Question: i want to know about haiz ki duwa
Answer: Ghusl haiz main koe dua wajib nahi hay.(urwatul wusqa part#1, sistani(d.b), pg#228,229).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kiya women monthly period bleeding time who quran sun sakti ye quran sunna lazim hai
Answer: Haiz ki halat main (periods) Quran Majeed ki wo 4 Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka parhna Haraam hay.wo ayaat ye hain: Sora Sajda Ayat No.15, Sora Fussilat(haa meem sajda) Ayat No.37, Sora Wannajm Ayat No.62, Sora Alaq Ayat No.19. lakin sunna jaiz he aur quran k wajib sajdoo k lie ghusl e janabat ya ghusl e haiz karna zurari nahi he.Is k Ilawaa Quran ko perhna isay apnay Saath rakhna,apnay badan ka koe hissa Iskay alfaaz k damiyaani hissay say Choona Makrooh khuch fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. ( Ayat ulllah Seestani (d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: napaki k halat ma shabe kadar ma kia parhe ?qurani suraten parh sakty hen
Answer: Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka halat e jabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona makhrooh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467 & Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya main haiz ki halat me roza rakh sakti hun? aur kya haiz ki halat me mera roza rakhna sahi hoga,aur agar roza rakhna sahi nahi hoga to kyu?
Answer: 1) Namaz , Roza aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum k saath ada karna zarori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon,jaiz nahi hay.laikin in ibadatoon k ada karnay main koe haraj nahi hay jin k liay wuzu,ghusl ya tayammum karna zarori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat waghaira. 2)rozay k sahi honay ki 5 shara,it hain: 1)islam(laihaza kafir ka roza sahi nahi maana jay ga) 2) aqal ho or bay hoosh nah ho. 3) haiz or nifaas se paak ho(layhaza haiz or nifaas wali aurat ka raza sahi nahi hoga agarcha haiz or nifaas din kisi hisay main hi Q nah aajay). 4)junub ya haiz ya nifaas per fajr tak baqi nah rehna. 5) Aisa musafir nah ho jis per qasar namaz perhna wajib ho. 3)Ramzan k wo rozay jo haiz ki halat me na rakhe hoon zarori he k os ki qaza ki jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 448 , 459, (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#, Maslah#1026 ka muqaddima ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mei ne suna hai ke periods / haiz ke doraan agar husband / shoher sex karne ke leye back side demand kare tu aisi situation mei wife kya kare islam mei ye maqroo hai ya haraam ?
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nahei honay ki sorat main haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).
Question: aoa.agar haiz ki halat main apnay sohar k sth intercouse kr liya jae wo b johar ki khuwahish sy tu kiya yeh sahi hai?agar haram amal hai tu kiya krna ho ga?plz reply
Answer: Haiz ki halat main jima(intercourse) kerna shohar or b.v dono k liay haram hay.Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima karay to is ke lie zurari he ke estigfar karay aur kaffara dena wajib nahei he. Agarcha behtar he ke kaffara bhi de. (ref :Ayat ullaha sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#450)
Question: can we read quran in periods
Answer: Haiz ki halat main (periods) Quran Majeed ki wo Ayatain Jin kay Parhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka parhna Haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Ilawaa Quran ko perhna isay apnay Saath rakhna,apnay badan ka koe hissa Iskay alfaaz k damiyaani hissay say Choona Makrooh hay. ( Ayat ulllah khoei (d.b),Tauzee hul masail, maslah#483 )
Question: Assalam o Alaikum.mera swal ye hai k muje sirf 2 din ya us se b kum haiz hota hai.to kia me jab haiz khatam ho jae to ghusal kar k namaz parh sakti hoon .kuch log kehte hain k muje 7 din rukna chahiye.please reply me soon.Allah hafiz
Answer: haiz ki mudat 3 din se kum aur 10 din se ziada nahei hoti ayr agar blood aane ki mudat 3 din se zera bhi kum ho yo vo haiz nahei he.( (ref: tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani (d.b.) masla #438)(is lie aap ka blood isteaza he aur is me shariet ke saat ibadat kerni hoti he.)
Question: Salam, hamare shadi se din main hyas mein thi kya hamre shadi jayas hai.i am very scad pls answer my question
Answer: Haaiz aurat per chand cheezein haram hain. 1) Namaz aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon,JAIZ NAHI hay.laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu,ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat. 2) wo tamam cheazein jo mujnib per haram hein aur jin ka zakr janabat ke akham me kia gia he. 3) haiz kay ayyam (days) mein aurat (women) ki farj(sharamgaah) mein jima karna mard aur aurat dono kay liay haram hai. chahay dukhool sirif supari ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkeh ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdaar mein bhi dukhool na kia jaay. albattah yeh hukum aurat se dubur (maqaam-e-pakhana) mein jima kay liay nahi hai. lekin dubur mein jima, aurat ki razamandi k baghair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho). (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448).
Question: askm,agar biwi k bahut mana karne per bhi shoher back side sex karne per majbor kare to kya is wajhe se boiwi ko bhi gunah hoga?
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 70).