Question: Aasalam o alekum Main abhi Tak kise taqled main nhi Hoon Or main bohat kashmakash main Hoon. Ahly tashiyo par uthny waly bohat say sawal Hain Jo hum ko galat sabit karty Hain. 1sawal k hum sijdagah par sajda kun karty Hain .
Answer: wsalam. Deeni ahkam mai kisi aik ko apnana zaroori hai ya mujtahid ban jaey ya ehtiyaat par amal karlay ya kisi mujtahid ki taqleed karey. khaak e shifa par sajdah karna sub sai behtar hai us k baad aaam mitti par behtar hai riwayaat mai yahi warid hoa hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1,1070)، Mazeed malomaamt k liay is link per jain: http://alhassanain.org/urdu/?com=content&id=1113. [Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Doraan e Namaz me sujood k baare me shaq hua hai k 2 sajda kiye hain ya 1 is baare me kia hukum hai
Answer: Agar koi shaks sajday sai sir uthaye or shak ho k ye pehla sajda hai ya doosra to aik or sajda ehtiyaatan karna hoga lekin agar aglay marhalay mai daakhil hogaya yaani tashaud parhna shuru hogaya ya agli rakat k liye kharha hogaya or sajday k hawalay sai shak ho tu shak ki parwa nahi ki jaey gi.(Ref: Tauzeeh ul masael jaamae, part#1, maslah#1433). [Updated on 12-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia namaaz k sajde me dua karney se pehle darood parhna laazmi ha
Answer: sajday mai wajib zikr ikhtiyaar ki haalat mai teen dai subhanallah ya aik dafa subahana rabiyal aala wabi hamdi parhna. is k ilawa sajday mai wajib kuch nahi hai durood parhna ye mustahab hai lekin wajib nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani editioon 39 maslah no 1036). [Updated on 14-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran me wajib sajde kitne?
Answer: Quran main 4 sajday wajib hain (surah sajda ayat#15, surah fussilat ayat#37, surah najam or surah alaq ki akhri ayat). (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 41, page#491). [Updated on 25-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz main sajdy mainjany sy pehly zameen py hath pehly lgaty hy ya ghotny??
Answer: Sajde main jaane se pehle mardo k liay behtar hay keh wo zameen per pehle hath rakhain. ((Ref: Ayatullah khumeni(R.A), Urwatul wusqa, maslah#1626). Update on dated 28-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Kya aurton ko napaki ke waqt quraan padhna ya uski audio sunna jayaz hai
Answer: wajib sajde wali ayaat me se koi aik ayat parhna jis ke parhne se sajda wajib ho jata hai parhna haram hai, wajib sajde wali ayaat 4 hain, 1)Surah Sajdah Ayat 15, 2)Surah Haa Meem Sajdah Ayat 37, 3)Surah Najam Ayat 62, 4)Surah Alaq Ayat 19. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, Masla no # 354,448). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam0aliku sawal yah hai kay aurat pehly wazo kry phir makeup kary kia wo nimaz k waqt nimaz parh sakti hai makeup kay sath
Answer: kyun keh makeup sajda gah ke aur apki peshani ke bich me ayega to zaroori hai keh thora sa makeup peshani ke bich ke hissay se hata len take sajdah kia ja sake. ( mafhoom e masla ) (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 1047 ). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sajda gah par Allah kay Naam k ilawa Naam (14 Masomeen k Naam) Likha Hona Jaiz hy???
Answer: Jee han us par sajda karna sahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 1063) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz k akhri sajde ma wajibat k elwa kn sa zikr kr skte ha jese k pesh imam parhte ha
Answer: Sajde main ye zikr یَاخَیْرَالْمَسْئُوْلِیْنَ وَیَاخَیْرَالْمُعْطِیْنَ، ارْزُقْنِیْ وَارْزُقْ عَیَالِیْ مِنْ فَضْلِکَ فَاِنَّکَ ذُوالْفَضْلِ الْعَظِیْمِ‘‘۔ parhna mustahab hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani,Tauzeeh ul masail, masala#1077 point 5) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alikum kya tooti sajdaga per sajda kar saktay hay?
Answer: Ungli ki upper wali gera ki traf ki miqdaar ke barabar bhe sajda karne wale cheezo per sajda hojaay tu sajda sahe hay. Ref: urwaturwusqa,aqa sistani ,jild no 2,[ 1609 ] masla no :1, hashia no: 539) [Updated on 05-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]