Question: roze ki halat mai gair iradatan night fall(mani nikelne) ho jane se kya roza makrooh ho jata hai.
Answer: Agar rozay ki halat me ehtalam(neend mai mani ka kharij hona) ho jaye tu roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: a/salaam agr awrat ko ramzan me roze ki halt me haiz ho jai din me 10 baje k bad to roza rakhna hai ya tood dena hai
Answer: Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarchah ye khoon maghrib k kareeb hi Q nah aay is ka roza batil hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1612) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agr roze me ulti ho jaye tou rozatoot jta hai ??
Answer: Agar sehwan(yani iraday k baghair) ya be-ikhtiyaar ulti ho jaay to roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar roza ki halat ma mouth se khon nikl aye our pata na chala to kya roza toot gata ha?
Answer: Monh se khoon nikalnay se roza nahi toota hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sehari se pehle biwi se sobat kar sakte hai?
Answer: Sehri se phele kar sakte hai .Laikin waqt fajar se phele ghusl e janabat kar lena zarore hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Igar may Wajib ya Kaza Rozay kay doran roza tornay ka irada karta hoon to kia roza sahi hay ya batil. Wassalam.
Answer: 1)Agar kisi moayan wajib roze k bare me maslan ramzan k roze k bare me insaan kashma kash k aalam me ho k apne roze ko batil kare ya na kare ya roze ko batil karne ka irada kare to agar dobara roze ki niyat na kare to is ka roza batil ho jata hai.aur agar dobara roze ki niyat kar le to ehtiyat wajib ye hai k is din ka roza pora kare aur baad me is ki qaza kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1551 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 2)Agar koe shaks jo mustahab roza ya wajib roza maslan kaffaray ka roza rakhay hoay ho jis ka waqt moayan nah ho kisi aisay kaam ka qasd karay jo rozay ko batil karta ho ya muzabzab ho k wo aisa kaam karay ya nah karay tu agar wo koe aisa kaam nah karay or wajib rozay main zuhur se pehlay or mustahab rozay main ghoob se pehlay dobara rozay ki niyat ker lay tu os ka roza sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1552 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agr masuroon se peep niklay to roza ho jata hy
Answer: Khoon nikalnay se roza batil nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A-O-A sir mera sawal he k roze ke duran hum nakhun aur baat kaat sakte he kya?
Answer: Jee haan,Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar din ka waqat ramzan ma owrat ko haiz ki bimari lag jai. To oska roza tot ta hai keh nahi agar roza tot jata ha to kana pena sham se pehla jaiz ha ya wo sham tak wait kara ga.
Answer: 1)Din me (roze ki halat main ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarchah ye khoon maghrib k kareeb hi Q nah aay is ka roza batil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1612 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 2)wo aurat jo din main haiz ya nifas k khon se paak ho jay os k liay mustahab hay k mubtilaat roza se perhaiz karay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1719). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mai ye pochna chati hun k rozay ki halat mai time pass k liye Sexy movies dekhna jaiz hai kya is se roza tot jata hai??????
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Agar rozay daar ko itminaan ho k is sexy scene ko daikh ker oski mani kharij nahi hogi tu agarcha ittefaqan mani kharij ho jaay tu os ka roza sahi hay albatta agar os ko itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu oska rbatil hojaay ga.Albetta Ethiyaat e wajib ki bina per fehash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k baghair dekha jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)