Question: Periods khatam ho jayen or gusal krna 5..6 din late ho jy tooo koi masla too nhi
Answer: Jab aurat haiz se pak ho jaaye (yani haiz ka khoon aana band ho jaye aur sharamghah me bilkul khoon na rahe) to us par namaz ya is tarah ki deegar ibadaten anjam dene ke liye ghusl karna wajib hota hai aur is ke baad namaz ke auqaat me namaz ada karna wajib hai warna ghunahgar hongi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #456). [Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya periods ky doran daroody ibrahimi parh skhty hain ?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee, parh sakti hain Q ke Haiz (periods) ki halat men darj zel chand cheezien Haram hain: 1. Namaz aur is jaisi ibadaten jinhen wuzu, ghusl ya tayyamum ke sath ada karna zaroori hai (Jese roza) lekin un ibadaton ko ada karne men koi haraj nahin jin men wuzu, ghusl ya tayyamum karna zaroori nahin hai jaise ke namaz e mayyit ada karna, ya koi zikr, dua ya wazifa parhna jis me wajib sajde wali aayat maujood na hon. 2. Quran ke alfaz ya Allah taala ke naam ko choona chahe wo kisi bhi zaban men ho. 3. Wajib sajde wali aayat parhna. 4. Masjid e haram aur masjid e nabvi men jana. 5. Masjid e haram aur masjid e nabvi ke elawa dosere kise masjid men theherna or ehteyaat wajib ki Bina per imamo ke (asli) Haram me theherna. 6. Masjid men koi cheez uthane ke liye dakhil hona. 7. Jima(Intercourse) karna jo ke shohar or biwi dono k liye Haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar kisi aurat ko28 k bajai 20 ya 22 din k bad hi achanak menses aana shuru hoon ge tou kia ye bemari hai
Answer:
Question: Assalao Alikum, Ap se guzarish h k mere sawal ka jawab batane ki zahmat kare, main apka tahe dil se shukar guzar rahunga. Sawal: Kya ladkiyo k period k duran roza rakhana farz h agar nahi to kya us dauran ka roza qaza me ada karna faraz banta h ya nahi?
Answer:
Question: Ghusal haiz kiye Bina juma jaiz hai?? Agr periods off hon tw
Answer:
Question: if a lady is in state of istehada qaleela according to her duty she have to do wudhu for each namaz but if bleeding stops or there is no blood during two namaz e.g between zuhar and asar so is that wudu which was done fr Zuhr is valid fr asr namaz or again wudh should be done for next namaz?
Answer:
Question: jab periods ke din hote hain ladies ke to kia woh Quran parh sakti hai ya jo surah zabani yaad ho un ko parhna sahi hai like Ayatul Kursi wagaira aur agar Quran khol kar surah parhti hai yeh ehtiyat ke sath ke huroof per hath na lagay to kia sahi hai plus shab e kadar ki ratein hain so agar is halat main Joshn e kabeer ke amal kiyeh jaye to sahi hoga ?
Answer:
Question: mujay 10 days periods hothay hain (10 kay baad blood nahi ata) but 3 din k baad bleeding stop ho jaati hai phir kisi kis din hoti hai but 9th day ko phir say hoti hai.mujay yeh poochna hai k ager may ghusl(bath) ker loo jub bleeding stop ho jay 4th ya 5th day aur sex ker loo husband say tho kia yeh sahi hai?
Answer:
Question: salam moulana shab mera sawal ya ha ka larkio ka jab haiz ka din chal reha hota haan to kia 4 din ka baad sa us ka sath humbastari kar sakta haan plz jaldi jawab di jia ga kyu ka kuch moulana khata haan ka agar baccha nahi hota ho to ap larki ka sath halat haoz ma jab larki ka 4 ya 5 din chal reha ho ap us ka sath kaam kar sakta ho plz bhataya ya thik ha ya nahi is bata ma aayat-ul-allah seestani ka fatwa ha plz reply me as soon as possible
Answer:
Question: A.A thanks k apnay mujay wazifa bataya karnay ko manay usay magrib ki namaz k bad suroo kiya ha parna or ma usay daily parhoo gi usi time p par mujay ye pochna tha k ma usay kitnay din parhoo agar napaki k din ayee jab ma 7 din na par sakoo to usay kuch hoga to nai na or sura muzammil ma par lo lakin wo 41 days parna ha or pir napaki k din may chot jayee gi usk liye kaya karna.or ma chahti ho k is amal k sath ap mujay koi wazifa batayee jisko parnay say meray ghar walay khudi is rishtay k liyee man jayyeee or haan kar dain.or manay quran say faul nikalnay ka pocha tha us jawab ko ma kis topic may parhoo plz bata dain reply me jaldi.
Answer: