Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3295
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr Ali (s.a.w.w) ke bagher Rasul (s.a.w.w) ki Risalat mukamal nai hoti to hamari namaz kaisay mukamal ho jati ha ???

Answer: Tashahud main shahadat e salisa perhna ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi hay. (Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=827020&id=855). Agar jahil e qaasir hone ki wajah se aisa ho tu koe qaza nahi hay, or agar jaahil e muqassir (qosoorwaar ) aisa karay tu ehtiyaat e lazim ki bina per on namazo ki qaza wajib hogi. (Ref:http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=368&page=3&perpage=10). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Quran e kareem ki sorah e hujuraat{sorah#49} ki ayat#1 main khuda ka ferman hay k “emaan waloon! Khaberdaar khuda or rasool(s.a.w.w) se aagay nah berh jao or khuda se daro baishak Allah her baat ka sunnay wala or jaanay wala hay. Laihaza jab kisi sahi hadees main is ka zikr nahi kia gaya tu hum ko ye huq hasil nahi k apni merzi se deen main izafa karain.or deen e Islam main qiyaas ko dakhal nahi hay k apni naqis daleelo ki bunyaad par ibadaat main shahadat e salisa or in jaisi doosri cheezo ko dakhil karain.

Id: 3613
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager hum namaz ke 2 rakat me attahaiyat me bethna bhol jayen tu us ka kiya tareka ha ada krny ka?

Answer: Note : Is website per fiqh e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3699
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aliunwaliallah namaz mein par sakte hain ?aur aima masoomein ka tasawar rakh kar namaz pari ja sakti hain?

Answer: 1)Ehtiyaat e wajib ki bina per namaz main shahadat e salisa perhna jaiz nahi hay.Or agar koe shaks tashahud main shahadat e salisa perhay tu agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os per wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin main shahadat e salisa perha tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90). 2)Zarori he k faqat khuda ki baargah main apni pasti k izhaar k liay namaz perhi jay.Laihaza jo shaks riya yani logo ko dikhanay k liay namaz perhay tu oski namaz batil hay chahay ye namaz perhna faqat logo ko ya khuda or logo dono ko dikhanay k liay ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 933). 3)Mustahab hay k Al-Hamd or sorah perhtay waqt ayaat k matlab(meanings) ki taraf tawajjah rakhay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1004). 4)Namaz main khiyalaat or kisi ko (dil o dimaagh main)yaad kerne se namaz batil nahi hoti.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1138,1144) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4463
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa...plz mujhe bata den namaz me Mola Ali (a.s) ki gawahi dena jaiz hy ? Mere uncl kehte hen k Mola Ali (a.s) ki gawahi dene se namaz batil ho jati hy kia is me kuch sadaqt hy?

Answer: 1)Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa perhna jaiz nahi hay.Or agar koi shakhs tashahud mai shahadat e salisa perhay to agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os par wajib nahi laikin agar jahil e moqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin mai shahadat e salisa perhi tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90) 2)Jahil e qasir yani wo shakhs jis nai kisi qabil e aetimad shakhs ki baat ya kisi motebar risalay ki tehreer par bharoosa kia ho aur baad mai maloom ho k is shakhs ya risalay sai galati hui thi. 3)Jahil e moqassir yani wo na waqif shakhs jis k lie masail ka seekhna mumkin raha ho lakin is nai kotahi ki ho aur jan boojh kar masail maloom na kiay hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, fihi istehilaat ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4507
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa...plz mujhe ye bata dejiye k namaz me Mola Ali (a.s) ki shahadat dena jaiz hy?? mere uncle kehte hen k namaz me Mola Ali (a.s) ki shahadat dene se namaz batil ho jati hy kia is bat me kuch sadaqat hy??

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per namaz main shahadat e salisa(moula ali(a.s) ki gawahe dena) perhna jaiz nahi hay.Or agar koe shaks tashahud main shahadat e salisa perhay tu agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os per wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin main shahadat e salisa perha tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4523
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aj kal hmre pakistan me bra prblm ye hai k hamre hn tashud me ali un waliuallah ka prblm hai is masle pr roshni dale k kia parhna chaei ya nai plz

Answer: 1)Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa perhna jaiz nahi hay.Or agar koi shakhs tashahud mai shahadat e salisa perhay to agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os par wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin mai shahadat e salisa perhi tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90) 2) Jahil e qasir yani wo shakhs jis nai kisi qabil e aetimad shakhs ki baat ya kisi motebar risalay ki tehreer par bharoosa kia ho aur baad mai maloom ho k is shakhs ya risalay sai galati hui thi. 3) jahil e moqassir yani wo na waqif shakhs jis k lie masail ka seekhna mumkin raha ho lakin is nai kotahi ki ho aur jan boojh kar masail maloom na kiay hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, fihi istehilaat ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4632
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alikum,,,,, mera sawal ya hai k kia namaz me tashad me Ali un Wali Allha ki ghawahi dene say namaz batil hu jati hai,ya ye mustahib hai k agar parna hai to par lo ni parna to na parao magar namaz batil ni huti,,,,

Answer: Ehtiyat e wajib ki bina per namaz me Ali un Wali Allah perna jaiz nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #2, sawaal # ,90 pg # 45) ( Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4703
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa...plz plz plz mujhe ye bata den k namaz me Mola Ali (a.s) ki gawahi dena jaiz hy?? plz bahawala bata den..thank u.

Answer: 1)Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa perhna jaiz nahi hay.Or agar koi shakhs tashahud mai shahadat e salisa perhay to agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os par wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin mai shahadat e salisa perhi tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90) 2) Jahil e qasir yani wo shakhs jis nai kisi qabil e aetimad shakhs ki baat ya kisi motebar risalay ki tehreer par bharoosa kia ho aur baad mai maloom ho k is shakhs ya risalay sai galati hui thi. 3) jahil e moqassir yani wo na waqif shakhs jis k lie masail ka seekhna mumkin raha ho lakin is nai kotahi ki ho aur jan boojh kar masail maloom na kiay hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, fihi istehilaat ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4745
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa...me at least 3yrz se tashahud me Mola Ali a.s ki shahdat de rahi hun..q k mene ek majlis me suna tha or ek qstn k ans me bhi yehi likha hua parha tha k namaz me

Answer: 1)Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa perhna jaiz nahi hay.Or agar koi shakhs tashahud mai shahadat e salisa perhay to agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os par wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin mai shahadat e salisa perhi tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90) 2)Jahil e qasir yani wo shakhs jis nai kisi qabil e aetimad shakhs ki baat ya kisi motebar risalay ki tehreer par bharoosa kia ho aur baad mai maloom ho k is shakhs ya risalay sai galati hui thi. 3)jahil e moqassir yani wo na waqif shakhs jis k lie masail ka seekhna mumkin raha ho lakin is nai kotahi ki ho aur jan boojh kar masail maloom na kiay hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, fihi istehilaat ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4767
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr 4 rakat namaz mein agr cnfusion h jay k mein pta ni dosri rakat k bad tashhad mein betha hn ya wasa he tesri rakat mein khra h gaya hn to kya krna chahiye?

Answer: Agar namazi kharay hotay waqt shak karay k sajda ya tashahhud baja laya hai ya nahi to zaroori hai k apne shak ki perwa na karay aur namaz ko continue karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1159)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!