Question: Slam aj kal shia men bra msla khra ho gya k adye kehty he k nmaz men ali un wali alha kehna vajeb he ap pls answer den jzak allha.
Answer: 1)Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa perhna jaiz nahi hay.Or agar koi shakhs tashahud mai shahadat e salisa perhay to agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os par wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin mai shahadat e salisa perhi tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90) 2)Jahil e qasir yani wo shakhs jis nai kisi qabil e aetimad shakhs ki baat ya kisi motebar risalay ki tehreer par bharoosa kia ho aur baad mai maloom ho k is shakhs ya risalay sai galati hui thi. 3)jahil e moqassir yani wo na waqif shakhs jis k lie masail ka seekhna mumkin raha ho lakin is nai kotahi ki ho aur jan boojh kar masail maloom na kiay hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, fihi istehilaat ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salaam....plz btaye k nimaz me ALI YUN WALI ULLAH parna chaye ya nahi ......plz zara tafseel se btana q k me jis jaga rahta hu waha ham apny shia me hi bohat fight hy....???
Answer: Ehtiyate wajib ki bina par tashaud mai Ali un wali ullah parhna jaiz nahi hai. (ref:mujtahid sy puchay gaey sawalat,q#90,pg#45,1st edition). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: Namaz m Ali an Wali Ullah phrna wahjeb hy k nh
Answer: Agar namaz k tashahud main shahadate saalisa perhne wala jahil e qasir ho tu namaz ki qaza nahi laikin agar jahil e qurasir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per namaz ki qaza wajib hogi. (Ref: Mujtahid say pochay gaye sawalaat,part# 2,ques# 90 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Ehtiyate wajib ki bina par tashaud mai Ali un wali ullah parhna jaiz nahi hai. (ref:mujtahid sy puchay gaey sawalat,q#90,pg#45,1st edition) Note : Aisay pesh namaz k pechay namaz durust nahi hai.
Question: salam nmaz mein ali un waliulha na parhny ky bary mein quran ya hadees e rasool sy daleell tu bta dein please
Answer: 1 )Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa( ali un wali ullah ki ghawai dena) jaiz nahi hay.Or agar koi shakhs tashahud mai shahadat e salisa perhay to agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os par wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin mai shahadat e salisa perhi thi. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90) 2) Jahil e qasir yani wo shakhs jis nai kisi qabil e aetimad shakhs ki baat ya kisi motebar risalay ki tehreer par bharoosa kia ho aur baad mai maloom ho k is shakhs ya risalay sai ghalati hui thi. 3) Jahil e moqassir yani wo na waqif shakhs jis k lie masael ka seekhna mumkin raha ho lakin is nai kotahi ki ho aur jan boojh kar masael maloom na kiay hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, fihi istehilaat ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: namaz main shahadat e salisa parh na sai hai ya nahi
Answer: • Ehtiyate wajib ki bina par tashaud mai Ali un wali ullah parhna jaiz nahi hai. (ref:mujtahid sy puchay gaey sawalat,q#90,pg#45,1st edition) • Agar namaz k tashahud main shahadate saalisa perhne wala jahil e qasir ho tu namaz ki qaza nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per namaz ki qaza wajib hogi. (Ref: Mujtahid say pochay gaye sawalaat,part# 2,ques# 90 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: namaz main tashud (salat) k baad kon s jumla kehna mustahib hy?
Answer: Tasha,hud k baad ye jumla kehna mustahab hay. “wa taqabbal shafaa,atahoo warfa’ darajatah” (وتقبل شفاعتہ وارفع درجتہ). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #before 1109). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Shahdat salsa tashad main parhna theak ha ya ni
Answer: Ehtiyate wajib ki bina par tashahud mai Ali un wali ullah parhna jaiz nahi hai. (Ref:mujtahid sy puchay gaey sawalat,q#90,pg#45,1st edition) • Agar namaz k tashahud main shahadat e saalisa perhne wala jaahil e qasir ho tu namaz ki qaza nahi laikin agar jaahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per namaz ki qaza wajib hogi. (Ref: Mujtahid say pochay gaye sawalaat,part# 2,ques# 90 ). Update on dated 04-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia namaz main tashahad prhty wqt ali yun waliullah prha ja skta hai ya namaz batil ho jati hai?
Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par tashahud mai Ali un wali ullah parhna jaiz nahi hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01758/ ) [Updated on 16-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: جناب اعلیٰ سے مودبانہ گذارش ہے نماز میں شہادت ثالثہ کے بارے میں بتایا جائے کہ جائز ہے یا نہیں کیوںکہ آج کل مومنین کرام کو اس سلسلے میں گمراہ کیا جارہا ہے
Answer: Ehtiyate wajib ki bina par tashahud mai Ali un wali ullah parhna jaiz nahi hai. (Ref:mujtahid sy puchay gaey sawalat,q#90,pg#45,1st edition) • Agar namaz k tashahud main shahadat e saalisa perhne wala jaahil e qasir ho tu namaz ki qaza nahi laikin agar jaahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per namaz ki qaza wajib hogi. (Ref: Mujtahid say pochay gaye sawalaat,part# 2,ques# 90 ). Update on dated 16-03-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia namaz may tashud may aliyun wali Allah parhna jayz hy?
Answer: Ehtiyate wajib ki bina par tashahud mai Ali un wali ullah parhna jaiz nahi hai. (Ref:mujtahid sy puchay gaey sawalat,q#90,pg#45,1st edition) Agar namaz k tashahud main shahadat e saalisa perhne wala jaahil e qasir ho tu namaz ki qaza nahi laikin agar jaahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per namaz ki qaza wajib hogi. (Ref: Mujtahid say pochay gaye sawalaat,part# 2,ques# 90 ). [Updated on 24-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]