Question: Kya hmm zameen pe sajda kar sakte hai
Answer: 1)Sajda zameen per or on cheezon per jo nah khaai jateen hen or nah hi pehni jateen hain or zameen se ugne wali hoon un per kerna zaruri hai,(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1063) 2)Sajda zameen per doosri tamaam cheezon se afzal hai or matti per sajda kerna zameen se bhi afzal haiy or tamaam mattiyon se afzal turbat-e-Hussainiya hai jis per sajda kerna tamam cheezon se afzak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Muntakhab-ul-Masaail, maslah #305) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Ahle sunnat kay pichay namaz parhtay waqt unkaay saath kapray par sajda karna kesa he?
Answer: kapray par sajdah karna durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 1063). [Updated on 01-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia marble k floor par ya tile par Sajdah hosakta hai? Agar kisi Masjid mai jaayen aur pata na ho k wahan ka floor marble hai ya kisi aisi cheez ka jis par Sajdah jayez nahi, tou kia Namaz sahi hogi?
Answer: 1-Tile par sijdah krna jaiz hay. (Ref : Ayatul;lah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail pg # 78 masla #92) 2-Marble per sajdah kerna jaiz hay. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Jul 2, 2012). [Updated on 05-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Plastic ki chitai par sajda karna jaiz he?
Answer: Jee nahi plastic par sajda sahi nahi hai Q k plastic zameen k ajzaa mai shumaar nahi hota. aur Sajda zameen par aur un cheezon par karna zarori hai k jo khaye aur pehni nahi jati ho aur zameen say ugti ho.(Ref: Tauzeeh ul masail, ayatollah seestani, edition 39th, maslah #1063). [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sajjdey shukr aur namaz ke sajde mein kya farq hai isse tafseer se boliye
Answer: Namaz (chahe wajib ho ya mustahab) is main jo sajday hain wo wajib hain yani wo sajday lazmi taur par baja laanay hain. lekin agar koi in sajdon ko jan bojh kar baja na laye to us ki namaz nahin hoti aur wo gunahgar hoga. aur Sajday shukr se murad wo sajda hai ke insaan ke liye mustahab hai ke namaz ke bad sajda baja laaye ya koi nemat mil jaye ya koi museebat tal jaye allah taala ka shukriya ada karne ke liye sajda baja laaye. lekin agar koi sajday shukr ko jan bojh kar baja na laye to wo gunahgar nahin hoga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, edition 39th, mafhoom e maslah# 1032,1034,1110) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum! Hum sajda e shukr me rukhsaar zameen pe kyun rkhte hain
Answer: Aksar akhkaam e sherae ke sabab or illatain(reasons) or shariyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah #6, kitaab e meraas, nashir maktab e naveed e islam, pg #472). [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia tissue paper ko ya phr dono hath k angothon k nakhun k hissay ko sajdgah k tor per istemal ker saktay hain
Answer: Jee nahin, balke sajdah zameen per or on cheezo per kerna zarori hay k jo khaae or pehni nah jati hoon or zameen se ugti hoon. maslan lakri, darakhto k pattay, concrete, cement k farash or mosaic waghaira per bhi sajda kerna jaiz hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah #1063 + http://sistani.org/index.php?p=827020&id=937&page=3&perpage=10) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz ke akhri sijda main Kaun si aayat padhi jaati hai.
Answer: Sajde men dua karna aur Allah taala se hajat talab karna aur ye dua parhna mustahab hai. aur wo dua ye hai." یا خَیرَ المَسْؤُوْلَینَ وَیا خَیرَ الْمُعْطینَ، ارْزُقْنی وَارْزُقْ عیالی مِنْ فَضْلِك، فَاِنَّكَ ذُو الْفَضْلِ الْعَظیمِ ". (Yani "Aye sab men se behtar jin se manga jata hai aur aye un sab se bartar jo rizq ataa karten hain. mujhe aur mere ahl-o-ayal ko apne fazl-o-karam se rizq ataa farma Q ke to hi fazl-e-azeem ka malik hai "). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition 42, maslah #1078) (Note: Koi ayat wagera nahin parhi jati balke dua parhi jati hai ). [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sajde me kitni chize mustaheb h
Answer: 1: Sajday men chand cheezen mustahab hain: 1. Ruku se sar uthane ke baad mukammal taur par khare ho kar sajday men jane ke liye Takbeer( اَللہُ اَکْبَرُ ) kahe. 2. Sajday men jate waqt mard pehly apni hathelian aur aurat apne ghutne zameen par rakhe. 3. Namazi naak ko Sajday Ghah ya kisi aisi cheez par rakhe jis par sajda karna karna durust ho. 4. Namazi sajday ki halat men haath ki unglion ko mila kar kaanon ke pas is tarah rakhe ke un ke sire qibla roo hon. 5. Sajday men dua kare, Allah taala se hajat talab kare aur ye dua pare: یا خَیْرَ الْمَسْؤُوْلِیْنَ وَیا خَیْرَ الْمُعْطِیْنَ، اُرْزُقْنِیْ وَارْزُقْ عِیَالِی مِنْ فَضْلِكَ، فَاِنَّكَ ذُو الْفَضْلِ الْعَظِیْمِ . (Yani " Aye sab men se behtar jin se manga jata hai aur aye un sab se bartar jo rizq ataa karten hain. mujhe aur mere ahl-o-ayal ko apne fazl-o-karam se rizq ataa farma Q ke to hi fazl-e-azeem ka malik hai "). 6. Sajday ke baad baain(left) raan par beth jaye aur daain(right) paaon ka uper wala hissa (yani pusht) baain(left) paaon ke talwe par rakhe. 7. Har sajday ke baad jab badan ko sukun hasil ho jaye to Takbeer( اَللہُ اَکْبَرُ ) kahe. 8. Pehly sajday ke baad jab badan ko sukun hasil ho jaye to ﺍَﺴْﺘَﻐْﻔِﺮُﺍﷲَ ﺮَﺒِّﻰْ ﻭَﺍَﺘُﻮْﺐُإﻠَﻴْﻪِ kahe. (Yani men magfirat talab karta hon us khuda se jo mera palnay wala hai aur men us ki taraf roju karta hon). 9. Sajda ziyada der tak anjam de aur bethte waqt hathon ko raanon par rakhe. 10. Dosre sajday men jane ke liye badan ke sukun ki halat men Takbeer( اَللہُ اَکْبَرُ ) kahe. 11. Sajdon men Durood parhe. 12. Sajday se Qiyam ke liye uthte waqt pehle ghutnon ko aur in ke baad hathon ko zameen se uthaye. 13. Mard kuhniyon aur pet ko zameen se na lagain neez bazuaon ko pehlo se juda rakhen. Aur Aurten hukniyan aur pet zameen par rakhen aur badan ke aazaa ko aik dosre se mila len. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #1078) 2: Sajday men Quran majeed parhna makrooh hai aur sajday ki jagh ko gird-o-gubar jharne ke liye phonk marna bhi makrooh hai balke agar phonk marne ki wajah se do harf bhi monh se Amadan(Jan boojh kar) nikal jaain to Ehtiyat e wajib ki bina par namaz baatil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #1079) [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia aurtain sajday ma pair ki unglian zameen pa rakhn sakti hain
Answer: Namaz main sajday ki halat main wajib hay k 7 aazah zameen par rakhay jain. 1.Peshani. 2,3.Dono hatailiyaan. 4,5.Dono ghutnay aur 6,7.Dono poun(legs) k angothay. Ethiyaat e wajib ki bina par peshani se murad peshani ka darmiyani hissa hay.(Ref: Ayatullah Sistani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah # 1032). (Note: Auraton ke liye bhi yahi hukum hai ke wo dono paun ke angothay zameen par rakhay na ke unglian ). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]