Question: agar sajday ka zikr parhtay huway paun ka angutha khud hi hil jayey to namaz dubara parhni hogi ya dobara zikr parhna kafi hoga??
Answer: Agar jan boojh kar na uthaya ho aur khud ba khud uth jaye to namaz batil nahin hogi. aur zaroori hai dobara use zameen par rakh kar zikr parha jaye. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #1041). [Updated on 11-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar sajdey wali ayath dil me padhi jaye to kya sajda wajid hoga
Answer: Jee nahin, is se sajda wajib nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), mafhoom e maslah #1294). [Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mn aik yateem larki ku pasand krta hun aur wu mujhay pasand krti h. Hum shadi krna chahiay hn. Kia mujhay yatem larki s shadi ka sawab millay ga
Answer: larki or larkay k razi honay k saath saath larki k wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai un ki ijazat k baghair nikah durust nahin hoga. han agar baap ya dada men se koi bhi hayat na ho to phir kisi se ijazat lena zaroori nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341). [Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia sajda e shukar k liye wazu krna zruri hai?
Answer: Jee nahin, Zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315). [Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam un alaikum ya ali a.s madad. ziarat e ashura ma jo salam sajday ma parhna hai wo sjda kye bagair parh skty hain ?
Answer: Jis tareekay sai aaima a.s ne ziyarat parhne ka tareeka bataya hai behtar hai usi tareekay sai anjaam diaa jaaye. aik fiqhi maslay ki taraf aap ki rehnumai karte chalein k haath mai moujood anghooti k pathar par bhi sajdah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1063). [Updated on 20-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal yeh hai Kai agar kisi Kai pass namaz Ada karne Kai liye sajdagah na ho toh kia microfiber cloth pe Ada ki hui namaz qubool hai?
Answer: Kapre par sajdah karna durust nahin hai, balke sajdah zameen par aur un cheezon par karna zaroori hay ke jo khayei aur pehni nah jati hon aur zameen se ugti hon. maslan lakrhi, darakhton ke pattay, concrete, cement ke farash aur mosaic, ghaas, bhosay, chone ke pathar aur jipsam par sajda kiya jaye. aur sajde ke liye khaak e shifa sab se behtar hai us ke baad matti, matti ke baad pathar aur pathar ke baad ghaas hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1063,1065,1067,1070. + http://sistani.org/index.php?p=827020&id=937&page=3&perpage=10). [Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام علیکم! واجب سجدوں والی سورت کو روزانہ یا دن میں کئی مرتبہ پڑھنے سے سجدے بھی روزانہ یا دن میں کئی مرتبہ کرنے ہونگے یا پھر ایک ہی سجدہ کافی ہے۔؟
Answer: 1: Jab bhi aur jitni martaba bhi sajday wali ayat ki tilawat karen gi utni martaba sajda karna wajib hoga. 2: Quran shareef mein kuch maqamat par sajday ka zikar hua hai jis mein se kuch wajib aur jin ki tilawat karne ya sunne walay se sajda matloob hota hai. un mein se wajib sajday chaar suroon mein mazkoor hain. Pehla. Surah #32 (alam tanzil al-kitab) jis mein ayat #15 ki qirat mukammal karne par sajda wajib hai, lekin is ayat se pehle ya bad wali ayat ki tilawat karne se sajda wajib nahin hota. Dusra. Surah #41 ( Ha meem Tanzil min al-rehman al-raheem) jis mein aayat 37 ko mukammal karne par sajda wajib hai, lekin is ayat se pehle ya bad wali ayat ki tilawat karne se sajda wajib nahin hota. Teesra. Surah #53 (wan-najm iza hawa) ke jis ki aayat #62 ke aakhir par sajda wajib hai, lekin is ayat se pehle ya bad wali ayat ki tilawat karne se sajda wajib nahin hota. Choutha. Surah #96 (iqra bism rabbik allazi khalq) aur is mein aakhri aayat ki tilawat mukammal karne par sajda karna wajib ho jata hai, lekin is ayat se pehle ya bad wali ayat ki tilawat karne se sajda wajib nahin hota. mazkoorah bala suron ko surah azaaim aur in ke sajday wali ayaat ko ayaat azaaim kaha jata hai ke jis mein aayat sajda ki tilawat karne walay qaari ya is ko sunne walay par fauran sajda karna wajib ho jata hai jo ke isi tarah anjam dena hai jaisa ke namaz mein sajda kya jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1080,1081. + link; https://www.sistani.org/urdu/qa/26559/ ). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam u alikum I was having periods but during periods i fall seriously ill. Now i cant wash my all body parts as water harms me. But i want to recite quranic surrahs and dua for my recovery. So can i recite them without ghusal?
Answer: Sirf woh chaar ayatain nahin parh satkeen jin mein sajday wajib hain, is ke alawa poora quran parh satkeen hain, aur Dua wagera parhnay mein bhi koi haraj nahin hai. (Ref: link; https://www.sistani.org/urdu/qa/17194/ ). [Updated on 07-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Haiz ki halat me hum Quraan ko bina chuhe uski tilawat kr skte h agar koi or hamare varkhe palat ta rhe please btaye mujhe kya Quraan ki tilawat kr skte h ese???
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee, bagher chuye quran ki chaar wajib sajde wali aayat ke alawa baaqi quran ki tilawat kar sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448,467). [Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum wa rehmat ullah wa barakatahoo. I am staying in Saudi arabia and often pray in mosque with Ahle sunnat. Can I pray on the carpet without using Turbah, and weather my prayers are valid? Afriend of mine has to pray due to his office politics, but he says that he only do acting and prays again after reaching his home. What is fiqahai position in this matter. May Allah subhan wo talla reward you for your services to brothers in Islam.
Answer: