Question: Ahle tasheh namaz parte waqt sar ke niche tiki q rakhte heen
Answer:
Question: Kia marbel or tiles per sajda krna jaiz hai? Haq nawaz khaskheli, lakharoad sindh.
Answer: 1-Tile par sijdah krna jaiz hay. (Ref : Ayatul;lah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail pg # 78 masla #92) 2-Marble per sajdah kerna jaiz hay. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Jul 2, 2012). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: Kia halat e sajda mai nak(nose) ko mosallay par rakhna jaiz hai?
Answer: Jee han halat e sajda mai nak ko mosallay par rakhna jaiz hai, lekin behtr ye hai nak ko aisi cheez par rakhay jis par sajda karna sahi ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 31 , pg # 31) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aaema a.s. k mazarat e muqadas k samnay sajda krna ya apnay aap ko zamin par grana jisay khoon jari ho jae is ka hokum kia hai?
Answer: Shukr e khuda k unwan sai koi haraj nhi hai. (Ref : Jaded Masail Part # 4, Ayat ullaha Sistani d.b. pg # 98) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aaema a.s. k mazarat e muqadas k samnay sajda krna ya apnay aap ko zamin par grana jisay khoon jari ho jae is ka hokum kia hai?
Answer: Shukr e khuda k unwan sai koi haraj nhi hai. (Ref : Jaded Masail Part # 4, Ayat ullaha Sistani d.b. pg # 98) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Ghalti se Nimaz ki sajdi min raku aur raku min sajdi ka ziker parhni se namaz batil hoti hai ya nahin.
Answer: Halat e ruko aur sajood mai koi bhi zikr perhna kafi hai jo ehtiyaat e wajib ki bina par itni hi miqdar mai ho jitna perha jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1015-36)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kiya hum madina mai carpets par sajdah kar sakhte hen ?? (madina k )
Answer: Jaha insan k lye taqiya karna zaroori hai, waha wo qaleen ya is tara ki cheez per sajda kar sakta hai aur ye zaroori nahi hai k namaz k lye kise doosri jagha jay ya namaz ko is lie dair karay k ise jagha per taqiya ka sabab khatam hone k baad namaz ada karay. laikin agar isi maqam par chatai ya kisi doosri cheez jis per sajda karna sahi ho, agar wo is tara sajda kare k taqiye ki mukhalfat na hoti ho to zaroori hai k phir wo qaleen ya is se milte julte cheezo per sajda na kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1059) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam u alikum.agha sahab kia haath ke uper sajda ho jata he?
Answer: Sajdah zameen par or on cheezo per kerna zarori hay k jo kaa,e or pehni nah jati hoon or zarmeen se ugti hoon, maslan lerkrhi{wood} or darakhto k pattoon, ghaas, bhosay, chone k paththar or jipsam par sajjad karay.or sajday k liay khaak e shifa sab se behtar hay os k baad matti, matti k baad paththar or paththar k baad ghaas hay. lakin taarkool ko majbore ki halat me dosere cheezo k mukaable me k jin cheezo per sajda sahi nahi. Laikin hath par sajda karna jaiz nahi hai. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1063,1065,1067,1070)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASWK Please send me dua between two sajde.....sajde ki darmiyan ki dua....
Answer: Pehlay sajday k baad jab jab badan ko sukoon hasil ho jae to mustahab hai k “ ﺍﺴﺘﻐﻔﺮﺍﷲﺮﺒﻰﻭﺍﺘﻮﺐﺍﻠﻴﻪ ” kehain. Yani mai magfirat talab karta hon os khuda sai jo mera palnay wala hai aur mai o ski taraf roju karta hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1078)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam alaikum, mera sawal ye hay k aap mujhe sajdayka sahi tarika detail main batayen, kia sajday main pehly matha zamin par rakhtay han phir nak aur nak pehlay authatay han phir matha, kia ye sahi hay.
Answer: Namaz ki har rakat mai ruku k baad 2 sajday wajib hotay hain aur ye aur os ka tareeqa ye hai. sajda ye hai k khas shakl mai peshani ko khozu ki niyat sai zameen par rakhay aur namaz k sajday ki halat mai wajib hai k donoo hathalian , dono ghutnay aur donoo poun k aunghatay zameen par rakhay jain. Aur mustahab hai k namazi naak ko sajdagah ya kisi aisi cheez par rakhay jis par sajda karna durust ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1032-78)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : Mazeed tafseelat k lie tauzeeh ki janib ruju karain.