Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1316
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is shahadat-e-Salasa right kiya is ka parhana wajib ha ya nhi

Answer: Ethiat e wajib ki bina par namaz main ali-un-waliullah padhna jaiz nahi hain (ref: www.sistani.org (topic:tashhud) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1746
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz main teesri shahadat ki kya haqeeqat hai ?juzwe namaz aur juzwe rasool ka kya relation hai? kya in ka zikr namaaz main lazim hai?juz asl main hai kya?

Answer: Ethiat e wajib ki bina par namaz main ali-un-waliullah padhna jaiz nahi hain (ref: www.sistani.org (topic:tashhud) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1804
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam walaikum attahiyat wo masura wt transelate in urdu khuda hafiz

Answer: Note : Is website per faqa e jaffaria ka jawabat diay jatay hein. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2006
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mein daleel k sath btanay k liye tayar hun k namaz mein Ali-un-wali ullah wajib hai, aur agar koi Ali mula ki wilayat py yakeen nhe rakhta to usay aik momin honay ka koi haq nhe..

Answer: Ethiat e wajib ki bina par namaz main ali-un-waliullah padhna jaiz nahi hain (ref: www.sistani.org topic:tashhud)

Id: 2172
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia hum namaz may tashahud may ALI UN WALI ULLAH parh saktay hian our ALIUN WALI ULLAH ki daleel QURAN ki koun kounsi ayats say sabit hai

Answer: Ethiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa parhna jaiz nahi hay. (ref:ayatollah sistani(d.b), www.sistani.org (topic:tashhud).

Id: 2343
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: qaza tashhud ki adaegi ka tareqa kya hai? plz explain in detail..

Answer: Agar koi shakhs tashahud perhna bhool jay or kharha ho jay or ruku se pehlay osay yaad aay(yaqeen hasil hojaay) keh os nay tashahud nahi perha tu zarori hay baith jay or tashahud perhay or phir dobarah kharha ho or os rakat main jo khuch perhna zarori hay perhay or namaz mukammal karay.ehtiyaat e mustahab ki bina per qiyaam ki ziyadati k liay 2 sajda sehw baja laay or agar ruku main ya os k baad yaad aay tu zarori hay k namaz ko tamaam karay or namaz k salaam k baad ehtiyaat e mustahab ki bina per tashahud ki qaza karay.zarori hay k tashahud k lie do sijdah e sahw baja laye. 3)Agar insane tashahud bhool jay aur namaz k baad un ki qaza baja laye to zurari he k wo namaz ki tamaam shra’it maslan badan aur libaas ka paak hona aur qibla ki janib moonh karay aur deegar shra’it puri karta ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1089, 1238). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2569
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia hm dua ke neat sy shahadat e salasa dy skty hn like aa Allah main gawahi dyta hm Ali a.s tery wali r hujat hn mery gunah maf farma agr dy skty hn to kdr nd plz reply fast

Answer: Ethiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa parhna jaiz nahi hay. or agar koe shaks tashahud main shahadat e salisa perhay tu agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os per wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin main shahadat e salisa perha tha. (ref:ayatollah sistani(d.b), www.sistani.org topic:tashhud, mujtahi se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2605
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz me Mola ALI a.s ki willait ki shadat perna jaiz h k nai or agr nhi tou kuyn ?

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz men shahadat e salisa perhna jaiz nahi hay.Or agar koi shakhs tashahud mai shahadat e salisa perhay to agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os par wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin mai shahadat e salisa perhi tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90)

Id: 2606
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shadat namaz m ashahad o una ali un waliulla khana chaye k ni

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz men shahadat e salisa perhna jaiz nahi hay.Or agar koi shakhs tashahud mai shahadat e salisa perhay to agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os par wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin mai shahadat e salisa perhi tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90)

Id: 3280
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz ma mola ali ki gavahi dy saktay hai yah nai agar nai tu plz tell me yah mustaab ki nihat sy bi bathain plz

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi hay. (Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=827020&id=855) Agar jahil e qaasir hone ki wajah se aisa ho tu koe qaza nahi hay, or agar jaahil e muqassir (qosoorwaar ) aisa karay tu ehtiyaat e lazim ki bina per on namazo ki qaza wajib hogi. (Ref:http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=368&page=3&perpage=10). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!