Question: Din k wkt soty huye mani nikal jaye, to kia roza tot jata hy? agr nhi .to ghusl krna chahiye kya ?
Answer: Roza batil nahe hota hai srif namaz or dosri ibadaat k liay ghusl e janabat wajib hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571,356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya roze ki halat mein paist se brush kiya ja sakta hai dusra sawal mera yeh hai ke roze ki halat mein sar mein oiling ki ja sakti hai.
Answer: Brush or tooth paste k zerye daant saaf kerna rozay ko batil nahi kerta, jab tak daanto ki safae k doraan thook k saath mili hoe kisi cheez (tooth paste waghaira) rozay daar nigal nah lay. Albattah thook k saath ghul mil janay wali cheez se roza batil nahi hota. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 101) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 2)Jee haan, Jaiz hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya baa kate se roza tuutta hai
Answer: Baal katne se roza nahi toota hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia roza may biwi kay saat humbastari jisa amal karsaktahey ya nahi is say roza per kowi fark tu nahi parta
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Hambistari se roza toot jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1565 )
Question: kia roza m thndak ki niyat se thanda pani munh pe dalne se kia roza batil hojata h?
Answer: Roze ki halat main bilawajah pani monh me daalna makrooh hain . Insaan piyaas ki wajah se kolli kare yani pani monh me ghomaye aur bayikhtiyaar pani pait me chala jaay to is ko faqat roze ki qaza karna wajib hay. Laikin kaffara wajib nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1629,1659 ) .
Question: If a person is leaving for his home after fajr (say 7 am) and reaches his home next day after zawal (around 3pm ). What is fatwa for Roza in such a case?
Answer: Agar musafir zohar k baad apne watan pouche ya aisi jagha pouche jahaan 10 din qayam karna chata ho to ehtiyaat e ki bina per is din ka roza batil hai.aur zarore hai k is ki qaza kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1694 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asslam.o.alaikum myra sirf 1 sawal ha rozy ki halat main sharam gha ka bhal utarna jaiz ha ya nhi plz jawab urdu main diy plzzzzzzzzzzz
Answer: Sharamgaah k baal kaatnay se roza batil nahi hota.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,maslah #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: May rozay ki halat laita tha bed pe aur mere zehn may kch sexual khayalat a gaey, Phr may khud pe control nahi kr paya aur manni nikal gai.... may ne rokny ki koshish ki but nahi rok paya,,, kia hukum hai iska,,, kia roza sahi hai?
Answer: Agar kisi ki bayikhteyaar mani kharij ho jaay to is ka roza batil nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1570 ) Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576,) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam o alaikum me ye pochna chahta hun agr rozay Kay doran mani nikal jaey tou roza rahega ya Nahi agr rahega tou gusil kese ki jaey rozay mein?
Answer: Agar rozay mai be-ikhtiari mai kisi ki mani kharij ho jae to roza batil nahi hota hai. aur ghusl ka tareeqa wohi hai jo aam tour par rozay k bagair kia jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1570) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Roze ki halat me baal ya naqun kat sakte hai kiya?
Answer: Jee han rozay ki halat mai baal aur nails katay ja saktay hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)