekhh se 7 tareekhh tak khoon aaye. (2) Waqt ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jise yakey baad digarey 2 mahino mein muayin waqt par haiz aaye laikin us ke haiz ke dino ki taadad dono mahino mein aik jaisi nah ho. maslan yakey baad digarey 2 mahino mein use mahine ki pehli tareekhh se khoon aana shuru ho laikin wo pehle mahine mein 7 din aur dosre mahine mein 8 din khoon se pak ho. (3) Adad ki adat rakhne wali aurat: Ye wo aurat hai jis ke haiz ke dino ki taadad yakey baad digarey 2 mahino mein aik jaisi ho laikin har mahine khoon aane ka waqt yaksaan nah ho. maslan pehle mahine mein use 5 se 10 tareekh tak aur dosre mahine mein 12 se 17 tareekh tak khoon aaye. (4) Muztaribah: Ye wo aurat hai jise chand mahine khoon aaya ho laikin us ki aadat muayin nah hui ho ya us ki sabiqa adat bighar gayei ho aur nayei aadat nah bani ho. (5) Mubtadiah: Ye wo aurat hai jise pehli dafa khoon aaya ho. (6) Naasiyah: Ye wo aurat hai jo apni aadat bhool chuki ho. In mein se har qism ki aurat ke liye alaihada alaihada Ahkam hain jin ka zikr aaindah masaail mein kiya jaye ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #468. + (Link: https://www.sistani.org/urdu/book/61/3632/ ). [Updated on 02-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]