Question: meray charay pay bohat danay han to jab main wozu kara hon ya sajda karta hon to thora sa khon nikal aata ha to kya is sorat main meri namaz ho jay gi
Answer: Ager pori sajda karne wali jagah main (yani peshani) main koe aisi jagah ho jahaan agar sajdah kiya jaey to khoon nahi nikle ga to us jagah per sajda karain, or agar nahi hai to peshani k atraaf ki jagaho (dono kanpatiyon) main se kisi aik se sajda karain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1053 , 1054). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: namaz k roku or sojud k zikar k baad salwat ka parhna zaroori he?
Answer: Namaz main zikr e ruku, aur zikr e sujood k baad salawaat perhna zarori nahi hai balkeh mustahab hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1052,1100). Update on dated 25-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera Sawal ye hai k agar sajda gah hmary pas na ho to kia plastic ki ya kaprhy ki jae namaz per sajda jaiz kkia?? plz is ka jwab detail sy send kray .... Allah apko sehat aur tundrusti Ata kray
Answer: Sajda zameen par aur un cheezon par karna zarori hai k jo khaye aur pehni nahi jati ho aur zameen say ugti ho lekin halat-e-majboori me taarchol aur zaft par sajda karna awwal hai magar agar ye na hoto dusri cheez jin par sajda karna sahi nahi un par kar saktay hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1063). Update on dated 23-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: hum log sajda gah q rakhty ha kisi na muj sa ya sawal kia ha.plz jitna jald ho saky iska jawab bta day
Answer: Shia sajdahgaah Q rakhte hain, is jawab k liay aap is link per click karain. (Ref: http://shianet.in/index.php?option=com_content&view=article&id=781:1390-02-13-09-05-28&catid=36:etarazat-wa-jawabat&Itemid=37 ). Update on dated 02-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslamo alikum qibla kya ham sajda gah k bagher sajda kr sakte hen? Carpet waghera pe???????
Answer: Carpet pr sajda shi nhi hota hy, Sajdah zameen par or on cheezo per kerna zarori hay k jo khaa,e or pehni nah jati hoon or zameen se ugti hoon, maslan lakrhi{wood} or darakhto k pattoon, ghaas, bhosay, chone k paththar or jipsam par sajjad karay or sajday k liay khaak e shifa sab se behtar hay os k baad matti, matti k baad paththar or paththar k baad ghaas hay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1063,1065,1067,1070). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ruku ya sajde me ja kr takbeer kahna kaisa h shreeyat me, ya takbeer puri kah kr rukn kare
Answer: Agar harkat ki haalat main koi shaks mustahab zikr parhe e.g ruku ya sajde mai jaatey hoe takbeer kahey or us zikr k qasd sai kahey jis ka namaaz main hukum dia gaya hai tu wo zikr sahi nahi hai lekin us ki namaz sahi hai. (Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39, maslah#953). Update on dated 31-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aurton ki namaz me paun sajde me jaty we sedhi taraf rkhty hyn.mere knee me joint ki tklef hai jiski eja se sedha paun nh mor sakti.kia me ulti taraf paun kr k beth sakti hu namaz me??
Answer: Baghair majbori k bhi Jaiz hay, . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1078 ). Update on dated 14-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia hum plasric ke ya clean type janamz pa baghir sajdaga namaz par shkta hae ya ni
Answer: Jee nahi plastic par sajda sahi nahi hai q k plastic zameen k ajzaa mai shumaar nahi hota. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 1063). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaikum mera sawal ye hay k namaz k bad jo hum sajda shukar karty hay us may kya parna jayz hay
Answer: Aap ko ikhtiyaar hay keh aap (شكراً لله شكراً لله) parhen ya 100 mratab (شكراً شكراً) parhen ya 100 martaba (عفواً عفواً) parhen ya 100 martba (الحمد لله شكراً) parhen is k ilawa or b azkaar hen jo dosri kitabon men zikr kiay gaey hen. (Ref: Minhajus saliheen, jild#1, maslah#657). Update on dated 19-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Wo Sajdha gah jis pr kese masomen ka name likha ho us pr Sajdha kr jaiz hai?
Answer: Ji hasn us par sajda krna sahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 1063) [Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]