Question: kya shohar ko sajda jaize hai
Answer: Allah k alawa kisi soosray ko sajdah karna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1077)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Quran Pak ka doosra (2) sajda kis surah mey hey?
Answer: Para 24,surah e Haa meem sajdah ayat# 37 me sajda karna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg #491 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aik rakat main 2 sajdy kyun hoty hain please iska ans dain
Answer: Tamam ahkaam share ki illato ka hame ilm nahe hai ( laikin har hokum khuda me kohi na kohi hikmat zaroor moujood hai ) jo khuch allah aur us k rasool ne hukam diya hai us ka baja lana zarori hai( ref: sistani.org, urdu , hajj, qus:23) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Sajdah Quran me kia tilawat karn chaheye? Aur kia tamam aayaat sajdah ke baad aik he trh se sajdahme tilawat karni chaheye?
Answer: Quran k sajdey mai agar koi bhi zikar na parha jaey tu bhi sajadah durust hai.aur agar koi zikr parha jaey tu ye mustahab hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1085). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Quran e pak mai sajda sahu ki tadaad kitni hy or kin kin surtoun mai hy...?
Answer: Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wan-najam Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain me quran k wajib sajde hai jin ko agar insaan parhe ya sune tu ayat khatam hone k baad foran sajda karna zarori hai aur agar sajda karna bhool jaay to jab bhi yaad aye sajda kare. han agar ayat sajda gher ikhteyari halat me sune to sajda wajib nahi hai. agarche behter ye hai k sajda kiya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1080 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: quran me shada ajaye to kasy karan? or agar humasha quran phara or ek b shada nh kea to wo shady kasy karan? or agar pura quran pharny k bad shady karan to
Answer: Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wan-najam Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain me quran k wajib sajde hai jese agar insaan parhe ya sune tu ayat khatam hone k baad fouran sajda karna zarori hai aur agar sajda karna bhool jaay to jab bhi yaad aay sajda kare . hah agar ayat sajda ghair ikhteyari halat me sune to sajda wajib nahe hai . agarche beter ye hai k sajda kiya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1080 )
Question: Assalam-o-Alaekum! ap se ek sawal krna tha k hum shia Khak-e-Shifa pe Sajda q krte hain??? Shukriya....
Answer: Sajda zameen per or on cheezon per jo nah khaai jateen hen or nah hi pehni jateen hain or zameen se ugne wali hoon un per kerna zaruri hai,(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1063) Sajda zameen per doosri tamaam cheezon se afzal hai or matti per sajda kerna zameen se bhi afzal haiy or tamaam mattiyon se afzal turbat-e-Hussainiya hai jis per sajda kerna tamam cheezon se afzak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Muntakhab-ul-Masaail, maslah #305). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia qaleen par sajda karna jaiz hai.?
Answer: jaiz or sahi nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1063 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: sajde ki tasbeeh kise kehte hain
Answer: waajib namaaz k dono sajdo me (ehteyaate waajib ki bina per) 3 dafa subhaan allah ya aik martaba subhaana rabiyalaala wa behamdei perhna zarori hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1036 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A.A Janab yeh bata den k kisi dargah pr ja kr sajda krna ya alam pak ya kisi aur shabih ko sajda krna jaiz hai? plz zrur btaen plz
Answer: Allah k ilawa kisi dosray ko sajda karna haram hai. baaz loog jo imamo k mazaraat k samnay peshani zameen par rakhtay hain agar wo Allah ka shukar ada karnay ki niyat se aisa karain to koi haraj nahi warna mahal e ishkaal hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1077) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).