Question: namaz main tashahad main ali un wali ulah parhna wajib hain ya mustahib is masle ko detail se bayan kijiye kiun k yaha pe is baat ko lekar shia masail ho rahe hain
Answer: aheteyate wajib ki bina par namaz main padhna jaiz nahi hain (ref: www.sistani.org (topoc:tashhud)
Question: YA ALI MADAD my question is that k jub namaz k tashahud me shahadat e salasa jaiz nai tu humari azan me ise q shamil kiya gya or jub quran me her jaga 3 shahadato ka zikr he tu humari namaz me is ki ijazat q nai he
Answer: Deen k ehkaam per amal kernay k liay zaroori hay k insaan ya tu mujtahid ho,ya ehtiyaat per is terah amal karay k kisi bhi mujtahid k fatway ki mukhaalfat nah ho.or ya phir mujtahid ki taqleed karay.Taqleed ka matlab or maqsad ye hay k mujtahid k fatway k mutabiq, baghair daleel k amal ko anjaam diya jaay,or apnay amal ka khuda ki baardah main os ko zimmay daar qaraar diya jay.(Ref Ayat ullah Seestani(D.B), Jadeed fiqhi masail pg # 47).Namaz main sirif Quarn or dua(ya salawaat) or Allah k zikr main izafah kernay ki ijazat hay,is k alawa ki ijazat nahi.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1121,1122).
Question: what is basic reason of Ali unwali ullah in tashad.
Answer: Ethiat e wajib ki bina par namaz main ali-un-waliullah padhna jaiz nahi hain (ref: www.sistani.org (topic:tashhud) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kiya kisi mujthaid ne shahadte salasa ko jaiez qarar diya hai ya naien. reply on my email i am very worried
Answer: Maujoda zinda mujtahideen k jin ki taqleed ki jati hay on main se kisi nay bhi namaz main tashahud k dermiyaan shahadat e salisa perhnay ki ijazat nahi di hay.kisi nay fatwa ki bunyaad per or kisi nay ehtiyaat e wajib ki bunyaad per is amal se mana fermaya hay or mubtil e namaz qaraar diya hay. 1.{Ref:Ayatullah Sistani, http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 } 2.{Ref:Ayatullah Vaheed e Khorasani, Email Rcvd from office, dated:04-12-10 } 3.{Ref:Ayatullah Ishaq Fayyaz, http://www.alfayadh.com/site/index.php?show=news&action=article&id=190} 4.{Ref:Ayatullah Hafiz Baheer Hussain Najfi,Mukhrasarul Ahkaam urdu, pg#177+180} 5.{Ref:Rehber e Muazzam Myed Ali Khamenae, http://www.leader.ir/tree/index.php?catid=52 }. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: tashad
Answer: is link per click karain http://qoitrat.org/qa/searchtopic.asp?Main=1&MainTopc=24&SubTopc=41
Question: TASHAD MAIN ALI KA NAAM PADHANA KIA NAMAZ BATIL HO JATA HAY.
Answer: 1)Ehtiyaat e wajib ki bina per namaz main shahadat e salisa perhna jaiz nahi hay.Or agar koe shaks tashahud main shahadat e salisa perhay tu agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os per wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin main shahadat e salisa perha tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90) 2) Jahil e qasir yani wo shakhs jis nai kisi qabil e aetimad shakhs ki baat ya kisi metabir risalay ki tehreer par bharoosa kia ho aur baad mai maloom ho k is shakhs ya risalay sai galati hui thi. 3) jahil e moqassir yani wo na waqif shakhs jis k lie masail ka seekhna mumkin raha ho lakin is nai kotahi ki ho aur jan boojh kar masail maloom na kiay hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, fihi istehilaat ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam. Ayat. Khamenae k fatawa k mutabiq namaz k tashahud main ali un waliullah parhne k bare main kia hukum hai..?? kia is mamle me namaz k juz ki niyat se parhna aur juz samjhe baghair parhne main koi farq hai.. ??
Answer: In umoor(kamo) ko ,jo wajib namaz k tashahud main warid nahi hoay hain,is qasd(niyat) say bjalaana keh wo shera(islam) main warid hoay hain,yaani tashahud ka juz(hissa) hain tu is say namaz baatil hojati hay,chahay wo zaa’id umoor bzaat e khud haq or sahi hoon.(Ayatullah Khaamenae(d.b), istifta,sawaal #516).
Question: tashhad main ali-un-waliullah parha jaey ya nahee?
Answer: ethiat e wajib ki bina par namaz main ali-un-waliullah padhna jaiz nahi hain (ref: www.sistani.org (topic:tashhud)
Question: slamun alicum,kia nmaz main hazrat ali a.s ka nam lina zrory hy iggr zrory hy to kis trah lina chahea
Answer: Ethiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa parhna jaiz nahi hay. or agar koe shaks tashahud main shahadat e salisa perhay tu agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os per wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin main shahadat e salisa perha tha. (ref:ayatollah sistani(d.b), www.sistani.org topic:tashhud, mujtahi se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: slamun alikum, kia nmaz main hazrat ali a.s ka nam lina wageb hy ya nahin
Answer: Ethiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa parhna jaiz nahi hay. (ref:ayatollah sistani(d.b), www.sistani.org (topic:tashhud). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)