Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17434
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar haiz k doran bleeding stop ho jay yani 3rd ya 4th day to Kia namaz prhi ja skti hai??

Answer: Jab aurat haiz se pak ho jaaye (yani haiz ka khoon aana band ho jaye aur sharmghah me bilkul khoon na rahe) to us par namaz ya is tarah ki deegar ibadaten anjam dene ke liye ghusl karna wajib hota hai aur is ke baad namaz parhni hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #456). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17436
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamu alaikum mera sawal ye hai k kia halat-e-haiz mai wudu kr k jate namaz(prayer mat)pr beth kr tasbihat prh sakty hain ?

Answer: Jee han, balke Haiz wali aurat ke liye Mustahab hai ke namaz ke waqt apne aap ko khoon se paak kare aur roei (cotton) aur kapre ka tukraa badle aur wuzu kare aur agar wuzu na kar sake to tayammum kare aur namaz ki jagah par ruba qibla baith kar zikr, dua aur salwaat mein mashghool ho jaaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #466). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17452
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ramzan main bv ko hez ajy or or hez k 5 din shohr hmbstri krle roze rkh k tw kia bv ko kafara krna prega

Answer: 1: Agar biwi 5 din bhi haiz ki halat me thi yani ke us ka haiz ka khoon aana band nahin hua tha to biwi par koi kaffara nahin lekin shohar ne jo rozay ki halat me biwi se hambistri hai to shohar ka roza baatil ho jaye ga aur ramzan ke baad us rozay ki qaza karna zaroori hogi aur is ke sath sath shohar kaffara bhi day ga. albatta ye baat waazih rahe ke haiz ki halat me biwi se hambistri karna Haram hai aur zaroori hai tauba ki jaye. 2: Roze ki halat me jima (intercourse) karne se roza baatil ho jata hai. Agar koi shakhs ramzan ke roze ko jaan bojh kar jima ki wajah se baatil kare jab ke jabar (zabardisti) aur naachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to ramazan ke baad rozay ki qaza(repeat) karna zaroori hai aur is ke alawa kaffarah bhi wajib ho ga. 3: Kaffara dene me zaroori hai ke insaan kotaahi na kare lekin fauri taur par dena zaroori nahin. Albatta agle ramazan se pehle pehle ada kar liya jaye warna fidiya e takheer bhi dena hoga. 4: Kaffara ye hai ke in 2 men se koi aik kam anjam day: ya to 2 maheenay is tarah Rozay rakhay ke aik poora maheena aur is se agle maheene ke aik din tak musalsal roze rakhay aur isi tarah baaqi maheene ke rozay bhi ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke lagataar rakhay lekin agar rukawat paish aa jaaye ke jise urfan wajah shumaar kiya jaaye to is din ka roza na rakhe aur uzr ke door hone ke baad dobara shuru kare ya phir 60 sharaei faqeeron ko pait bar kar khana khilaye ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,1565,1630,1632,1633,1655,1676,1677). [Updated on 28-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17466
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar pehly din Thora SA blood Aya or phr nai aya to Naha k roza Rakh sakty hai.

Answer: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 3 din se kam yani 1, 2 din ke liye khoon aaye to ye haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga aur is surat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #438,439). [Updated on 13-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17500
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا جنابت کی حالت میں مختصر پاک ہونے کے بعد بال کلر کیں جا سکتے ہیں اور کیا حیض میں کر سکتے ہے بال کلر

Answer: Hanabat ya haiz ki halat me balon me khisaab kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,348). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17515
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz ki halat me ager bleach kerlen to ghusul hojata he ??mtlb bleach kerne k 1din baad ager ghusl kerna ho to hojata he?

Answer: Haiz ki halat me bleach kar sakti hain, lekin wuzu ya ghusl karne ki soorat me agar wuzu aur ghusl ke liye wo pleach rukawat bane to use hatana zaroori hai, warna wuzu ya ghusl sahi nahin hon gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #289,376). [Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17581
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Husband wife date ka 5din bad humbistri kar sakty ha

Answer: Agar yaqeen ho ke aurat haiz ke khoon se paak ho chuki hai to humbistari karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke hambistri sharamgah dhone ke baad ki jaye, aur ehtiyaat e mustahab (behter )ye hai ke ghusl karne se pehle mard is se hambistari nah kare. lekin jin dino me aurat ke periods yaqeeni na hon lekin sharan us ke liye zaroori hai ke apne aap periods wali aurat qaraar de to in dino me bhi humbistari karna Haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #449,457,496). [Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17604
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alaikum. Mera sawal h k JB pehli br sex Karein to aurat KO Kitna khoon ata h .. means khoon ziada hota h ya kum hota h

Answer: Pardaye bakarat ke phatnay se khoon ka aana zaroori nahin, kabhi kabhi to khoon ka aik qatra bhi nahin aata aur kabhi itna shadeed khoon ka bahao hota hai ke lady doctor ki zaroorat paish aa jati hai. larki ki umer jitni ziyada hoti hai, khoon raizi ka imkaan bhi kam rehta hai. baaz larkiyon mein to khoon raizi ka naam o nishaan nahin hota. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%A2%D8%AF%D8%A7%D8%A8_%D8%B4%D8%A8_%D8%B2%D9%81%D8%A7%D9%81 ). [Updated on 12-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 18128
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia periods ( haiz) k duraan gair zrori Baal saaf Kiya ja skty hn

Answer: NULL

Id: 18154
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri biwi ke periods aj shaam ko khatam. unke ghusl karne se pehle kya mai unki saath humbistari karsakta hoo??

Answer: NULL

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!